Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki 4 Sahabzaadiyan Thi,
(1)Zainab,
(2)Rukaiyya,
(3)Umme Kulsum, Aur
(4)Fatima Radi-Allahu-Anhum.
Hazrat Rukaiyya Ki Shadi Hazrat Usman Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Hui! Hazrat Rukaiyya Ka Inteqaal Hogaya! Hazrat Usman Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ko Is Baat Ka Ranj Pahucha To Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Apni Dusri Sahabzaadi Hazrat Umme Kulsum Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ka Bhi Nikah Hazrat Usman Se Kerdiya! Farmaya, Aye Usman! Agar Meri 100 Ladkiyan Bhi Ho Aur Unka Ek Ke Baad Ek Inteqaal Hojaye To Main Ek Ke Baad Ek Tumahre Nikah May Deta Jaoun!

(Mawahiz Jild-7, Pg-196)

********************************
SABAK:-
********
Yeh Khususiyat Sirf Hazrat Usman Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ko Haasil Hain Ki Nabi Ki 2 Betiyan Aapke Nikah May Aayi! Jab Se Duniya Shuru Hui Us Waqt Se Leker Qayamat Tak (Siwai Hazrat Usman Ke) Aisa Na Hua, Na Hoga Jinke Nikah May Nabi Ki 2 Betiyan Aayi Ho, Isliye Aapka Lakab “JUNNURAIN” Hain!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm