Islamic Blog

Ek ishkaal ye paida hota hai ke Hazrat Ibrahim alaihis salam ne Namazon ki takhfeef ka sawal karne ki taraf kyun tawajjeh nahi dilai? Hazraate Akaabir ne is ke baare me farmaya hai ke Hazrat Ibrahim alaihis salaato wassalam Khaleel hain, Maqaam e Khullat ka taqaaza tasleem o raza hai, jo hukm hua maan liya, aage sochna kuch nahi, aur Hazrat Moosa alaihis salaato wassalam Kaleem hain, Maqaam e Takallum Maqaam e naaz hai aur mojib e inbisaat hai, jo kaleem Jur’at kar sakta hai doosra nahi karsakta, phir ek baat ye bhi haik ke Hazrat Ibrahim alaihis salatu wassalam ko Ahl e Shirk o Kufr se ziadah wasta pada tha , un hi logon se bahes o munazare me Umar Mubarak sarf hui, Ap ke Itteba aur Ummat ijabat ke afraad ziada nahi hui aur jo log Aap par Iman laaye the wo Sache farmabardaar the, Nafarmano aur fasiqo ke rang dhang bachashm khud na dekhe the jaise Hazrat Moosa alaihis salatu wassalam ka zahen takhfeef karane ki taraf chala gaya aur tajurbe ka izhaar karte hue farmaya, فاني قد بلوت بني اسرائيل وخبرتهم (Muslim Shareef) yani mai Bani Israil ko aazma chukka hun aur isi tajurbeh ki bunyaad par kehta hunkeitni Namazen padhna Aap sallallahu alaihi wasallam ki Ummat ke liye dushwar hoga.

Hazrat Ibrahim khaleelullah (alaihis salatu wassalam) bhi Ummat e Muhammadiya (ala sahibahas salaatu wat tahiyyah) ki khair khwahi se ghafil na the magar unho ne takseer e Hasanaat ko pesh e nazar rakha jis ki wajeh se 50 Namazon ki farziyyat ki khabr sun kar dil baagh baagh hogaya aur khushi ki inteha na rahi, jab ye khabar mili ke Ka’bah Shareef banate waqt mai ne رَبَّنَا وَابْعَثْ فِيهِمْ رَسُولًا مِنْهُمْke zarye jis ummat ke liyeDua ki thi , wo Aaj nawazi jaa rahi hai aur use Raat din me 50 martabah baargaah e khudawandi me haazri ka sharf diya jaraha hai , phir bhala wo takhfeef e salat ka mashorah kyun dete? Kyun ke wo takseer e hasanaat ki taraf mutawajjeh the , is liye unho ne Ummat e Muhammadiya ko ek paigham bheja Hazrat Abdullah Ibne Masood razi Allahu anhu se riwayat hai ke jis raat mujhe sair karayi gayi Hazrat Ibrahim Alaihis salam se mulaqaat hui , unho ne farmaya ke Aye Muhammad (sallallahu alaihi wasallam)! Meri taraf se apni Ummat ko salaam keh dena aur unhe bata dena keh bilashubah Jannat ki achi mitti hai, Meetha paani hai aur wo chatyal maidan hai aur uske paude ye hain,

سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ

(Mishkatul Masabeeh safha 202 az Tirmizi)

Yeh jo farmaya ke Jannat chatyal maidan hai uska matlab ye hai ke agarche is me sab kuch hai, lekin usi ke liye to hai jo dunya me aise kaam kar ke jayega jin ke zarye Jannat me dakhilah hosake, Jannat apni mehnat se milegi aur us ko is tarah samajh liya jaise koi bhot achi zameen ho, mitti bhi umdah ho, paani bhi meetha ho, jab koi shakhs is me darakht lagayega aur us umdah paani se senchai karega to us ka phal paalega, lihaza dunya me Nek aamal karte raho, Allah Ka Zikr karo , سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ padha karo, inko padhoge to yahan Jannat me in ke iwaz darakht paaloge, isi liye ek hadees me farmaya hai keh jis neسُبْحَانَ اللَّهِ العظيم وبحمدهkaha us ke liye Jannat me ek darakht laga diya jayega.

(Mishkatul Masabeeh safha 201 az Tirmizi)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm