Islamic Blog

Hazrat Moosa Alaihis’salaam jab 30 baras ke huye to ek din firoun ke mahel se nikal kar shaher me aye,

waha Aap ne 2 aadmiyon ko ladte jhagadte dekha,

unme se ek firoun ka baawarchi tha aur dusra Hazrat Moosa Alaihis’salaam ki Qaum se tha,

firoun ka baawarchi lakdiyon ka ghatta us dusre aadmi par laad kar use hukm de raha tha ki wo firoun ke baawarchi-khana tak wo lakdiya le chale.

Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne ye dekha to firoun ke baawarchi se farmaya “is ghareeb aadmi par zulm na kar”

lekin wo baawarchi nahi maana, aur bad-zubaani pe utar aaya,

Fir Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne baawarchi ko ek mukka mara,
ek hi mukke me us firouni ka dam nikal gaya aur wo wahi dher ho gaya.

Moosa Alaihis’salaam ne jab haq ka bayaan aur firoun aur firouniyo ki gumraahi ka bayan shuru kiya, to Bani-israel ke log aap ki baat sunte aur maante thy,

Aap firouniyo ke deen ki mukhalifat farmate, dheere-dheere is baat ka charcha ho gaya, aur firouni justuju me ho gaye,

fir firoun ke baawarchi ka Moosa Alaihis’salaam ke mukke se maara jana bhi jab un logo ko maaloom hua, to firoun ne Hazrat Moosa Alaihis’salaam ke Qatl ka hukm de diya,

aur log Hazrat Moosa Alaihis’salaam ki talaash me nikle,

firouniyo me se ek nek aadmi Moosa Alaihis’salaam ka Khair-khwah (well-wisher) bhi tha,

wo bhaagta hua aaya, aur Moosa Alaihis’salaam ko khabar di aur kaha “Aap yaha se kahi aur tashreef le jaiye”

Hazrat Moosa Alaihis’salaam usi haalat me nikal pade, aur Madyan ki taraf rukh kiya,

Madyan wo jagah hai, jaha Hazrat Shoiab Alaihis’salaam rehte thy, ye shaher firoun ke hadd se bahar tha,

Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne uska raasta bhi na dekha tha,
na koi sawari thi,
na koi hamraahi,
to Allah ne ek farishta bheja, jo Aap ko madyan tak le gaya,

Hazrat Shoiab Alaihis’salaam isi shaher me rehte thy, Aap ki 2 ladkiya thi, aur bakriya unka business tha,

Madyan me ek kuwa (well) tha, Hazrat Moosa Alaihis’salaam pehle usi kuye par pahunche, aur Aap ne dekha ki bahot se log us kuye se paani khichte hain, aur apne jaanwaro ko pilaate hain,

Hazrat Shoiab Alaihis’salaam ki dono ladkyan bhi apni bakriyon ko alag rok ke wahi khadi thi.

Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne un ladkiyon se poocha “Tum apni bakriyon ko paani kyu nahi pilati? ”

unho ne kaha “ham se paani ka dol khicha nahi jata, jab ye log chale jayenge to jo paani hauz me bacha rahega wo ham apni bakriyon ko pilayengi”

Hazrat Moosa Alaihis’salaam ko Rahem aa gaya, aur paas me hi ek dusra kuwa bhi tha jis par ek bahot bada aur bhaari patthar dhaka hua tha,
Aap ne akele hi us patthar ko hata diya aur usme se paani ka dol khich ke bakriyon ko paani pilaa diya,

ghar ja kar un dono ladkiyon ne Hazrat Shoiab Alaihis’salaam se kaha “abba jaan ! ek bada nek aur taaqatwar musaafir aaya hai, jis ne aaj ham par rahem kha kar hamari bakriyon ko paani pilaaya”

Hazrat Shoiab Alaihis’salaam ne ek sahab-zadi se farmaya “jao ! aur us nek aadmi ko mere paas bula lao”

badi sahab-zadi parde karte huye Hazrat Moosa Alaihis’salaam ke paas ayi aur kaha “mere abba aap ko bulate hain, taaki aap ko ujrat (mazduri) de”

Hazrat Moosa Alaihis’salaam ujrat lene par to taiyar na huye, lekin Hazrat Shoiab Alaihis’salaam ki mulaqat ke liye chal pade, aur un sahab-zadi se farmaya “aap mere peeche reh kar raasta bataiye” (ye Aap ne parde ki wajah se kaha)

jab Hazrat Moosa Alaihis’salaam Hazrat Shoiab Alaihis’salaam ke paas pahunche to Moosa Alaihis’salaam ne firoun ka haal aur apna saara qissa sunaya,

Hazrat Shoiab Alaihis’salaam ne farmaya “ab koi fikar na karo, tum zaalimo se bach kar chale aye, ab yahi mere paas raho”

continue…..

Quraan & Tafseer Khazain-ul-irfaan

. . . . . . . . . . . . . . . .
Sachchi Hikaayaat
Hikaayat No. 70 & 72

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)