Islamic Blog

Hazrat Khwaja Hisaam-ud-deen urfe Khub Miya Chishti rahmatullāhi alaihi :

Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-ul-Kaamileen.

****************
Aap ki wilaadat 1203 Hijri (1788 A.D.) me Ahmedabad (Gujarat) me hui.

Aap ke waaild ka naam Hazrat Khwaja Sayyed Rasheed-ud-deen Maudood Laala Chishti rahmatullāhi alaihi hai.

****************
Aap ne apne waalid e maajid se tamaam zaahiri wa baatini uloom ki taaleem haasil ki.

****************
Aap Ilm e Mantiq ke Maahir aur ek behtareen Waa’iz the aur Saahib e nisbat Aulia e Kaamileen me se hain.

Aap jab jawaan hue to Hazrat Khwaja Naasir-ud-deen Chiraag e Delhi rahmatullāhi alaihi ke mazaar shareef ki ziyarat ke liye Dehli tashreef le gaye aur waha se laut kar apni Khaanqaah me rehkar deen ki khidmat me lag gaye aur kai saal tak taaleem e deen karte rahe aur Silsila e Aaliya Chishtiya ke faizaan ko aam katne rahe.

****************
Aap ke 3 saahabzaade hain :
(1) Qibla e aalam Aadamullāh
(2) Khwaja Burhaan-ud-deen
(3) Khwja Fakhr-ud-deen.

****************
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Rasheed-ud-deen Maudood Laala Chishti rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

****************
Aap ka wisaal 9 Zil Qa’ada 1257 Hijri (23 December 1841 A.D.) me Jumeraat ke roz hua aur dusre din baad Namaaz e Juma’a Aap ko dafn kiya gaya.

Aap ka mazaar Shaahi Masjid, Shaahpur, Ahmedabad (Gujarat) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Hisaam-ud-deen Khub Miya Chishti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm