Islamic Blog

Hazrat Umm e Salma radi Allah Se Riwayat Ek Hadees Pak

Hazrat Umm e Salma radi Allah Se Riwayat He Ke
Rasul Allah Sallallaho Alayhi Wasllam Ne Farmaya Ke
Jab Tum Kisi Bimaar Ki Iyadat
Ya Marne Wale Ki Ta’ziyat Ke Liye Jao To
Acche Kalimaat Kaho
Kyun Ke Tumhare Kalimaat Par Farishte Aamin Kehte He

Reference [ Muslim Shareef ]

So Dosto Jab Koi Itiqaal Kar Jaye To Intiqal Hone Wale Ke Bare Me Accha Gumaan Rakkho aur Uss Ki Acchi Bato Ko Yaad Karo
Isi Tarah Jab Bimaar Ko Milne Jao To
Uss Ko Bhi Taslli Do or
Shifa Ki Duwa Karo

Allah Hame Amal Ki Taufeeq De
AAMIN SUMMA AAMIN

Sawaal: Pine Aur Khane Ki Chiz Me Makhhi Gir
Jaye Toh Kiya Karna Chahiye ?

Jawaab: Abu Daud Ne Hazrat-E-Abu Huraira
(Radi Allahu Ta’ala Anho) Se Rivayat Ki Hai Ki,
Rasool-e-Paak (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya:
“Jab Khane Me Makhkhi Gir Jaye Toh UsKo Gota
(Dubana) Do Kyun Ki Us Ke Ek Par(wings) Me
Bimari Hai Aur Dusre Me
Shifa Hai Aur Usi Par Se Apne Ko Bachati Hai Jis
Me Bimari Hai (Wahi Par Khane Me Pehle Dalti
Hai Jisme Bimari Hai Lihaza Puri Ko Gota (Duba)
Do.”
[ Sunane Abu Daud Hadees No : 3844 Jild- 3, Page No 511 ]
Sabak: Makkhi Ko Dubana Us Surat Me Mumkin
Hoga Jab Ki Khane Ya Pine Ki Cheez Patli
(Liquid) Ho Jaise Ki Paani, Sharbat , Daal, Saalan
Wagaira.
Agar Liquid Na Ho To Aap Us Thodi Jagah Se Uss
Chiz Ko Kinare Dal De Take Chinti Wagaira Khale.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)