Islamic Blog

Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Bari Imaam Sarkaar.
****************
Aap ki wilaadat 1026 Hijri (1617 A.D.) me Karsal (Zila Chakwal, Punjab) me hui.
Aap ke waalid ka naam Sayyed Sakhi Mahmood hai.
Aap Husaini saadaat hain.
****************
Aap ki umr 8 saal ki thi tab Aap ka pariwaar Bagh Bhattan (maujooda Aabpara) aa gaya. Aur yaha kaasht kaari (kheti) shuru ki. Aap apne waalid ko madad karne ke liye jaanwar charaane jaate the.
Bachpan se hi Aap khel kood ke bajaay jaanwaro ko charaate waqt alaahidgi me ibaadat me masroof rehte.
ALLĀH ta’ala ke fazl se Aap ki zabaan me ye Taaṡir paida ho gai ke jo baat munh se nikaalte wo puri ho jaati.
Aap ne apne waalid se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
12 saal ki umr me Aap Ghor Ghashti (Maujooda Attock) gaye aur 2 saal tak Qur’ān, Tafseer, Hadeeṡ, Fiq’h, Mantiq, Ilme Riyaazi aur Ilme Tibb ki ta’aleem haasil ki.
****************
Phir Aap Kashmir, Badakhsha, Najaf, Karbala, Baghdaad, Bukhara, Misr, aur Damishq ki Sair o Siyaahat karte rahe. Phir waha se Makka mukarrama aur Madeena munawwara tashreef le gaye aur Hajje Baitullāh ada kiya.
Taqreeban 25 baras ki umr me Aap apne ghar waapas tashreef laaye.
Aap Hazrat Sayyed Hayaat-ul-Meer Qaadri rahmatullāhi alaihi ke mureed hue aur Hazrat ki khidmat me rehkar ta’aleem wa faiz haasil karte rahe.
****************
Aap ka nikaah Bibi Nek daaman se hua. Jin se Aap ko ek ladki hui jis ka 6 mahine me intiqaal hua. Phir kuchh arse me Aap ki zauja ka bhi intiqaal hua.
****************
Is ke baad Aap mujaahida me kasroof ho gaye.
Ek martaba Aap Noorpur ki ek badi ghaar me Chille ke liye daakhil hue aur kai saal tak baahar nahi nikle. Aakhir Aap ke Peer o Murshid Hazrat Sayyed Hayaat ul Meer Qaadri quddasa sirrahu tashreef laaye aur ghaar ke darwaaze par khade ho kar aawaaz di “Aye Abdul Lateef! Ab baahar aa jaao, Aaj ka din bada mubarak hai.” Aap ne ghaar ke andar se jawaab diya “Khair Mubarak Ya Hazrat.” aur phir baahar aaye.
Hazrat ne Aap se muaanaqa kiya aur masarrat ke saath farmaaya ke “Abdul Lateef! Ab tum zaahiri wa baatini Rumooz o Asraar se ma’amoor ho chuke ho. Aaj se tum Bari Imaam ho.”
****************
Aap ek Aalime Ba-Amal the.
Aap Hanafi mazhab ke muqallid the.
Aap ne Churpur (maujooda Noorpur Shahan) me qayaam kiya aur waha Rushd o Hidaayat ka silsila ahsan tareeqe se shuru kiya. Deene mubeen ko munazzam Andaz me jaari karne ke liye Darsgaahen qaa’im ki aur ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.
Aap ne Madrase taamir karke Qura’n, Arabi Uloom aur Darse Nizaami ki ta’aleem wa tadrees shuru ki. Khaanqaahe taamir karke Tasawwuf ki ta’aleem o tarbiyat shuru ki. Masaajid taamir karke wa’az o hidaayat karte rahe.
Aap ki ta’aleem wa faiz se beshumaar logo ne islaam apnaaya.
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Ek Roz Aap Churpur ke Jungle me ek khushk shisham ke darakht ke neeche baithe hue the ke chand Hinduo ka qaafla waha se guzra. Aap ne un Yaatriyo se daryaaft kiya “Tum sab itne saaz o saamaan ke saath kaha jaa rahee ho?” Un me se ek ne jawaab diya ke “Prayaag.” Aap ne puchha “Waha jaa kar kya karoge” Jawaab mila “Ganga aur Jamna ke sangam par Snaan karke apne paap dhoenge.” Aap ne farmaaya ke “Gunaah nahaane se door nahi hote, Nekokaari aur ibadate Ilāhi se hi gunaah saaf hain.” Ek shakhs bola “Agar makhfi Ibaadat hi se insaan khuda ke qareeb ho sakta hai to Aap kai barso se is khushk aur puraane darakht ke neeche ibaadat kar rahe hain, magar Khuda ne Aap par raham nahi farmaaya. Warna wo is darakht ko hara bhara kar ke Aap ke sar par chhaanv ka intezaam kar deta.”
Us Hindu ki is baat par Aap muskuraae aur farmaaya “Mere Khuda ke liye ye koi badi baat nahi hai. Hum musalman uski zaat par tawakkul rakhte hain. Wo bada Gafoorr Raheem hai. Wo agar chaahe to is darakht ko foran hara bhara .”
Yeh kehkar Aap ne Aayate paak padhi aur Dua ke liye haath uthaae. ALLĀH ke fazl se wo puraana aur khushk shisham ka darakht foran hara bhara ho gaya, uski shaakhen badh gai. Yeh dekh kar Hindu Yaatriyo ka pura qaafla heraan reh gaya aur foran sab log musalman ho gaye.
****************
Aakhri arse me Aap aalame mazdoobiyat me rehne lage.
****************
Aap Hazrat Sayyed Hayaat-ul-Meer Zinda Peer Qaadri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Hasanain rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Shaah Bahlool Daryai rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 4 Jamaadi ul awwal 1114 Hijri (1705 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Noorpur Shahan, Islamabad (Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Shaah Abdul Lateef Qaadri Kaazmi urfe Bari Imaam Sarkaar rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)