••HADEES••
************
Hazrat Jaabir Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Marwi Hain Ki Ek Shaks Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Khidmat May Khana Maangne Aaya To Huzoor Ne Isko Aadha Wask Jau Inayat Farmaye! Wo Shaks Iski Biwi Aur Iske Mehmaan Isme Se Khate Rahe Yahan Tak Ki Ek Din Usne Naap Liya To Wo Khatm Hogaye, To Wo Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Khidmat May Aaya! Huzoor Ne Farmaya Agar Tum Naapte Nahi To Khate Rehte Aur Wo Baaki Rehta!
(Muslim Jild-2, Pg-246)
(Mishkaat Pg-544)
*********************************
•••HADEES•••
****************
Hazrat Ibne Abbaas Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Marwi Hain Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM 2 Qabron Ke Paas Se Gujre To Aapne Farmaya In Dono Per Ajaab Horaha Hain Lekin Kisi Bade Gunah Ki Wajahse Nahi Balki Ek To Peshaab Se Ehtiyaat Nahi Karta Tha Aur Dusra Chugal-Khor Tha, Fir Aapne Hari Shaakh Li Aur Iske 2 Tukde Karke Ek-Ek Qabr Per Rakh Diye, Logon Ne Arz Kiya Ya Rasoolallah! Aapne Aisa Kyon Kiya? Farmaya Jabtak Sukhegi Nahi Shayed Ajaab May Aasaani Ho!
(Bukhari)
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017