Islamic Blog

Aap ki wilaadat Suharward (Zanjan, Iran) me 480 Hijri (1097 A.D.) me hui.

Aap ke waalid ka naam Abdullāh al-Bakari hai.
Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala nahu ki nasl se hain.

******************
Aap ne Baghdad me taaleem haasil ki.
Aap ne ‘Shafi’i’ mazhab ki taaleem haasil ki.

Phir 30 saal tak Aap Nehre Dajla (Tigris) ke kinaare talba ko taaleem dete rahe.

Aap paabande shariat aur zaahid wa muttaqi the.

******************
Aap ki likhi hui mash’hoor kitaab :
Adab-ul-Mureedeen.

******************
Aap Hazrat Majd-ud-deen Ahmad al-Ghazaali rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ko Hazrat Shaikh Umar al-Bakari al-Suhrawardi rahmatullāhi alaihi se bhi ‘Ad’hami’ silsila ki khilaafat mili hai.
Aap ko Hazrat Shaikh Ismāeel Misri rahmatullāhi alaihi se bhi khilaafat mili hai (jin ka silsila Shaikh Kumail bin Ziyad rahmatullāhi alaihi tak pahunchta hai).

Aap se ‘Suharwardi’ silsila jaari hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar al-Suharwardi rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Shaikh Zia-ud-deen Ammaar bin Yaasir al-Bitlisi rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Shaikh Qutb-ud-deen Muhammad al-Abhari rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Shaikh Ismāeel al-Qasri rahmatullāhi alaihi.

******************
Aap ka wisaal 20 Jamaadi ul awwal 563 Hijri (1168 A.D.) me hua.

Aap ka mazaar Baghdad (Iraq) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Ziya-ud-deen Abul Najeeb Abdul Qaahir Suharwardi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm