Islamic Blog

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Banda nawaaz, Gaisu daraaz, Shehanshaah-e-Deccan, Wali al-Kabeer as-Saadiq.

**********
Aap ki wilaadat 4 Rajab 721 Hijri (13 July 1321 A.D.) ko Delhi me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Yousuf Husaini urfe Sayyed Raja bin Sayyed Ali hai.

Aap Husaini saadaat hain.

*****************
Aap ke pardaada Herat me rehte the. Sayyed Abul Hasan Jundib rahmatullāhi alaihi Khurasan se Delhi tashreef laaye the.

Aap ke waalid Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen rahmatullāhi alaihi ke mureed the.

Sultan Muhammad bin Tughlaq ke zamaane me 725 Hijri (1325 A.D.) me aap ka pariwaar Daulatabad (Devgiri) aa gaya.

*****************
731Hijri (1330 A.D.) me aap ke waalid ka inteqaal hua.
Us ke baad aap ke daada ne aap ki parwarish ki aur bunyaadi taaleem di.

15 saal ki umr me aap Hazrat Khwaja Naasir-ud-deen Chiraag e Dehli rahmatullāhi alaihi ke paas taaleem ke liye Delhi aaye.

Aap ne Hazrat Kethli, Hazrat Taaj-ud-deen Bahaadur aur Qaazi Abdul Muqtadir se bhi taaleem haasil ki.
Aap ne Delhi, Mewath, Gwalior, Chander, Aircha, Chatra, Chanderi, Miandhar, Baroda aur Khambaya me taaleem haasil ki.
Aap ne Qur’an, Ilm e nahaw, Hadees, Fiqh, Tafseer, Kalaam, Falsafa aur Tasawwuf ki taaleem haasil ki.

16 Rajab 736 Hijri (1 March 1336 A.D.) ko aap Hazrat Naasir-ud-deen Chiraag e Delhi rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.
Aap ke Peer ne aap ko majeed taaleem haasil karne ke liye farmaaya. Chunanche aap ne Usool-e-Bizoori, Risala Shamsia, Kashaf, Misbah, aur Qadoori ki taaleem haasil ki.

*****************
757 Hijri (1356 A.D.) me Hazrat Nasir-ud-deen Chiraag e Dehli rahmatullāhi alaihi ne aap ko khilaafat ata farmai.

Ek baar aap dusre mureedo ke saath apne peer ki doli uthaakar chal rahe the. Aap ke lambe baal doli ke andar phans gaye. Aap ko bahot dard hone laga. Magar apne peer ki mohabbat aur ta’azeem ki wajah se aap ne bardaasht kar liya aur zaahir na kiya. Jab Hazrat Khwja Naasir-ud-deen rahmatullāhi alaihi ko ye sab pata chala to aap bahot khush hue aur farmaaya :
‘Har ki mureed Sayyed Gaisu daraaz shud,
Wallāh khilaaf-e-nest ki Uoo ishq baaz shud.’
Is tarah aap ‘Gaisu daraaz’ ke naam se mashhoor ho gaye.

*****************
Ramazaan 757 Hijri me Peer ke wisaal ke baad aap ne Khaanqah ki zimmedaari samhali.
Aap 44 saal tak Delhi me rahe aur logo ko taaleeme deen karte rahe.

Aap hamesha ghareebo aur haajatmando ko imdaad karte the. Aap ke paas khaana, kapde ya aur koi cheez aati to aap taqseem kar dete aur har aane wale ko ata farmate. Is liye aap ‘Banda nawaaz’ ke naam se mash’hoor hue.

*****************
Phir jab Timur ne Delhi par hamla kiya to aap apne pariwaar aur mureedo ke saath Daulatabad ke liye rawaana hue.

Bahamani Sultan Taaj-ud-deen Firoz Shah ki daawat par 800 Hijri (1397 A.D.) me aap Gulbarga tashreef laaye.
Aur apni khaanqaah banai.

**********
Dauraan e safar ek baar aap ne Gwalior me Maulana Ala-ud-deen Gwaliori ke ghar par qayaam kiya. Hazrat ko takleef na ho is liye Maulana ne apne ghar walo ko dusre makaan par bhej diya tha. Un ke bhai Maulana Shams-ud-deen bahot beemaar the. Unho ne Khwaja ko apne bhai ki sehat ke liye dua karne ke liye kaha. Khwaja ne unhe agle din aane ke liye farmaaya. Agle din jab Maulana aaye to aap ne farmaaya ‘Maine tumhare bhai ke liye dua ki. Magar mujhe ye farmaan hua hai ki tumhara bhai sirf 10 din ke liye zinda rehne wala hai.’ Maulana ne arz kiya ‘Phir aap ye dua farma dijiye ke mera bhai ba-eimaan dunya se jaaye.’ Aap ne farmaaya ‘Maine us ke liye dua kar di hai.’
10 roz baad raat ko Maulana ke bhai ka inteqaal ho gaya. Khwaja ne us ke janaaza me shirkat ki aur us ki namaaze janaaza padhai. Dafnaane ke baad aap ne qabrastan me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko marhoom ki madad aur hifaazat ke liye istegasah ki aur waapas aaye.
Kuchh din baad Maulana ne apne bhai ko khwaab me dekha. Unho ne us ka haal puchha. To us ne bataaya ki ‘Agar Khwaja ne mere liye Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se istegaasah na ki hoti to mera haal bahot bura hota.’

***************
Aap Hazrat Khwaja Naasir-ud-deen Chiraag e Dehli rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se tareeqat ka ‘(Chishti Nizaami) Husaini’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Muhammad Ilm-ud-deen rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Maulana Ala-ud-deen Gwaliori rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Sayyed Shaah Jamaalullāh Maghribi Husaini rahmatullāhi alaihi.

***************
Aap Arabi, Faarsi, Urdu, Dakhni, aur Hindi ke maahir the.
Aap ne taqreeban 195 kitaaben likhi hai.

Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :
(1) Tafseer Multaqat
(2) Qaseeda Amali
(3) Adab-al-Mureedeen
(4) Awaarif-ul-Ma’arif
(5) Sharah Fasoos-ul-Hukm
(6) Hawashi Kashaf
(7) Miraaj-ul-Aashiqeen
(8) Sharah-e-Mashareq
(9) Sharah Fiqah-e-Akbar
(10) Risaala Qushairriyah
(11) Quwwat-ul-Qalb
(12) Asmaar-ul-Asraar
(13) Hadaiq-ul-Uns
(14) Hazair-ul-Quds.

Aap ke Deccan ki taraf ke 10 mahine ke safar ke dauraan Wa’az aur naseehat ko aap ke Saahabzaade Hazrat Husain Muhammad Akbar rahmatullāhi alaihi ne ‘Jawaami al Kaleem’ naami kitaab me jama kiye hain.

***************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Agar koi Salik shohrat ke liye Ibaadat ya Muraqaba karta hai to wo kabhi Sufi ya Wali nahi ho sakta.
Agar dil me khaufe khuda aur ikhlaas nahi hai to sab amal dikhaawa hai.

(2) Jab tak insaan khud ko dunyawi muamalaat me se door nahi karta wo kabhi sahi raah ko nahi pa sakta.
Sufi (Salik) ko dunyawi muamalaat se masroof nahi rehna chahiye aur aise logo se parhez karna chahiye.

**********

40 saal ki umr me aap ka nikaah Bibi Raza Khaatoon binte Sayyed Ahmad bin Sayyed Jamaal-ud-deen Maghribi ke saath hua.

Aap ke 2 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain.

Saahabzaade :
(1) Sayyed Husain Muhammad Akbar Husaini
(2) Sayyed Yousuf Muhammad Asghar Husaini.

****************
Aap ka wisaal 16 Zil Qa’ada 825 Hijri (1 November 1422 A.D.) ko 101 saal ki umr me hua.

Aap ka mazaar Gulbarga, Karnataka me hai.

****************
ALLAH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Banda nawaaz Gaisu daraaz Sayyed Muhammad Husaini rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm