Islamic Blog

Aap ki wilaadat 209 Hijri (824 A.D.) me Qazvin (Iran) me hui.

Aap ke waalid ka naam Yazeed ibn Abdullāh al-Raba’i hai.

Aap Rabi’ah qabeele se ta’alluq rakhte hain.

**************
Aap ne Qazvin me bunyaadi taalim haasil ki.
Phir Qazvin me Hazrat Abul Hasan Ali bin Muhammad Tanafasi, Abu Majr Amr bin Raafe Bajali, Abu Sulaimān Ismāeel bin Taubah Qazvini, Abu Moosā Hāroon bin Moosā Habbaan Tameemi, aur Abu Bakr bi Abi Khaalid Yazeed Qazvini jais e Mohaddeeseen se Hadees ki taalim haasil ki.

Aap ne majeed taalim ke liye aur Ahadees jama karne ke liye 21 saal ki umr me Iraq, Khurasan, Hijaaz, Misr (Egypt), Shaam (Syria), aur Mashriq (Levant) ka safar kiya.

Aap ne Abu Bakr ibn Abi Shaybah, Muhammad ibn Abdullāh ibn Numair, Jubaarah ibn al-Mughallis, Ibrāheem ibn Munzir al-Hizaami, Abdullāh ibn Muawiyah, Hishaam ibn Ammaar, Muhammad ibn Rumh, Ahmad bin Saabit al-Jadhari, Abu Bakr bin Khallaad Baahli aur Daawūd ibn Rasheed se taalim haasil ki.

**************
Aap ke mash’hoor shaagird :
Ali bin Saeed Askari, Ahmad bin Ibrāheem Qazvini, Is’hāq bin Muhammad Qazvini, Abu Tayyab Ahmad bin Rooh She’arani, Ibrāheem bin Deenaar al-Jarshi al-Samadani, Husain bin Ali bin Braanyaad, Sulaimān bin Yazeed Qazvini, Hakeem Madani Isbahani.

**************
Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :

(1) Sunan Ibn Maajah (4000 Ahadees, 32 Jild, 1500 Abwaab)
(Jo Saha Sitta ki 6 kitaabo me se hai.)
(2) Kitaab-ul-Tafseer
(3) Kitaab-ul-Taarikh (Raawiyo ke halaat aur seerat ka bayaan).

**************
Aap ke ilm, fazal o kamala, jalaalat e shaan, hifz e hadees aur saqaahat ke baare me ulama ka ijama hai.

Aap ne jab Hazrat Abu Zur’ah Mohaddees ko apni kitaab ‘Sunan Ibn Maajah’ pesh ki to use padhne ke baad unho ne farmaaya ke ‘Jab ye kitaab logo ke haatho me pahunchegi to is zamaane ki dusri kitaaben is kea age bekaar aur muattal ho jaayengi.’

**************
Aap ka wisaal 22 Ramazaan 273 Hijri (19 February 887 A.D.) ko Peer ke roz 64 saal ki umr me hua.

Aap ki namaaz e janaaza aap ke bhai Hazrat Abu Bakr ne padhaai.
Aap ko dusre din dafn kiya gaya.

Aap ka mazaar Qazvin (Iran) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam Muhammad ibn Maajah mohaddees aur tamaam Auliya Allāh rahmatullāhi alaihi ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm