Hazrat Usmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu :
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Ghani, Zun-Noorain, Sayyed-ul-Askhiya.
***********
Aap ki wilaadat 579 A.D. me (Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki wilaadat ke 6 saal pehle) Taa’if me hui.
Aap ke waalid ka naam Affaan ibn Abul Aas aur waalida ka naam Arwa bint Karaiz hai.
Aap Quraish ke Banu Umayya qabeele se ta’alluq rakhte hain.
Jo Makka ke bahot ameer aur izzatdaar khandano me se hain.
Aap ki naani Umme Hakeem Baida binte Abdul Muttalib Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke waalid Hazrate Abdullāh ki Tuwaama (judwa bahen) thi aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki fufi thi.
*********
Aap ne 611 A.D. me Shaam (Syria) se tijaarat ke safar se waapas aane par Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki daawat se Islaam apnaaya.
Aap musalman hone wale chothe (4) mard hain.
Aap ke musalman hone par aap ki 2 biwiya : Umme Amr bint Jundab aur Faatima bint Waleed, aap ko chhodkar chali gai.
Aap ke chacha Haqam bin Abil Aas ko jab aap ke musalman hone ka pata chala to unho ne aap ko pakadkar baandh diya aur kaha ‘Tum apne baap-daada ka deen chhodkar ek naya deen ikhtiyaar karte ho. Main tumhe us waqt tak nahi chhodunga jab tak tum deene Islaam ko na chhod doge.’
Aap ne farmaaya ‘Khuda ki qasam! Main deene Islaam ko kabhi nahi chhodunga aur kabhi is se juda na hounga.’ Baar baar ye jawaab sunkar aakhirkaar aap ke chacha ne aap ko chhod diya.’
*********
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par 5 Nabawi (614–615 A.D.) me aap ne apni biwi Ruqayya bint Huzoor Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ke saath Habasha (Abyssinia) hijrat ki. Muhaajireen ke is giroh me 11 musalman mard aur 4 aurte thi.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke ‘Hazrate Usmaan Ghani un musalmano me se hai jinho ne deen e islaam ki khaatir sab se pehle hijrat ki hai.’
Phir kuchh waqt baad aap Hazrate Ruqayya ke saath Makka waapas aa gaye.
622 A.D. me aap ne apni biwi Hazrate Ruqayya ke saath Madeena hijrat ki aur Aap Abu Talha ibn Saabit ke yaha thehre. Phir kuchh waqt baad aap ne apna khud ka makaan bana liya.
*********
Hazrate Usmaan Ghani ne Jang e Badr ke ilaawa har Jang me shirkat ki.
Jang e Badr ke mauqe par aap ki biwi Ruqayyah shadeed beemar thi aur aap un ki khidmat ke liye rooke the. Lekin jab Jang e Badr me musalmano ki fateh ki khabar mili us se pehle hi Hazrate Ruqayya ka inteqaal ho chuka tha.
**********
Aap Ashra e mubashara me se hain.
Aap ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne 2 baar Jannati hone ki bashaarat di.
Aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam kaha karte the ke ‘Jise Jannati insaan ko dekhna ho wo Hazrate Usmaan Ghani ko dekh le.’
*********
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam aksar aap ko apne khat likhne ka kaam dete the.
Aur kai baar ‘Wahy’ (Aayate) bhi likhwate the.
**********
Aap ki Sakhaawat mash’hoor hai.
Aap ko ‘Ghani’ aur ‘Sayyed-ul-Askhiya’ kaha jaata hai ya’ni ‘Tamaam sakhiyo ke sardar’.
Aap ko ALLĀH ta’ala ne bahot maal o daulat ata farmaaya tha. Magar aap hamesha saadgi se rehte the aur sunnat e rasool par amal karte the aur ALLĀH ki raza ke liye ishq e Rasool ke saath zyada se zyada khairaat karte rehte the.
**********
Jab Muhaajireen Makka mukarrama se hijrat karke Madeena munawwara me aaye to yaha ka paani pasand na aaya jo khaari tha.
Madeena Munawwara me ek shakhs ki milkiyat me chashma tha, jis ka naam ‘Beer e Ruma’ tha. Wo shakhs apne chashme ka paani bechta tha.
Huzoor sallallaāhu alaihi wa sallam ne us se farmaya ‘Tum ye chashma mujhe jannat ke chashme ke badle bech do aur Jannat ka chashma mujh se le lo.’
Us ne arz kiya ‘Mere aur mere baal bacho ki rozi isi se hai. Mujh me taaqat nahi.’
Ye khabar Hazrat Usmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ko pahunchi to aap ne 35000 dirham dekar us shakhs se wo chashma khareed liya.
Phir aap ne Huzoor Sarware kaunain sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me haazir hokar arz kiya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam , Jis tarah aap us shakhs ko jannat ka chashma ata farma rahe the agar main ye chashma us se khareed lu to kya Huzoor wo Jannat ka chashma mujhe ata farma denge?’
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Beshak wo main tumhe de dunga.’
Hazrat Usmaan Ghani ne khush hote hue arz kiya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Wo Chashma maine khareed liya hai aur ab use main musalmano ko waqf karta hu.’
Wo kuan ‘Beer e Usmaan’ ke naam se mash’hoor hai. Madeena shareef jaane wale khusnaseeb us kuen ki ziyarat ke liye jaate hain.
**********
Gazwa e Tabook ke dauraan aap ne ek tihaai musalman lashkar (taqreeban 1000 aadami) ka kharch apne zimme liya aur saath me baaqi lashkar ko madad karne ke liye 1000 deenaar aur 1000 oont aut 15 ghode bhi diye.
**********
Madeena me musalmano ki ta’adad badhne lagi aur Masjid e Nabawi me jagah kam padne lagi tab aap ne apne maal se aur zameen kharidkar di.
**********
Ek baar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne ek shakhs ko Hazrat Usmaan radiy-Allāhu ta’ala anhu ke paas bheja. Jab wo aap ke makaan ke qareeb pahuncha to us ne suna ke aap apne khaadim se keh rahe hain ke ‘Tune chiraag ko zara zyada tez rakha hai. Agar tum tail bachate to wo kal ke liye kaam aata.’ Ye sunkar wo shakhs waapas chala gaya.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne use phir se bheja. Dusre din jab wo pahuncha to suna aap apne khaadim se keh rahe hain ke ‘Tune khaane me namak zara zyada daal diya hai. Agar tum namak kam daalte to wo kal ke liye kaam aata.’ Ye sunkar wo waapas chala gaya.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne use phir se bheja aur kaha ke ‘Hazrat Usmaan ko mera naam dena.’ Us ne aisa hi kiya. To aap ne kaha ke ‘Tum andar wale kamre me chale jaao aur jo chaho le lo.’ Wo andar gaya aur zaroorat ke mutabik maal lekar bahar aaya.
Phir us ne puchha ke ‘2 din se aap apne khaadim ko aisi chhoti baato ke liye daant rahe the aur aaj mujhe itna saara maal de rahe hain. Ye baat meri samajh me nahi aai.’
Aap ne kaha ke ‘Fuzulkharchi gunaah hai. Aur main Pyare Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ki sunnat par amal karta hu. Aur ye sab maal mujhe ALLĀH ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me diya hai. Is liye use Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ki raza ke liye kharch karne me mujhe khushi hoti hai. Agar tum pehle hi bata dete to tumhe 3 din tak aana na padta.’
*********
Ek martaba aap ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ko aap ke ashaaba ke saath apne yaha daawat ke liye arz kiya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne daawat qubool farmai.
Waqt par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam apne asahaba ke saath Hazrat Usmaan Ghani ke ghar tashreef le chale. Hazrat Usmaan Ghani Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke pichhe pichhe chalne lage aur aap ke qadam mubarak ginne lage. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne puchha ‘Aye Usmaan! Kya kar rahe ho?’ Hazrat Usmaan ne arz kiya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Mere maa-baap aap par qurbaan ho. Main chaahta hu ki aap sallallahu alaihi wa sallam ke har qadam ke badle me aap ki azamt par ek ek ghulaam aazaad karu.’
Chunaanche, Hazrat Usmaan ke ghar tak Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke jitne qadam pade utne gulam Hazrat Usmaan ne aazaad kiye.
*********
Sulaih Hudaibiyah ke mauqe par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne musalmano ki taraf se Hazrate Usman Ghani ko Makka bheja. Kaafiro se guftagu me kuchh zyada der hone par musalmano ko andesha hua ke kahin kaafiro ne Hazrate Usmaan Ghani ko shaheed na kar diya ho.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne waha maujood sab ashaba ko bai’at ke liye kaha. Sab ashaaba ne Huzoor sallallāhu alaihi wasallam ke haath par apne haath rakhkar ye ahad kiya ke ‘Agar Hazrate Usmaan Ghani ko shaheed kar diya hoga to hum kaafiro ke saath puri taaqat se jung karenge.’
Jise ‘Bai’at al-Ridwaan’ kehte hain.
Aur Huzoor sallallāhu alaihi wasallam ne sab ke saath apna baanya haath rakha aur farmaaya ke ‘Ye mera haath Hazrate Usmaan ki taraf se hai.’
*********
Ek baar Huzoor sallallāhu alaihi wasallam ki baargaah me ek Janaaza laaya gaya. Aap ne us ki namaaz e janaaza padhaane se inkaar kiya.
Aur farmaaya ‘Ye Usmaan se bughz rakhta tha. Lihaaza ab ALLĀH bhi is shakhs se naraaz hai.’
*********
Aap 5 Muharram 24 Hijri (11 November 644 A.D.) ko Hazrat Umar Farooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke baad teesre Khalifa hue.
Aap ke zamaane me Islaami saltanat Asia aur Africa me Faars (Iran) aur Khurasan (Afghanistan) tak aur Tunisia aur Morocco tak faili.
Aap ke zamaane me Qur’an majeed ko jama karke Kitaab banane ka kaam mukammal hua, jo Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Hazrate Umar Farooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke mashware par shuru kiya gaya tha.
Ek martaba ek shakhs ne raasta chalte hue ek ajnabi aurat ko ghoor ghoor kar galat nazar se dekha. Is ke baad wo Ameer ul Mo’mineen Hazrat Usmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki khidmat me haazir hua to us shakhsh ko dekhkar aap ne pur jalaal lehje me irshaad farmaaya ‘Tum log aisi haalat me mere paas aate ho ki tumhari aankhon mei Zina ke asraat hote hain.’ Us shaks ne kaha ki ‘Aye Ameer ul Mo’mineen! Kya Rasool-Allāh ke baad aap par ‘Wahi’ utarne lagi hai? Aap ko kaise maaloom hua ki meri aankhon me Zina ke Asraat hain?’
Aap ne irshaad farmaya ‘Mere upar Wahi to naazil nahi hoti magar maine jo kaha wo bilkul sachi baat hai, Kyun ki ALLĀH ta’ala ne mujhe aisi Firaasat ataa farmai hai jis se main logon ke dilo ke haalaat aur khayaal jaan liya karta hu.’
*********
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap farmaate hain :
(1) Ta’ajub hai us par jo Jannat par eimaan rakhta hai aur phir dunya ke aish o aaram se waabasta rehta hai.
Ta’ajub hai us par jo Dozakh (ke azazb) ke baare me jaanta hai phir dunya me gunaah se door nahi hota.
Ta’ajub hai us par jo shaitaan ko dushman jaanta hai aur phir us ki ita’at karta hai.
(2) Gunah kisi na kisi surat me dil ko pareshan rakhta hai.
(3) Zabaan ki lagzish paanv ki lagzish se zyada khatarnaak hai.
(4) Khaamoshi gusse ka behtareen ilaaj hai.
(5) Haqeer se haqeer paisha ikhtiyar karke mehnat karna haath failaane se zyada behtar hai.
(6) Kisi ki aankh tumhari wajah se nam na ho,
Kyun ki tumhe us ke har aansoo ka qarz chukana hoga.
(7) Hamesha sach bolo taake qasam khaane ki zaroorat na pade.
(8) Dunya ke liye pareshaan hona ye qalb ki taariki hai aur aakhirat ke liye pareshan hona ye qalb ka noor hai.
*********
Musalman hone se pehle aap ki 2 biwiya, 6 bete aur 2 betiya thi.
(1) Umme Amr bint undab se
4 bete : Amr, Khaalid, Aban, Umar;
1 beti : Maryam.
(2) Faatimah bint Waleed se
2 bete : Waleed, Saeed;
1 beti : Umme Saeed.
♦ In me se sirf Hazrate Aban radiy-Allāhu ta’ala anhu musalman hue.
Musalman hone ke baad Aap ki 6 biwiya aur 3 saahabzaade aur 4 saahabzaadiya hain.
(1) Ruqayya bint Huzoor Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam se
1 beta : Abdullāh
(2) Umme Kulsoom bint Huzoor Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam.
(3) Fahida bint Ghazwan se
1 beta : Abdullāh al-asghar.
(4) Ummul Baneen bint Einiyah se
1 beta : Abdul Malik.
(5) Ramla bint Shaibah se
3 betiya : Aa’isha, Umme Aban, Umme Amr.
(6) Nailah bint Fraizah se
1 beti : Maryam.
♦ Aap ke teeno bete kam umr me wafaat paaye.
*********
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki 2 saahabzaadiya ek ke baad ek aap ke nikaah me aai. Is liye aap ko ‘Zun-Noorain’ kaha jaata hai.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam kehte the ‘Agar meri aur koi beti hoti to main wo bhi Usmaan Ghani ke nikaah me deta.’
*********
35 Hijri me Kufa, Basra aur Misr (Egypt) se 3000 baagi Madeena ke ird gird ke ilaake me jama hue. Phir unho ne hamla karke Hazrate Usmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke makaan par ghera daala. Aap ne apne saathiyo ko musalmano ke khilaaf jang karne se mana farmaaya. Baaghiyo ne aap ke ghar me khaane peene ki cheeze pahunchane par rok laga di.
Hazrate Hasan ibn Ali, Husain ibn Ali , Abdullāh ibn Zubair radiy-Allāhu ta’ala anhuma aur Marwaan bin Hakam ne aap ki hifaazat ke liye aap ke ghar par pehra diya.
Jab Raafziyo ne dekha ke darwaaze se andar jaana mumkin nahi to ghar ki chhat par chadh gaye aur use todkar andar pahunche.
Unho ne tilaawate Qur’an kar rahe Hazrate Usmaan Ghani ke sar par zordar waar kiya aur aap ko jahkmi kar diya.
Jab aap par waar kiya gaya to aap ne farmaya ‘Bismillāhi tawakkaltu al-Allāh.’ Aur aap ki daadhi mubarak se behta hua khoon Qur’an majeed par girne laga.
Maana jaata hai ke Aap ko jakhmi karke shaheed karne wale ka naam ‘Hemaar’ tha.
Shahaadat se kuchh waqt pehle aap ne apne ashaab se farmaaya ke ‘Mujhe khwaab me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ki Aye Usmaan, aaj iftaar hamare saath karna. Is liye aaj maine roza rakha hai.’
Aap ki ahlya mohtarama farmaati hain ke Aap ko neend aai aur bedaar hote hi aap ne farmaaya ‘Ye muhaasara kiye hue log mujhe shaheed kar denge. Maine kaha ‘Aye Ameer ul mo’mineen, Hargiz nahi.’ Aap ne farmaaya ‘Huzoor Sarware Kaunain Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne khwaab me aakar farmaaya Tum is Jum’aa ko hamare paas haazir hone waale ho.’
*********
Aap wisaal 18 Zil Hijjah 35 Hijri (656 A.D.) ko 77 baras ki umr me hua.
Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Jaabir bin Muta’am radiy-Allāhu ta’ala anhu ne padhaai.
Aap ka mazaar Jannatul Baqi (Madeena) me hai.
*********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Usmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021