Hazrat Moosa Alaihis’salaam Hazrat Shoaib Alaihis’salaam ke paas 10 saal tak rahe, aur fir Hazrat Shoaib Alaihis’salaam ne apni Beti ka nikaah Hazrat Moosa Alaihis’salaam ke saath kar diya.
baad me Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne Hazrat Shoaib Alaihis’salaam se ijazat le kar apni Biwi ke saath apni Maa se milne ke liye misr ki taraf rawana huye,
Raaste mein jab raat time aap ek jangal me pahunche to raasta kho gaya…
andheri raat thi, upar se sardi ka mausam tha..
us waqt Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne jangal mein door ek chamakti hui Aag dekhi..
Moosa Alaihis’salaam ne apni Biwi se kaha “Tum yahi ruko, Maine door aag dekhi hai, Main waha jata hu, Shayad waha se kuch khabar mile aur Tumhare taapne ke liye kuch aag bhi laa saku”
Aap Biwi ko wahi baitha kar us aag ki taraf chal pade..
aur jab Hazrat Moosa Alaihis’salaam us ke paas pahunche to waha ek Hara Bhara Darakht (Tree) dekha jis me se upar se neeche tak tez Roshni nikal rahi thi..
Hazrat Moosa Alaihis’salaam jitna us Darakht ke nazdeek jaate wo utna door ho jaata..
aur jab ruk jaate wo Qareeb ho jaata..
Hazrat Moosa Alaihis’salaam us nooraani darakht ke aise ajeeb haal ko dekh rahe thy ki us darakht se Awaaz ayi
“Aye Moosa ! Main Saare Jahaano Ka Rab ALLAAH hu , Tum Bade Pakeeza Maqaam Me Agaye Ho , Apne jutey utaar do , aur jo Tumhe Wahi hoti hai wo kaan laga kar suno , Maine Tumhe Pasand Kar liya”
Hazrat Moosa Alaihis’salaam ke haath me ek asaa (lakdi) tha..
ALLAH ne farmaye “Aye Moosa ! is asaa ko zameen par to daalo”
Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne jab asaa zameen par dala to wo lakdi ka asaa ek khaufnaak badaa saamp ban kar lehraane laga..
Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne jab ye manzar dekha to waha se daud pade aur peeche mud kar na dekha.
Allah ne farmaya “Aye Moosa ! Daro nahi , ise pakad lo , ye fir se wahi asaa ban jayega”
jab Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne Allah ke kehne par wo khaufnaak saamp pakda to jaise hi Aap ka Haath us saamp ko laga wo fir wahi lakdi ka asaa ban gaya.
Allah ne ye Mojeza ataa farma kar Hazrat Moosa Alaihis’salaam se farmaya “Ab firoun ki taraf jao , aur usey darao , aur us ko samjhao , ki wo kufr chor de , aur agar wo koi Mojeza talab kare to ye asaa daal kar usey dikhao”
continue…..
Quraan & Tafseer Khazain-ul-irfaan
. . . . . . . . . . . . . . . .
Sachchi Hikaayaat
Hikaayat No. 73 & 74
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021