Islamic Blog

Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Peer Meetha.

****************
Aap ki wilaaadat 1297 Hijri (1880 A.D.) me Langar, Jalaalpur Peerwala ke qareeb Langar gaanv (Multan, Punjab) me hui.

Aap ke waalid ka naam Maulana Yaar Muhammad bin Maulana Khair Muhammad hai.

****************
Aap ne apne bhaai Maulana Muhammad Ashraf se aur dusre ulema se ibtidaai ta’aleem haasil ki aur Maulana Imaam-ud-deen se Arabi ki ta’aleem haasil ki
Phir majeed taaleem ke liye kai maqaamaat ka safar kiya.
Is duraan kuchh waqt Dera Nawab me Maulwi Nizaam-ud-deen se ta’aleem haasil ki. Jab aap ke waalid ko pata chala ke Maulwi Nizaam-ud-deen Tasawwuf ke khilaaf hain aur Maulana Jalaal-ud-deen Rumi aur dusre Asfiya ki kitaaben padhne se aitraaz karte hain. Wo foran aaye aur aap ko madrasa se waapas le gaye aur farmaaya ‘Jis ka aqeeda galat ho us se taalim haasil karne se behtar hai ke hum bagair taalim ke rahen.’

Phir Aap ne Hazrat Maulana Aaqil Muhammad Quraishi rahmatullāhi alaihi se Hadees ki taaleem haasil ki.

Phir aap ne Hazrat Maulana Haafiẓ Fateh Muhammad Qaadri rahmatullāhi alaihi ki sohbat me zaahiri aur baatini faiz haasil kiya.
1335 Hijri (1917 A.D.) me Shaikh ke wisaal ke baad Aap ghamgeen rehne lage. Peer e kaamil ke talaash me aap ne kai khaanqaah ki taraf nazar ki. Aakhir me Khwaja Peer Fazal Ali Shaah Quraishi Naqshbandi ke baare me pata chala. Hazrat kuch arse pehle hi tashreef laaye the. Aap Hazrat ke mureed hue aur Hazrat ki khidmat me rehkar faiz haasil karne lage. Aap Peer se bahot zyada mohabbat karte the aur aap ke Peer bhi aap se bahot zyada mohabbat karte the. Aap Hazrat ko nazmen sunaaya karte the.

Phir Hazrat ne Aap ko khilaafat ata farmai aur isha’at e Islaam ke liye Sindh jaane ke liye farmaaya.
Aap Sindh aakar kai ilaako me safar karte rahe aur aakhir me Larkana me sukoonat ikhtiyaar karke Rahmatpur me apni khaanqaah banakar taalim e deen karte rahe. Aap ki taaleem aur faiz se Sindh, Balochistan aur Punjab me Naqshbandi silsile ko mazboot kiya.

****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek martaba bachpan me Aap bacho ke saath kaanch ke daano (beads) se khel rahe the. Gaanv ka mukhiya waha se guzra to us ne aap se arz kiya ‘Aap aala khandaan ke farzand hain. Mere liye dua kar dijiye ke ALLĀH ta’ala mujhe aulaad ata farmaye.’ Aap ne us me ek daana use diya aur farmaaya ‘Is daane ko dhokar us ke dhowan ka paani apni biwi ke saath pina.’ Us ne aap ke farmaan ke mutaabiq kiya. Agle saal ALLĀH ke fazl se us ke yaha ek beta paida hua jis ka rang us daane ke rang jaisa tha.

(2) Khairpur ke qareeb Therhi me ek Deobandi madrasa tha. Jab Peer metha ki taalim aur faiz ki wajah se log badi taadaad me aap ki khaanqaah me aane lage to Thehri madrasa ke aalimo ne apne sab se bade aalim Maulwi Habebullāh ko aap ka imtihaan lene ke liye aap ki khaanqaah me bheja. Maulwi Habebullāh ne 22 bahot mushkil sawaal tayaar kiye aur aap ki khanqaah me aaya. Waha pahunchkar pata chala ke Zohar ke waqt hi Hazrat se mulaaqaat ho sakegi. Wo Imaam ke musalle ke bilkul pichhe baith gaya. Jab Peer Meetha tashreef laaye aur Imaamat ke liye musalle par aaye to Maulwi Habebullāh ne khade hokar iqaamat padhna shuru kiya. ‘Hayya Ala as-Salaah’ par pahunchne ke baad wo aage padhna bhul gaya aur baar baar ‘Hayya Ala as-Salaah’ hi padhta raha. Aap ne farmaaya ‘Ye shakhs theek se takbeer padhna jaanta nahi. Is liye koi dusra shakhs khada hokar takbeer padhe.’
Jab namaaz mukammal hui to Peer Meetha logo ki taraf mukhaatib hue aur farmaaya ‘Kuchh log aisa aisa kehte hain. Jis ka jawaab ye hai.’ Ye Maulwi Habebullāh ka pehla sawaal tha jis ka jawaab aap ne diya. Isi tarah tamaam 22 sawaal aur un ke jawaab aap ne bayaan farma diye. Is ke baad jab aap waha se tashreef le jaane lage to Maulwi Habebullāh aap ke paas aaya. Aap ne us ki taraf dekha to wo wajd me aakar be-hosh ho gaya.
Shaam ko jab wo Therhi madrasa pahuncha to us ke saathi intazaar kar rahe the. Us ne kaha ke ‘Aise azeem wali ka imtihaan lena ye humaare bas ki baat nahi. Maaloom hota hai ke wo ghaib ki baaten jaanta hai aur us ne mere tamaam sawaalo ke jawaab sawaal puchhne se pehle hi de diye.’

****************
Aap bahot raham dil the. Jaanwaro ki takleef par bhi Aap ko raham aa jaata.

Aap ne Punjab me apni khanqaah banai jaha par aap 7 saal tak rahe. Ye jagah ‘jazbe waali basti’ ke naam se mash’hoor hai.
Ek martaba ek kuttiya ek haadse me mar gai. Us ke chhote chhote bache apni maa ki ghair maujoodgi me bhook ki wajah se ro rahe the. Jab aap ne ye dekha to aap ne apne khaadim Allāh-Wasaaya se farmaaya ‘Kuttiya ke chhote chhote bache bhook ki wajah se ro rahe hain. Kya tum sochte ho ke ALLĀH hume is ke bare me sawaal nahi karega.’ Ye sunkar Allāh-Wasaaya ne un bacho ko doodh pilaana shuru kiya aur us ka khayaal rakhna shuru kiya jab tak ke wo bache bade ho gaye.’

****************
Aap Arabi, Faarsi, Urdu, Siraiki, aur Sindhi zabaan ke maahir the.

Aap ne Saraiki aur Urdu zabaan me bahot saari Nazmen likhi hain.
Aap ki saahabzaadi Ummat ul Kareem aur nawaase Maulana Deedah-Dil Ghaffaari ne ‘Deeewaan-e-Ghaffaaria’ (Urdu aur Saraiki) me Aap ki nazmo ko jama kiya hai.

Aap ne apne Peer aur apne mureedo ko jo khat likhe the un khato ko ‘Maktoobaat e Ghaffaaria’ me jama kiya gaya hai aur aap ki taalim aur aqwaal ko ‘Malfoozaat-e Ghaffaaria’ me jama kiya gaya hai.

Aap ne ‘Malfoozaat-e Fazalia’ me apne Peer Hazrat Khwaja Peer Fazal Ali Shaah ki taaleem aur aqwaal ko jama kiya hai.

****************
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Ilm e ghaib ke baare me Aap farmaate hain ke ‘ALLĀH ta’ala ne apne Nabi ko Ilme ghaib ata farmaaya hai. Jab Abu Jahl apni mutthi me kankariya lekar aaya aur puchha ke Aye Mohammad! Kya tum bata sakte ho ke meri mutthi me kya hai? Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke Main bataau ya tumhari mutthi main jo cheez hai wo hi bataaye. Abu Jahl ne kaha ke Theek hai yehi behtar hoga. Aur hukm Rab se un kankariyo ne kalma padha. Ye Ilme ghaib nahi hai to aur kya hai?’

****************
Aap hamesha shariat ki pabaandi ki talqeen farmaate the. Mazhab ke naam par rasmo aur bid’at ke shadeed mukhalif the.
Aap farmaate hain ke Peer ko khud bhi Sunnat e Rasool par amal karna chaahiye aur apne mureedo ko bhi is ki taalim deni chaahiye.

****************
Aap ka 1 saahabzaada aur 2 saahabzaadiya hain.

Saahabzaada : Muhammad Khaleel-ur-Rahmān
Saahabzaadiya : Ummat ul Kareem.

****************
Aap Hazrat Khwaja Peer Fazal Ali Shaah Quraishi Naqshbandi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se ‘Naqshbandi Ghaffari’ silsila jaari hai.

Aap ke 103 khulfa hain :
(1) Hazrat Khwaja Allāh bakhsh Abbaasi Naqshbandi urfe Sohna Saaeen
(2) Hazrat Khwaja Muhammad Khaleel-ur-Rahmān
(3) Hazrat Khwaja Muhammad Ilāhi Bakhsh Ansaari
(4) Hazrat Sayyed Ghulaam Husain Shaah Bukhari
(5) Hazrat Sayyed Abdullāh Shaah Bukhari
(6) Hazrat Mufti Abdur Rahmān Allahabadi
(7) Abdul Haq Madani

****************
Apne wisaal ke ek hafte pehle aap ne apne mureedo se farmaaya ‘Kya maine Shariat aut Tareeqat ki taalim dene ki zimmedaari sahi tareeqe se ada ki hai?’ Mureedo ne arz kiya ‘Beshak aap ne apni zimmedaari ada ki hai.’ Aap ne farmaaya ‘Agar is ke baad koi meri taalim par amal na kare aur khilaaf e shariat kaam kare to main qayaamat me us se door aur bari rahunga.’

****************
Aap ka wisaal 8 Sha’abaan 1384 Hijri (12 December 1964 A.D.) ko Shanichar ki raat ko 11:30 p.m. ko 84 saal ki umr me hua.

Aap ki namaaz e janaaza aap ke saahabzaade Khwaja Muhammad Khaleel-ur-Rahmān rahmatullāhi alaihi ne padhai.

Aap ka mazaar Rahmatpur (Sindh / Pakistan) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Abdul Ghaffaar Naqshbandi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)