Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh ul Islaam.
****************
Aap ki wilaadat 409 Hijri (1018 A.D.) me Hakkaar, Mosul (Iraq) me hui.
Aap ke waalid ka naam Ahmad bin Yousuf hai.
Aap Abu Sufyaan Mugheera bin Haaris bin Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
****************
Aap ne apne waalid se ibtidaai taaleem haasil ki.
Phir Aap ne Haramain shareefain aur dusre mulko ka safar karke bahot saare ulama, mohaddeeseen aur masha’ikh se Qur’an, Hadees aur Fiqh ki taaleem haasil ki.
Makka mukarrama me Hazrat Shaikh Abul Hasan Mohammad bin Ali bin Sakhar al-Azadi rahmatullāhi alaihi se, Misr me Hazrat Shaikh Abu Abdullāh Mohammad al-Fazl rahmatullāhi alaihi se aur Baghdad me Hazrat Abul Qaasim rahmatullāhi alaihi wagairah se Ahadees akhz kiye.
Phir apne watan waapas aaye.
Aap Hazrat Shaikh Abul Farah Yousuf al-Tartusi rahmatullāhi alaihi ke mureed hue aur Peer ki sohbat wa khidmat karke taaleem wa faiz haasil kiya.
****************
Aap ‘Jable Hakaar’ par 40 saal tak ibaadat wa mujaahida me mashgool rahe. Is arse me ALLĀH ke fazl se aap par tajalliyat ka zahoor hua aur arsh se farsh tak sab kuchh munkashaf ho gaya.
Aap Isha aur Tahhajud ke darmiyaan 2 khatm Qur’an majeed ki tilaawat karte.
Aap lagaataar 3 roze rakhte aur phir ifataar karte.
****************
Aap Raahbar e shariat, Waaqif e Rumooze haqeeqat, Aarife Rabbaani aur Muqtada e ahle zamaan the.
Aap logo ko taaleem wa faiz ata farmaate rahe.
Aap hamesha shariat par amal karte aur logo ko sunnato par amal karne ki aur buri bid’ato se bachne ki ta’aqeed farmaate.
****************
Aap Hazrat Shaikh Abul Farah Yousuf al-Tartusi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Abu Saeed Mubarak al-Makhzoomi rahmatullāhi alaihi,
(2) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Shaikh Taahir rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 1 Moharram 486 Hijri (1 February 1093 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Hakkar, Baghdad (Iraq) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Abul Hasan Hakkaari rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021