Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Mujaddid-e-Alfe-Saani, Imaam-e-Rabbaani, Qayyoom-e-Zamaani, Khazinat-ul-Rahmah, Silah.
**********
Aap ki wilaadat 14 Shawwaal 971 Hijri (4 June 1564 A.D.) ko Shab e Jum’aa ko Sirhind me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaikh Abdul Ahad bin Zain-ul-Aabideen rahmatullāhi alaihi hai.
Aap Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ke waalid ko khwaab me Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne Ambiya, Auliya aur Malaa’ika ke saath aakar khushkhabari di thi.
Aap ki wilaadat ke ek hafta pehle tamaam mazaamir (Musical instruments) ka bajna band ho gaya tha.
**********
Aap ne apne waalid Shaikh Abdul Ahad se ibtidaai taaleem haasil ki aur Haafiz e Qur’an hue.
Phir Sialkot jaakar hadees, fiqh, tafseer aur dusre uloom ki taaleem haasil kiya.
Aap ne Hazrat Allama Kamaal-ud-deen aur Shaikh Ya’aqoob Surfi Kashmiri se bhi taaleem haasil ki.
17 baras ki umr me aap ko Qaadri, Suhrawardi, aur Chishti silsile ki ijaazat di gai.
Hazrat Sayyed Shaikh Sikandar Katheli rahmatullāhi alaihi ne aap ko Hazrat Ghaus e aazam Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu ka Khirqa mubarak ata kiya tha.
**********
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar Ramazaan me aap ke 10 mureedo ne aap ko roza iftaar ke liye daawat di. Aap ne sab ki daawat qaubool kar li. Aur iftaar ke waqt aap ne ek hi waqt par tamaam mureedo ke ghar par haazir hokar sab ke saath iftaar kiya.
(2) Ek baar ek shakhs ne aap se us ke rishtedaar ke liye dua karne ke liye kaha jo shadeed beemaar tha. Aap ne farmaaya ‘Jis ka dunya se inteqaal ho chuka hai us ke liye sehat ki dua karna munaasib nahi.’ Ye sunkar wo rone laga.
Jab wo apne ghar pahuncha to pata chala ke us shakhs ka inteqaal ho chuka tha.
**********
Aap 11wi sadi ke Mujaddid hain.
Aap ko ‘Mujaddid-e-Alfe Saani’ (Reviver of Second millennium) aur ‘Imaam-e-Rabbani’ ke alqaab mile hain.
Aap maante the ke Shariat e islaam ke ilaawa aur koi bhi raasta sahi nahi hai.
988 Hijri (1581 A.D.) me Mughal baadshah Akbar ne sab mazhab ko milaakar Deen-e-Ilāhi banaya to aap ne use maanne se inkaar kiya aur farmaaya ke ‘Sirf deen e Islaam hi sahi hai.’
Aap ne khato ke zariye mughal baadshah ko in galat baato se door rehne ke liye farmaya.
Aap ne ‘Wahaadat-ul-Wujood’ (oneness of being) (ya’ni tamaam chizen ALLĀH ki zaat me se wujood me aai hain) ke falsafe ke badle ‘Wahadat-ush-Shahood’ (oneness of outer appearance) falsafa bataaya ya’ni Kaa’inat me har makhlooq me ALLĀH ta’ala ki koi sifat maujood hoti hai aur sirf Sufi hi ye mehsoos kar sakte hain jo Fana fillāh tak pahunche ho ya’ni ALLĀH ta’ala ke liye tamaam dunyawi cheezo ko qurbaan kar chuke ho.
Us ke baad baadshaah Jahaangir ne aap ko sajda e ta’azeemi karne ke liye kaha to aap ne inkaar kiya. Jahaangir ne aap ko Gwalior ke qile me qaid kar diya. 2 saal baad jab use galti ka ehsaas hua to aap ko riha kiya aur Agra bulaaya aur us ne Akbar ke jaari kiye gaye saare ghair-islaami qaanoon radd kiye.
**********
Aap ne mughal baadshaah ko jo khat likhe the, wo ‘Maktubaat-e Imaam-e-Rabbaani’ (536 khutoot ka majmua) ke naam se mashhoor hai.
Aap ne bahot saari kitaaben likhi hain,
Jin me Risaala Isbat-ul-Nabuwwat, Tauheed-e-Shuhoodi, Mobada-o-Ma’ad, Ma’arif-e-ladqiya, Makashifaat-e-ghaibia, Risaala Telilia, Risaala Basilsila-e-Ahadees, Sharah Rubaeyat e Hazrat Khwaja Baaqi Billāh mashhoor hain.
**********
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Agar koi hatheli par sarso jamaakar aur hawa me udkar dikhaaye, Magar shariat par amal na karta ho to hargeez Wali nahi hoga.
(2) Jo makhlooq (insaan) par raham nahi karta ALLĀH ta’ala kabhi use rahmat aur barkat ata nahi farmata.
**********
Aap ke 7 bete aur 2 betiya hain :
Saahabzaade :
(1) Khwaja Muhammad Saadiq,
(2) Khwaja Muhammad Saeed,
(3) Khwaja Muhammad Maasoom,
(4) Muhammad Eisā,
(5) Muhammad Farrukh,
(6) Muhammad Ashraf,
(7) Khwaja Muhammad Yahyā.
Saahabzaadiya :
(1) Umme Kulsum (Jis ka inteqaal 14 saal ki umr me hua),
(2) Khadeeja (Jin ka nikaah Shaikh Abdul Qaadir Faarooqi se hua.)
**********
Aap Hazrat Khawaja Baaqi Billāh Naqshbandi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ko aap ke waalid Hazrat Shaikh Abdul Ahad rahmatullāhi alaihi se ‘Suharwardi’ aur ‘Chishti’ silsile ki, Hazrat Shaikh Ya’aqoob Sarfi Kashmiri rahmatullāhi alaihi se ‘Kubrawiya’ silsile ki, aur Hazrat Shaikh Sikandar Kethali rahmatullāhi alaihi se ‘Qaadri’ silsile ki khilaafat mili hai.
Aap se ‘Naqshbandi Mujaddidi’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Khwaja Muhammad Saadiq,
(2) Khwaja Muhammad Maasoom al-Rabbani Sirhindi,
(3) Khwaja Muhammad Sa’eed,
(4) Khwaja Maulana Abdul Ghafoor Samarqandi,
(5) Sayyed Meer Muhammad Nomaan urfe Meer Bulbul,
(6) Shaikh Muhammad Taahir Lahori,
(7) Shaikh Badi-ud-deen Saharanpuri,
(8) Shaikh Noor Muhammad Patni,
(9) Shaikh Hameed Bangali,
(10) Shaikh Muzammil Surati,
(11) Shaikh Muhammad Taahir Badakhshi,
(12) Shaikh Sayyed Ādam Binnori,
(13) Sayyed Haaji Shaah Husain,
(14) Maulana Ahmad Barki.
(15) Shaikh Hasan Barki,
(16) Maulana Muhammad Siddeeq Kishmi,
(17) Shaikh Abdul Hayy Shadmani Hisari Patni,
(18) Maulana Yaar Muhammad Qadeem-ul-Taliqani,
(19) Maulana Yaar Muhammad Jadeed-ul-Taliqani,
(20) Maulana Shaikh Abdul Haadi Faarooqi Badayuni,
(21) Haaji Khizr Khaan Afghan,
(22) Shaikh Ahmad Dibani,
(23) Shaikh Kareem-ud-deen Abdul Kareem urfe Baaba Hasan Abdaali,
(24) Maulana Amaanullāh Lahori,
(25) Maulana Hameeduddeen Ahmedabadi,
(26) Maulana Farrukh Husain Lahori,
(27) Maulana Abdul Waahid Lahori,
(28) Sayyed Muhibullāh Manakpuri,
(29) Shaikh Zain-ud-deen Tabrizi Shaafi’i al-Makki,
(30) Shaikh Ali Tabrizi Shaafi’i al-Makki,
(31) Shaikh Soofi Qurbaan Arkanji,
(32) Maulana Qaasim Ali,
(33) Shaikh Yousuf Barki,
(34) Shaikh Abdur Raheem Barki,
(35) Shaikh Sayyed Haaji Shaah Husain,
(36) Shaikh Muhammad ibn Hajar Haythami al-Makki,
(37) Maulana Safar Ahmad Rumi al-Samawati,
(38) Maulana Ghaazi Gujarati,
(39) Khwaja Muhammad Saadiq Kabuli,
(40) Khwaja Muhammad Ashraf Kabuli,
(41) Khwaja Muhammad Saalih Nishapuri,
(42) Shaikh Badr-ud-deen Sirhindi,
(43) Mawlana Abdul Hakeem Sialkoti,
(44) Shaikh Khizr Bahlool Surati,
(45) Shaikh Sayyed Shaah Muhammad Saharanpuri,
(46) Haafiz Mahmood Lahori Gujarati,
(47) Khwaja Muhammad Haashim Kishmi Burhanpuri,
(48) Maulana Yousuf Samarqandi,
(49) Maulana Muhammad Saalih Kulabi,
(50) Shaikh Saleem Binnuri,
(51) Shaikh Saleem Khan,
(52) Shaikh Muhammad Chitri,
(53) Shaikh Daawūd Saliki,
(54) Shaikh Muhammad Tihari,
(55) Shaikh Haamid Tihari,
(56) Soofi Qurbaan Qadeem,
(57) Soofi Qurbaan Jadeed,
(58) Maulana Haashim Khaadim,
(59) Sayyed Baaqir Sarangpuri,
(60) Maulana Farrukh Husain Harwi,
(61) Maulana Haaji Muhammad Zaki,
(62) Khwaja Ubaidullāh ibn Khwaja Baaqi Billāh,
(63) Khwaja Abdullāh ibn Khwaja Baaqi Billāh.
**********
Aap ka wisaal 28 Safar 1034 Hijri (9 Dec 1624 A.D.) ko 63 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Sirhind (Punjab) me hai.
***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Mujaddid-e-Alfe Saani Imaam Shaikh Ahmad Sirhindi rahmatullāhi alaihi aur Tamaam Auliya Allah ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022