Islamic Blog

Khalifa e Sani Hazrat umar Farooq ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه )
nE 24 LaKh MurabBah Miles Per HaKoomat ki.
– Raton ko uTh uTh Ker Paira Detay Thay,
aur Logon ki ZaroRat ka Khayal RaKhtay Thay,
KehTay Thay Ager

Furaat K kinary eK Kutta Bhi PayaSa Marr Gaya to Kal Qayamat K Din uMar sE iSS Bary main Pucha Jaye Ga.

eK Dafa Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) DarBar ka waQt Khatem Hony K Baad Gher Aye aur KiSi Kaam main Lagg Gaye,
– iTne main eK ShaKs Aya aur Kehnay Laga.

aye Ameer ul Monineen Aap Falan ShaKs sE meRa Haqq Dilwa Dijiye.

Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) ko Buhat GusSa Aya aur Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) nE eK DurRa uS ShaKs ki Kamar Per Mara aur Kaha,

Jab main DarBar LagaTa Hon uS waQat Tum Apnay MamLaat le Ker naHi Aatay.
aur Jeb main Gher K Kaam Kaaj main Masrrof Hota Hon to Tum Apni ZarooTain le Ker Aa Jaty Ho.

– Baad main Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) ko Apni GhalTi ka EhSaS Hua toh Bohat PreeShan Hoye aur uS ShaKs ko ( JiSay Mara Tha ) Bulwaya.
– aur uS K Hath main DurRa Diya aur Apni Kamar Agay Ker K Kaha Mujhe Maro MaiNe Tum sE Zayati ki,
– waQat ka BadShah, 24 LaKh MurabBah Miles ka HuKamran eK Aam Aadmi sE Kah Raha Hai Maine Tum sE Zayati ki Mujhe woHi Saza Do…..

– uS ShaKs nE Kaha Maine Aap ko Maaf kiya,
Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Kaha

naHi – naHi, Kal Qayamat ko Mujhe iSS ka Jawab Dena Pary Ga Tum Mujhe eK DurRa Maro Tah Kah TumHara Badla Pura Ho Jaye.

– Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Rotay Jaty Thay aur Fermate Thay

” Aye uMar to Kaafir Tha
Zalim Tha
BaKriyaan Charaata Tha
AlLah nE Tujhe iSlam ki Dolat sE Mala Maal kiya
aur Tujhe Musalmano ka Khalifa Banya
Kaya to Apny Rab K EhSaano ko Bhool Gaya
– Aaj eK Aadmi Aa K Tujhe Kehta Hai Keh Mujhe meRa Haqq Dilao to to Osay DurRa Marta Hai
Aye uMar Kaya to Yah Samjh Baitha Kah to Mary Ga naHi ???
Kal Qayamat K Din Tujhe AlLah ko eK eK Amal ka HiSab Dena Pary Ga. “

– Hazrat uMar Farooq iSS Baat ko Duhraatay Rahy aur Bari Dair TaK Rotay Rahy. –

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)

One Response