Islamic Blog

Aap ne Hazrat Imaam e aazam Abu Haneefa Nomaan bin Saabit se Fiqh ki taaleem haasil ki.
Aur apne Peer Hazrat Khwaja Hasan al-Basri rahmatullāhi alaihi se Hadees, Tafseer aur Tasawwuf ki taaleem haasil ki.

****************
Aap eidain ke 2 din ke ilaawa pura saal roza rakhte aur puri raat ibaadat me guzaarte.
40 saal tak aap ne Isha ke wuzu se namaaz e Fajr ada ki.

Aap safar karte karte Chin pahunch gaye aur Abbadan jazeere me pehli Sufi khaanqaah shuru ki.

****************
Ek martaba Chin me aap ki mulaaqat ek raahib se hui to us ke saath guftagu karne se aap ko 2 naseehaten sikhne mili,
(1) Kaamyaab insaan wo hi hai jo Rab ta’ala ki hamd o sana bayaan karta rehta hai, ne’amato ka shukr ada karta hai, museebato me sabr karta hai, us ke faisle par raazi rehta hai, us ki qudrat ko manta hai, us ke ghazab se darta hai, aur din me aur raat me us ki ibaadat karta hai.
(2) Rab ta’ala ko pehchaanne ke bawajood insaan us se door ho jaata hai us ki wajah dunya se mohabbat hai. Aqlmand wo hi hai jo dunya ki mohabbat chhodkar Rab ta’ala ko dil me basa le aur apne gunaaho se tauba kare aur aise amal kare jo Rab ta’ala se qareeb kare.

****************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap apni taqreer me Qayaamat ke haalaat ka bayaan farmaate aur logo ko aakhirat ki aur apne Khaaliq o Maalik se milne ki tayyaari karne ke liye farmaate.

Aap farmaate hain ke ‘ALLĀH ta’ala apne auliya ko baatini ilm ki daulat (ma’arifat) se nawaazta hai.’

Aap farmaate hain ke ‘ALLĀH ta’ala ki ata se raazi rehna ALLĀH ki taraf pahunchane waala darwaaza hai aur wo hi duyaawi zindagi ki jannat hai aur aabid ke liye raahat hai.’

****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Ek baar aap ek nadi ke kinaare pahunche. Waha ek kashti waala tha jo sirf un logo ko apni kashti me bithaata tha jo use kiraaya de sakte the. Aur jin ke paas kiraaya nahi hota tha use kashti me sawaar nahi hone deta tha. Aap ko dekhkar waha maujood fuqara ne aap ke paas aakar ye baat bataai. Aap ne farmaaya ‘Jaao aur nadi se keh do ke Abdul Waahid bin Zaid ne kaha hai ke sukh jaao.’ Fuqara ne aap ka paighaam nadi ko sunaaya to foran nadi ka paani kam hone laga aur sab aasaani ke saath nadi me se guzar gaye aur dusre kinaare par pahunch gaye.

****************
Aakhri arse me aap ko Faalij (paralysis) ho gaya tha. Jis ki wajah se aap khud uthkar wuzu bhi nahi kar sakte the. Ek baar aisa hua ke aap ke qareeb koi sahaara dene waala maujood nahi tha. Aap ne ALLĀH ta’ala se madad ke liye dua ki. Foran ALLĀH ke fazl se aap bilkul theek ho gaye aur wuzu karke itminaan se namaaz ada ki. Aur phir se jaise hi aap ne namaaz mukammal ki aap ki haalat phir se faalij waali ho gai.

****************
Aap Hazrat Khwaja Hasan al-Basri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se tareeqat ka ‘Zaidi’ silsila jaari hai.
(Jo Hazrat Khwaja Sharf-ud-deen Abu Is’haaq Shaami Chishti rahmatullāhi alaihi (Akka / Syria) se ‘Chishti’ silsila kehlaata hai._

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Fuzail bin Ayaaz rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Khwaja Abul Fazl bin Razeen rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Khwaja Abu Ya’aqoob rahmatullāhi alaihi.

****************
Aap ka wisaal 27 Safar 177 Hijri (May 793 A.D.) me hua.

Aap ka mazaar Basra (Iraq) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Abdul Waahid bin Zaid rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm