Islamic Blog

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-ul-aqtaab, Sultan-ul-aarifeen, Abul alamain (Father of Two Banners).

***************
Aap ki wilaadat Rajab 512 Hijri (1119 A.D.) me Jum’eraat ko Hasen, Basra (Iraq) me hua.

Aap ke waalid ka naam Sayyed Ali bin Yahyā Nakib aur waalida ka naam Sayyeda Fatima al-Ansari bint Yahya Nijjeri hai.
Aap Husaini saadaat hain.

Aap ki wilaadat se pehle Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Shaikh Mansoor Rabbani rahmatullāhi alaihi ko khwaab me aakar bashaarat di ke ‘Tumhari bahen ke yaha beta paida hone wala hai jo wali e kaamil hoga aur Rifai ke naam se mashhoor hoga.’

***************
Aap ki umr 7 saal ki hui tab Baghdad me aap ke waalid ka inteqaal hua.
Is ke baad aap ke maama Shaikh Mansoor Rabbani aap ko Dikhla le gaye aur unho ne aap ki parwarish ki.

Aap ne Abdus Sami al-Hurbuni se Qur’an ki taalim haasil ki aur Haafiz e Qur’an hue.
Phir Shaikh Mansoor Rabbaani ne aap ko Shaikh Ali al-Waasiti ke paas taalim ke liye bheja.

Aap bahot zaheen the. Aur kam umr me sab taalim haasil ki.

Aap ne Shaafi mazhab ki fiqh ki kitaab ‘Tanbih’ ki tafseer likhi.

20 saal ki umr me Shaikh Abu Fazl Ali al-Waasiti ne aap ko khilaafat ata farmai.

Kuchh waqt Nehre Dikhla (Tigris) par rahe aur phir Hasen aakar apne waalid ke musafirkhaane (sara) me qayaam kiya.

Hazrat Shaikh Mansoor Rabbaani ke wisaal ke kuchh waqt pehle un ki zauja mohtarma ne arz kiya ‘Khilaafat ke liye wasiyat farma den.’
Shaikh Mansoor Rabbaani ne apne bete aur bhaanje Ahmad Kabeer Rifai ko bulwaaya aur dono se farmaaya ‘Khajoor ke patte lekar aao.’
Beta bahot se patte kaat kar le aaya. Magar Hazrat Ahmad Kabeer Rifai koi patta na laaye. Wajah puchhi to arz kiya ke ‘Maine sab ko ALLĀH ki tasbeeh karte hue paaya, isi liye kisi patte ko nahi kaata.’
Hazrat Shaikh Mansoor Rabbaani rahmatullāhi alaihi muskuraye aur apni zauja ki taraf kar dekhkar farmaaya ‘Maine bhi kai martaba apne khalifa ke liye dua ki to har martaba yehi farmaaya gaya ke tumhara khalifa tumhara Bhaanja hai.’

28 saal ki umr me aap ke maama Shaikh Mansoor Rabbani ne apne wisaal ke kuchh arse pehle aap ko khilaafat ata farmaai aur un ke madrasa ki zimmedaari di.

***************
Aap ne tamaam zindagi logo ko Qur’an wa Shariat aur Hadees o Sunnat ki taaleem dena jaari rakha.

Kai baar aap ki masjlis me hazaaro ki ta’adaad me log jama hote the.
Log aap se kitne bhi alag alag sawaal kare aap bagair pareshaan hue un ko jawaab dete the.

***************
Aap Aqtaab e araba (4 Major Qutubs) me se hain.
Aap ko Qutub e waqt (Qutub of the time, not just of a local area) ka martaba mila hai. Ya’ni aap sirf kisi ilaake ya mulk ke Qutub nahi the, apne daur me tamaam dunya ke Qutub the.

***************
555 Hijri me Hazrat Ahmad Kabeer Rifai rahmatullāhi alaihi Hajj ke liye gaye aur Makka me Hajj ke arkaan ada karne ke baad aap Madeena shareef pahunche.

Ek roz Asr ki namaaz ada karne ke baad aap Ghaus e aazam Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu aur deegar Auliya Allāh aur Ulma e kiraam ke saath Huzoor Sarkare Madeena sallallāhu alaihi wa sallam ke Roza e anwar par salaam paish karne gaye.

Aap ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ko is tarah salaam kiya ‘Assalaamu alaikum wa rahmatullāhi Ya Jadadi’.
Roza Mubarak ke andar se jawab aaya ‘Wa alaikum assalaam wa rahmatullāhi Ya Waladi’ ya’ni ‘Aur tum par bhi salaam aur ALLĀH ki rahmat ho, Aye mere bete’.
Aur saath me sunaheri jaaliyo me se noorani haath bahar aaye aur Hazrat Ahmad Kabeer Rafai rahmatullāhi alaihi ne aap sallallāhu alaihi wa sallam ke daste mubarak ko chuma aur phir wo haath Roza mubarak ke andar chala gaya.

***************
Aap hamesha apna kaam khud karte the.

Aap hamesha mareezo, ghareebo, mohtaajo, yateemo, jaeefo, buzurgo ki khidmat me lage rehte.

Aap farmaate the ki ‘Makhlooq par raham karna ye ek aisi sifat hai ki jo bande ko ALLĀH ta’ala ke qareeb karti hai’

Aap masjid me se baahar nikalte waqt andhe logo ko un ke joote talaash karke pehanne me madad karte aur un ko un ke ghar pahunchate ya un ko raasta batate.

Aap buzurgo ki izzat karte aur logo ko bhi kehte ke ‘Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai ki Jo buzurgo ki izzat karega ALLĀH ta’ala us ki zaroorat ke waqt aise log ata farmaega jo us ki izzat kare.’

Aap juzaam (leprosy) ki beemaari walo ki khidmat karte, un ke saath waqt guzaarte aur un ke liye dua karte, un ke kapde dhote, un ko saaf karte, un ke liye khaana laate.

Thandi ke mausam me aap yateemo, beemaaro, ghareebo aur mohtaajo ke ghar par jalaane ke liye lakdiya dene ke liye jaate.

Aap aalimo ki bahot ta’azeem karte the aur farmate ki ‘Aalim qaum ke raahnuma hote hai.’

Aap logo ko un logo ki sohbat se door rehne ke liye farmaate jo bad-tameez ho, takabbur wale ho aur jo logo se bin zaroori bahes karte ho.

Aap logo ko mubaah kaam me bhi zyadati karne se bachne ke liye farmaate jaise zyada khaana aur zyada sona.

Aap raat ka aksar waqt Ibaadat aur Tilaawate Qur’an aur Zikre ilāhi me guzaarte the.

***************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Haddadiya me ek aurat ko mare hue bache paida hote the. Us ne dua ki ke ‘Agar mujhe aulaad hogi to main use Ahmad Kabeer Rifai ki khidmat me de dungi.’ Kuchh arse baad use ek ladki paida hui magar wo kubaani aur langdi thi. Is wajah se gaanv ke ladke us ka mazzaaq udate the.
Ek baar Hazrat Ahmad Kabeer Rifai us gaanv me aaye to sab log un ki ziyarat ke liye pahunche. Wo ladki Hazrat ke qadmo me gir gai aur rote hue kaha ‘Aap meri waalida ke peer hain. Mujhe is pareshaani se najaat dila dijiye.’ Aap ko raham aa gaya aur aap ne dua ki aur apna haath us ki pusht par aur sar par pher diya. Foran ALLĀH ke fazl se us ladki ki peeth aur pair durust ho gaye.

(2) Ek baar Hazrat Ahmad Kabeer Rifai ke bhaanje Hazrat Abul Farah bin Ali rahmatullāhi alaihi aap ke paas malfoozaat (naseehat) sunne ki niyyat se baithe the.
Itne me ek shakhs waha aaya. Hazrat ne use Marhaba kaha. Us ne kaha ‘Maine 20 roz se kuchh khaya peeya nahi hai. Main chahta hu ke mujhe khaane peene ke liye kuchh mil jaaye.’
Aap ne farmaya ‘Tumhari khwahish kya hai?’ Us ne aasman ki taraf nigaah uthai to dekha ke 5 Murgaabiya (ek parinda) udti hui ja rahi hain. Us ne Kaha ‘Kaash un me se ek mujhe bhuni hui mil jaaye, jis ke saath gehu ki rotiya aur thande paani ka maskija bhi ho.’
Ye sunkar aap ne farmaaya ‘Ye murgaabiya tere liye hi hain.’ Phir aap ne udti hui murgaabiyo ki taraf dekhkar farmaaya ‘Is shakhs ki khwaahish jaldi puri kar do.’ Jaise hi aap ne ye kaha ke foran un murgaabiyo me se ek bhuni hui aap ke paas aakar giri. Phir aap ne apne pehlu me pade hue 2 pattharo ko haath me liye to wo behtareen qism ki gehu ki rotiya ban gaye. Phir aap ne apna haath fiza me buland kiya to surkh rang ka thande paani se bhara hua ek maskija aap ke haath me aaya.
Jab wo shakhs kha pee kar chala gaya to Hazrat ne Murgaabi ki haddiyo ko baayen haath me lekarus par apna daahina haath phera aur farmaya ‘Aye haddiyo aur paththo khuda ke kukm se aapas me jud jaao.’ Phir aap ne ‘Bismillāhir rahmānir raheem’ padhi to wo murgaabi zinda ho gai aur hawa me udti hui chali gai.

***************
Ek baar Jum’aa ko aap sokar uthe to dekha ki aap ke kurte par billi so rahi hai. Aap ne apni biwi ko qainchi dene ke liye kaha aur kurte ka utna hissa kaat daala aur namaaz ke liye chale gaye. Aap jab waapas aaye to wo billi waha se chali gai thi. Aap ne wo kurte ka tukda uthaya aur apni biwi ko use silkar kurte me lagane ke liye kaha. Jab aap ne apni biwi ki naraazgi dekhi to aap ne farmaya ‘Fikr mat karo. Jo hua hai achha hi hua hai aur mujhe is ki wajah se koi pareshaani nahi hui hai. Ye achha kaam tha.’

Ek martaba Aap jaa rahe the aur ek tiddi aap ke kapdo par baith gai to jab tak tiddi ud na gai aap usi jagah dhup me thehre rahe aur phir farmaaya ‘Is ne hum se saaya haasil kiya.’

Ek baar aap ne khaarish zada (khujli wale) ek kutte ke ilaaj me 40 din guzaare. Logo ne jab puchha ki ‘Aap ne aik wehshi jaanwar ke liye itna waqt kyun guzaara?’ To aap ne farmaaya ‘Agar ye mar jaata to jab main apne khaaliq se milta aur wo puchhta ki tum ne meri makhlooq ki madad kyun nahi ki to main kya jawaab deta.’

***************
Aqwaal :
¯¯¯¯¯¯
(1) Tareeqat aur Shariat alag alag nahi ho sakte magar saath saath hote hai. Agar Shariat sahi nahi to Tareeqat bhi sahi nahi hogi.

(2) Adab ALLĀH ta’ala ka ata kiya hua noorani taaj hai. Jo ise pehan leta hai wo buraai se mehfooz ho jaata hai. Taqwa jis darwaaze se aata hai wo Adab kehlaata hai.

***************
Aap ki nasl Sayyed Ziya-ud-deen Mohammad Madyan se jaari hai.
(Aap ke dusre beto ka bachpan me hi inteqaal ho gaya.)

Aap ki 2 betiya hain :
Sayyeda Faatima aur Sayyeda Zainab.

***************
Aap Hazrat Abu Fazl Ali al-Waasiti rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se Tareeqat ka ‘Rifaeeya’ silsila jaari hai.

Aap ke Khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Ziya-ud-deen Mohammad Madyan rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Sayyed Izz-ud-deen Ahmad rahmatullāhi alaihi;
(3) Hazrat Sayyed Ali Mirbaaz rahmatullāhi alaihi.

***************
Aap ka wisaal 22 Jamaadil awwal 578 Hijri (1183 A.D.) ko Jum’eraat ke din hua.

Aap ka mazaar Wasit, Basra (Iraq) me hai.

************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Ahmad Kabeer Rifai rahmatullāhi alaihi aur Ahle bait ke aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm