Islamic Blog

Hazrat Makhdoom Ala-ul-Haq Pandwi rahmatullāhi alaihi :

Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Ganj-e-Nabat.

********************
Aap ki wilaadat Pandua (Bengal) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Umar bin Asad al-Khaalidi hai.
Aap Hazrat Khaalid bin Waleed radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

Bengal me islaami hukoomat qaa’im hone ke baad aap ke waalid Lahore se Pandua aa gaye. Un ko shaahi khazaanchi banaaya gaya.

********************
Aap ne Lakhnauti me Maulana Nizaam-ul-Haq Ashshara Wad-deen Sarfi se taalim haasil ki.
Aap bahot saare uloom ke maahir hue.

********************
Jab Khwaja Akhi Siraaj rahmatullāhi alaihi Lakhnauti aaye to aap un ke mureed hue.
Aap apne Peer se be-inteha mohabbat karte the aur hamesha adab ke saath peer ki khidmat karte the.
Jab aap Khwaja Akhi Siraaj ke saath safar me jaate to apne saath ek bartan me garm khaana lekar jaate taake jab bhi Peer ko khaana chahiye to unhe mil jaaye. Aur us bartan ko sar par uthane ki wajah se kai baar aap ke baal jal jaate the.

********************
Apne Peer ke wisaal ke baad aap ne Pandua me apni khaanqah banai.
Aur logo ko taalim wa dars dena shuru kiya.

Aap ne khaanqaah me Langar shuru kiya jis me roz gareebo aur musafiro ko khaana khilaya jaata tha.

Aap bahut sakhi the. Aap apne maal se hamesha taalibaan e ilm, musaafiro, ghareebo aur mohtaajo ki madad karte rehte.

Aap apna zyada waqt ibaadat aur zikr e ilaahi me guzarte.

Bengal ke Sultaan Shams-ud-deen Ilyaas Shaah ke zamaane me aap ko bahot izzat wa shohrat mili.

Ek baar Sultaan Sikandar Shaah ko ye shak hua ki langar me kharch ke liye Hazrat Ala-ul-haq ke waalid un ko shaahi khazaane me se maal dete hain. Is liye us ne Hazrat ko Pandua chhodne ke liye kaha. Aap Pandua se Sonargaon aa gaye. Sonargaon me aap 2 saal rahe. Yaha aap aur zyada mashhoor hone lage aur log zyada ta’adaad me aap ke paas aakar faiz haasil karne lage.

Baad me Sultaan ne aap ko phir se Pandua aane ki ijaazat di.

********************
Aap ka nikaah Khwaja Akhi Siraaj ki saahbazaadi se hua.

Aap ke 2 saahabazaade aur 1 saahabzaadi hain :
2 saahabazaade : Aazam khan aur Shaikh Noor-ul-Haq.

Aap ki beti ka nikaah Hazrat Fareed-ud-deen Tavaela-Bakhsh bin Ibrāheem ke saath hua.

********************
Aap Hazrat Khwaja Akhi Siraaj Chishti rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke Khulfa :
(1) Hazrat Makhdoom Ashraf Jahaangir Simnani rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Shaikh Noor-ul-Haq Noor Qutb-e-aalam rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Shaikh Nasir-ud-deen Manikpuri rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Shaikh Husain Dhukkar-posh rahmatullāhi alaihi.

********************
Aap ka wisaal 786 Hijri (1384 A.D.) me hua.
Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht Suharwardi rahmatullāhi alaihi ne padhaai.

Aap ka mazaar Pandua (Bengal) me hai.

Aap ka Urs 24 Rajab ko manaaya jaata hai.

********************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Makhdoom Ala-ul-Haq Pandwi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm