Islamic Blog

Aap ki wilaadat 8 Zil Hijjah 1326 Hijri (31 December 1908 A.D.) ko Jumeraat ke roz Tarim, Hadramaut (Yemen) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Abdullāh bin Ahmad aur waalida ka naam Faatima binte Hasan hai.

Aap Hazrat Abbaad bin Bishr al-Awsi al-Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

****************
9 saal ki umr me Aap sirf 97 din Haafize Qur’an hue.

Aap ne Hazrat Habeeb Abdullāh ibn Aydarus ibn Alwi al-Aydarus, Shaikh Abu Bakr ibn Abdullāh al-Khateeb, Shaikh Abdur Raheem ibn Abdullāh ibn Saleem al-Khateeb, Habeeb Abdur Rahmān ibn Ubaidullāh as-Saqqaf, aur Habeeb Alwi ibn Abdur Rahmān as-Seri se taaleem haasil ki.

Aap Qir’at, Tafseer, Tawaarikh, Ilme Nahaw, Adab aur Fiqh ke maahir the.

Aap ne ‘Al-Mutanabbi’ ki 3 jild 3 din me hifz kar li.

Aap baghair kaagaz o qalam ya calculator ke koi bhi ginti kar dete the.

****************
1353 Hijri (1935 A.D.) me jab aap ki umr 27 saal ki thi tab Ulama ne Aap ko Tarim ke Qaazi ka ohada dene ka mashwara kiya. Magar Aap ne ye sochkar inkaar kiya ke mujh se behtar aur bujurgh ulama maujood hain.

Is ke baad 1358 Hijri (1940 A.D.) me Aap Singapore aa gaye aur Al-Haddad pariwar ki Property company me Clerk bane. Jab Aap ke paas kuchh raqam jama hui to Aap ne Kandahar Street me khud ki Company shuru ki.
Is dauraan Aap madrasa me taaleemi class me saamil hote rahe magar khud taaleeme deen ka kaam nahi karte the.
Hazrat Sayyed Muhammad bin Saleem al-Attaas Aap ke khaas dost the.

1367 Hijri (1948 A.D.) me Aap ka nikaah Al-Khateeb pariwaar me hua.
Aap ke 3 saahabzaade aur 5 saahabzaadiya hain.

****************
1386 Hijri (1967 A.D.) me Aap Haram shareef ke liye rawaana hue.
Aap ne Madeena munawwara me 5 saal qayaam kiya. Pehle Aap ek Ribat me thehre. Phir Aap ek makaan me rahe jo Shaikh Abdullāh ibn Muhammad Basader ne Aap ke liye tayyaar kiya.
Yaha Aap ne ‘Maqaamat-ul-Hariri’ hifz ki.
Is ke baad Makka mukarrama tashreef le gaye aur waha 5 saal sukoonat pazeer rahe.
Haramain shareefain me Aap ka bahot ehtaraam kiya jaata tha aur Aap ke liye ek khaas kursi rakhi jaati thi.

****************
1396 Hijri (1977 A.D.) me Ulama e Sigapore ke israar par Aap Singapore waapas aaye aur taaleem wa tadrees ka kaam karte rahe.
Aap din aur raat talba ko taaleem wa tadrees karte the.
Sanichar ko shaam ko Aap Fiqh ki taaleem dete. Itwaar ko subah ko Halaqah ke zariye Sahih Bukhari wa Sahih Muslim ki aur Imaam Muhammad al-Ghazaali rahmatullāhi alaihi ki kitaab ‘Ihya ul uloom ul deen’ ki taaleem dete. Itwaar aur Peer ki raat ko Ilme Nahaw ki taaleem dete. Shab e Jum’aa ko Aap ke Hillside Drive, Serangoon me makaan par Ulama e Singapore ki Mehfil e Roha (discussions of classical Islami books) hoti.

Aap apne shaagirdo ka khaas khayaal rakhte. Shaagirdo ka chehra dekhkar us ki haal jaan lete the.
Ek martaba ek shaagird class me daakhil hua to Aap ne us se puchha “Bila mahu kahwin? (Tum shaadi kab kar rahe ho?)”. Sab is sawaal se ta’ajjub hua. Magar Aap ne us shaagird ko ye sawaal is liye puchha tha ke us ne do billiyo ko dekhne ke liye apni motorcycle roki thi.

Aap puraane talba ki galtiyo par ghussa bhi hote the magar kuchh der baad aap ki naraazgi door ho jaati.

Aap ke paas jo khairaat aati thi us se Aap apne watan Tarim (Yemen) ke ghareebo ko madad karte the.

****************
1412 Hijri (1992 A.D.) me jab Aap Hasptal me the tab Aap ne tadrees mauqoof karke ‘I’raab-ul-Qur’an (Understanding Al-Quran through Arabic grammar and literature) shuru kiya. 5 saal ki mahenat me Aap 29we pare tak pahunch gaye.

****************
Aap ‘Shaazili Ba-Alawiya’ silsila ke Shaikh hain.

****************
Aap ka wisaal 20 Jamaadi ul Awwal 1418 Hijri (22 September 1997 A.D.) ko Peer ke roz Subah ko 90 baras ki umr me hua.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Allama Umar bin Abdullāh al-Khateeb rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm