Islamic Blog

Hazrat Imaam Moosa al-Kaazim rahmatullāhi alaihi :

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Kaazim (One who swallows his anger), Baab-ul-Hawaa’ij (Door of fulfilment of needs).

************
Aap ki wilaadat 7 Safar 128 Hijri (6 November 745 A.D.) ko Abwā (Saudi Arabia) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Imaam Ja’afar as-Saadiq bin Imaam Muhammad al-Baaqir rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Hameeda Khaatoon hai.

Aap Husaini saadaat hain.

Aap Aa’imma e ahle bait ke 7we Imaam hain.

************
Aap ki 4 biwiya aur 19 bete aur 18 betiya hain.

Aap ki biwiyo me Najmah mash’hoor hai.

Saahabzaade :
Ali al-Riza, Ibrāheem al-Muja, Abbaas, Saalih, Qaasim, Ahmad, Mohammad, Hamza, Ismā’eel, Ja;afar, Hāroon, Husain, Abdullāh, Is’hāq, Ubaidullāh, Zaid, Hasan, Fazl aur Sulaimān.

Saahabzaadiya :
Faatima al-Kubra, Faatima al-Sughra, Ruqayya, Ruqayya al-Sughra, Hakeema, Umme Abeeha, Umme Kulsum, Umme Salma, Umme Ja’afar, Lubana, Alya, Ameena, Hasana, Bareeha, Aa’isha, Zainab, Khadeeja aur Hajar Khatoon.

************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap farmaate hain :
(1) Dunya us saanp ki tarah hai jo dikhne me khubsurat lagta hai,
Magar jitna qareeb jaaoge utna apne zeher se tumhe nuqsaan pahunchaega.

(2) Dunya ki mohabbat samundar ke paani ki tarah hai. Pyaasa insaan kitna bhi use piye pyaas aur badhti jaayegi aur yaha tak ki aakhir me wo mar jaayega.

(3) Halaal rizq haasil karne ke liye mehnat karne waala har insaan raahe khuda me jihaad karne waale jaisa hai.

(4) Kamzor ko madad karna behtareen sadqa hai.

************
Khalifa Mansoor ke zamaane me aap ke waalid ki shahaadat ke baad aap 21 saal ki umr me Imaam bane.

Mansoor ne Madeena ke governor Sulaimān ko Imaam Ja’afar al-Saadiq ke tamaam mutawali (trustee) ko qatl karne ka hukm diya. Us ne bataaya ke ‘Imaam ke 5 mutawali me Mansoor, Sulaimān, Abdullāh, Umme Hameeda aur Imaam Moosā saamil hain.’
Ye sunkar Mansoor khaamosh ho gaya.

************
Kuchh waqt baad Mansoor ne aap ko bhi qaid karke rakha.
Us ke baad Mahdi aur Moosā ne bhi aap ko qaid karke rakha.
179 Hijri (795 A.D.) me, Moosā ke bhaai Hāroon al-Rasheed ne aap ko qaid kar liya.
4 baras baad us ke hukm se Sindi ibn Shahiq ne Imaam ko zeher dekar shaheed kar diya.

************
Aap ka wisaal 25 Rajab 183 Hijri (1 September 799 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Kazimain (Iraq) me hai.

******************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam Moosa al-Kaazim rahmatullāhi alaihi aur Ahle bait aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm