Islamic Blog

Khalifa E Doum(दौम – Second Khalifa), Amirul Mu’minin, Khalifatul Muslimeen, Imamul Aadileen, Gaizul Munafiqeen, Wazeer E Risalat Ma’ab, जां नीसारे रसूल, Adalat Ke Taajdar, Aasmani Sahabiyat Ke Darkhsha Maahtaab, Nizam E अद्ल Ke Aaftab E Aalamtaab, Hazrat E Sayyedna Sarkar Umar Farooq E Azam رضی اللہ عنہ

Hazrat Sayyadina Farooq-E-Aazam رضی الله عنہ Ke Kuch Zaruri Farmaan:

  • Jo Khud Ko Aalim Kahe Wo Sabse Bada Jaahil Hai.
  • Budhaape Se Pehle Jawaani Ko Aur Mout Se Pehle Budhaape Ko Ganeemat Jaano.
  • Sab Se Buri Do Aawazein He.
    1. Raag Ki Aawaaz (Gaano Ki Aawaaz).
    2. Noha ( Yaani Maatam ) Ki Aawaaz
  • Kam Bolna Danaai (Aqalmandi) He, Kam Khaana Sehat Aur Tandrusti He, Kam Sona Ibaadat He, Aur Logo Se Kam Milna Isme Aafiyat He.
  • Kisi Musalmaan Ke Liye Munaasib Nahi Ke Rizq Ki Talaash Me Baith Jaaye Aur Dua Kare Ke “Ay Allah ! Mujh Ko Rozi De” Kyunki Tum Jante Ho Ki Aasmaan Se Chaandi Sona Nahi Barsta.
  • Momin Allah Aur Rasool عزوجل  و ﷺ Ke Dushmano Se Dosti Nahi Karte Agarche Woh Unke Maa Baap Hi Kyu Naa Ho.
  • Maal Se Duniya Me Izzat Milti He Aur Nek Aamaal Se Aakhirat Me.
  • Bura Chahne Waalo Ki Dosti Se Parhez Kare Kyunki Agar Wo Kabhi Bhalai Bhi Karna Chahega To Usse Buraai Hi Sarzad Hogi.
  • Jo Aapko Aapke Aib ( Buraai ) Se Waaqif ( Aagaah ) Karaaye Wo Sachcha Dost He Aur Muh Par Tareef Karna Aisa Hi Jaise Dusre Ko Zibah Karna.
  • Zyada Hasne Se Umar Kam Hoti He Aur Rua’b Aur Dabdaba Jaata Rehta He, Zyada Hasnaa Mout Se Ghaafil Hone Ki Nishaani Bhi He.
    [Hawala Kitab – Shaan E Umar Ibne Khattab]

Hazrat Umar Bin Khattab Radiallahu Anhu Ki 6 Anmol Naseehatain:
  • Jo Aadmi Zyada Hasta Hai Us Ka Roab Kam Ho Jata Hai.
  • Jo Mazaak Zyada Karta Hai Log Usko Halka Aur Be-Haisiyat Samajhte Hai.
  • Jo Baatein Zyada Karta Hai Uski Lagzishain Zyada Ho Jati Hai.
  • Jis Ki Lagzishain Zyada Ho Jati Hai Uski Hayaa Kam Ho Jati Hai.
  • Jis Ki Hayaa Kam Ho Jati Hai Uski Parhezgari Kam Ho Jati Hai.
  • Jis Ki Parhezgari Kam Ho Jati Hai Uska Dil Murda Ho Jata Hai.
    [Hayat E Sahaba, Jild-3, Safa-562]
Hazrat Umar Bin Khattab Quotes And Sayings In Roman Urdu Hindi English:
  • Hazrat Umar Radiallahu Taala Anhu Ne Farmaya Ki Aadmi Ki Sanaakhat Ke Teen(3) Mawake Hain,
    (1) Safar Mein Uske Sath
    (2) Ya Uske Pados Mein Rehta Ho
    (3) Ya Uske Sath Len-Den Ya Karobar Ka Mu’amela Ho.
    [Muslim]
  • Hazrat Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Mene Suna, Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Farmate Hain: “Agar Tum Allah Par Tawakkal Karo Jis Tarah Allah Par Tawakkal Karne Ka Haq Hai, To Woh Tumhe Is Tarah Rozi Dega Jis Tarah Wo Parindo Ko Rozi Deta Hai, Wo Subha Bhuke Nikalte Hai Aur Shaam Ko Pait Bhar Kar Waapas Laut-Te Hain”.
    [Tirmizi]
Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm