Islamic Blog

Laqab : Farooqe aazam, Sayyedul Aadileen.
Aap ki wiladat 586 A.D. me Makka me hui.
Aap ke waalid ka naam Khattab ibn Nufail aur waalida ka naam Hantamah bint Hishaam ibn Mugheera hai.
Aap Quraish ke Banu Adi khaandan se ta’alluq rakhte hain.
5 Nabawi me RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ke hukm se musalmano ke ek giroh ne Abyssinia hijarat ki.
Hazrat Umar ko jab ye pata chala to Quraish me ikhtelaaf na ho is ke liye aap ko qatl karne ka irada kiya.
Jab talwar lekar chale to raste me aap ke dost Nuaim mile, jis ne islam apna liya tha lekin zaahir nahi kiya tha. Us ne kaha ke ‘Pehle jaakar apne ghar me apni behan ki khabar lo.’
Ye sunkar Hazrat Umar apni behan ke ghar pahunche to dekha ke unki behan aur behnoi Saeed bin Zaid Tilawate Qur’an (Surah Taha) kar rahe hain. Aap ne gusse me apni behan ko dhakka dekar girakar jakhmi kar diya to unki behan boli ke ‘Agar hamari jaan bhi chali jaaye to bhi ham islaam nahi chhodenge.’ Ye sunkar aap ne wo kagaz uthaya jis me Qur’an ki aayate likhi thi. Padhte hi dil ka aalam badal gaya.
Aap talwar ke saath Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ki baargah me pahunche aur talwar rakhkar kalma padh liya.
Aur is ke baad jaakar Quraish ke sardar Abu Jahl Amr ibn Hishaam aur Abu Sufyan ibn Harb ko apne musalman hone ki khabar de di.
Is tarah aap 616 A.D. me 30 baras ki umr me Islaam me daakhil hue.
Islaam apnane ke baad kuchh waqt baad aap ne Huzoor sallallahu alaihi wa sallam se puchha ke ‘Ya RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam, Kya ham ibaadate ilahi karke kuchh galat kar rahe hain?’ Aap ne farmaya ke ‘Bilkul nahi.’ Hazrat Umar ne farmaya ‘To phir aaj se ham bagair kisi ke khauf ke khule aam ALLAH ki ibadat karenge.’
Phir aap ne kuchh musalmano ke saath Ka’aba shareef ke paas jaakar kaafiro se kaha ‘Agar kisi ko apne bacho ko yateem aur apni biwiyo ko bewa karna ho to wo musalmano ko ALLAH ki ibaadat karne se roke.
Is tarah aap ne pehli baar khule aam namaaz padhna shuru karaya.
622 A.D. me Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke Madeena aane ke baad aap bhi Makka se Hijrat karke Madeena aa gaye.
Aap ne din ke waqt be-khauf apne chachazad bhai Saeed ibn Zaid ke saath hijrat ki.
Aap ishqe Rasool ke saath har sunnato hadees par amal karte the aur Har waqt aap ki ta’azeem karte the aur dushmane rasool se kabhi rishta nahi rakhte the.
Ek baar RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ki baargah me ek musalman aur ek yahudi aaye aur apna jhagda bataya.
Musalman ne is yahudi se zameen khareedi thi aur us me ek kuan tha. Dono ke darmiyan ye tay hua tha ke ek din yahudi us kuen ka pani istemaal karega aur ek musalman istemal karega.
Ek baar yahudi ki baari me musalman ne paani nikal liya. Is baat ko lekar dono me jhagda hua.
Jab kisi tarah is ka hal na nikla to yahudi ne kaha ke ‘Aao, ham tumhare Nabi ke paas chalte hain aur un se iska faisla karate hain.’
Musalman ne ye sochkar khush tha ke ‘Main muslaman hu, Is liye Huzoor sallallahu alaihi wa sallam mere haq me hi faisla sunaenge.’
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne dono ki baat sunne ke baad yahudi ke haq me faisla diya.
Musalman ne socha ke kisi bhi wajah se RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne yahudi ke haq me faisla de diya hoga.
Phir wo Hazrate Umar Farooq ke paas aaya aur saari baat batai. Aap foran andar jaakar talwar lekar aaye aur musalman ki gardan kaat daali.
Musalmano me kohram ho gaya ke Hazrate Umar ne musalman ko maar dala.
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne aap ko bulakar haqeeqat puchhi to aap ne kaha ke ‘Jo aap ke faisle ke khilaf ho aur aapki baat na maane wo musalman ho hi nahi sakta. Wo islaam ki aur be-izzati kare is se pehle maine uski gardan kaat di.’
Is waqye ke baad Aap ko ‘Farooq’ ka laqab mila hai ya’ni Haq aur Baatil me farq batane wala.
Aap ki Adaalat mashhoor hai.
Aap bahut ache Muqarrir (Khateeb) the.
Ek baar aap ne Ka’abatullah ke Tawaaf ke dauran Hajre Aswad se mukhatib hokar farmaya tha ke ‘Aye Hajre Aswad, Tu jannati patthar hai, Lekin mujhe na koi nuqsan pahuncha sakta hai, na koi nafa de sakta hai. Main sirf is liye tujhe chumta hu ke maine mere Aaqa RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ko tujhe chumte hue dekha hai.’
Aap ashra e mubashira me saamil hain.
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya hai ki
(1) Mere baad agar koi Nabi hota to woh Umar ibn Khattab hota.
(2) ALLAH ne Umar ki zabaan aur qalb par haq ko jaari farmaya hai.
(3) Umar wo hai jis ke saaye se bhi shaitaan door bhaagta hai.
**********
Aap hamesha dua karte the ‘Ya ALLAH, Mujhe apne mehboob ke shaher me shahaadat ki maut ata farma.
**********
Aap ki beti Hazrate Hafsa Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke Nikah me aai hai.
**********
Aap ke mashware par Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiAllahu ta’ala anhu ke zamaane me Qur’an majeed ko jama karke kitaab banana ka kaam shuru kiya gaya, jo Hazrat Usmaan Ghani ke zamane me mukammal hua.
**********
Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiAllahu ta’ala anhu ne Hazrat Usmaan Ghani ko Hazrat Umar Farooq ko Khalifa banane ki wasiyat ki thi.
13 Hijri me Aap Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiAllahu ta’ala anhu ke baad dusre Khalifa hue.
Aap ke zamane me Islaami saltanat Faars (Iran) aur Misr (Egypt) aur Rom tak faili.
**********
Aap ke zamaane me Maahe Ramazaan me Tarawih ki namaz ba-jama’at padhana shuru hua.
Aur is ke baare me aap ne farmaya ke ‘Ye ek achhi bid’at hai.’
**********
Aap ne har sube me ek Wali (Provincial governor) aur unke taabe Wali e asgar (Junior governor) muqarrar kiya.
Ilawa is ke Katib (Chief Secretary), Katib-ud-Diwan (Military Secretary), Sahib-ul-Kharaj (Revenue Collector), Sahib-ul-Ahdath, (Police chief), Sahib-Bait-ul-Maal (Treasury Officer) aur Qazi (Chief Judge) bhi muqarrar kiye.
**********
Aap hamesha musalmano ki khush-haali aur falaah ke liye aur unki pareshaniyo ko door karne ki koshish karte.
Aap kai baar raat me khufiya (libaas badalkar) apni riyaha ke haalat jaanne ke liye nikalte.
Ek baar aap ek makaan ke paas se guzre. Aap ne bacho ke rone ki aawaz suni. Aap ne dastak di to ek aurat ne darwaza khola. Aap ne bacho ke rone ki wajah puchhi. To us aurat ne bataya ke ‘Mere bache bhuke hain aur mere paas unhe khilane ke liye koi chiz nahi. Mere bahut der se paani se bhara hua bartan aag par rakhkar unhe behla rahi hu ke jab khana tayyar ho jaaega to khilaungi. Ab to bache thakkar so gae hain.’
Aap ne kaha ke ‘Main kuchh intazaam karta hu.’
Aap ne baitul maal me se khaane ka saaman nikala aur us aurat ko laakar diya.
Us aurat ne dua dete hue kaha ke ‘Kaash, Aap Ameerul mo’mineen hote.’
Aap ne apna chehra kholkar use farmaya ke ‘Main hi Umar ibn Khattab hu. Mujhe muaf kar dena ke meri hukoomat me tumhe is tarah takleef bardasht karni padi.’
**********
Ek baar Khutba e Jum’ah ke dauran aap ne bich me ye farmaya ‘Aye Saariya, Pahad ke pichhe aa jaao.’ Logo ko is ki wajah samajh me nahi aai.
Kuchh din baad Hazrate Saariya jang khatm hone ke baad Madeena waapas aaye to aap se logo ko pata chala ke Jang ke dauran kaafiro ka lashkar musalmano par gaalib ho raha tha aur koi raasta dikh nahi raha tha itne me maine ek aawaz suni ke farmaya ‘Aye Saariya, Pahad ke pichhe aa jaao.’ Maine us par amal kiya aur musalmano ko lekar pahad ke pichhe aa gaya aur kuffar aage aaye to musalmano ne hamla kiya aur ALLAH ke karam se fateh haasil hui.
Is tarah ALLAH ta’ala ke karam se aap ne jang ke maahol ko bhi dekha aur musalmano ki hifazat ke liye mashwara diya aur ALLAH ne aap ki aawaz ko hawa ke zariye Madeena se bahut door maidane jang me Hazrate Saariya tak pahunchai.
**********
Ek baar Hazrat Ali radiAllahu ta’ala anhu ne khwab me dekha ke Huzoor sallallahu alaihi wa sallam deewar se tek lagakar baithe hain. Itne me ek sahabiya apne saath tokri me khajoor lekar aai aur Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ko paish kiya. Aap ne mehfil me maujood tamam sahaba ko ek ek khajoor ata farmaya. Hazrat Ali ne bhi apne hisse ke khajoor khaya. Is ke baad aap ki aankh khul gai aur aap jab jaage to aap ne khajoor ki meethas ko mehsoos kiya.
Phir aap namaaze Fajr ke liye Masjide Nabawi gaye. Namaaz ke baad aap ne dekha ke Hazrate Umar radiAllahu ta’ala anhu usi tarah deewar se tek lagakar baithe. Itne me ek sahabiya khajoor ki tokri lekar aai. Hazrate Umar radiAllahu ta’ala anhu ne sab ko ek ek khajoor diya.
Ek khajoor khane ke baad Hazrate Ali ko dusra khajoor khaane ki khwahish hui. Aap ne Hazrate Umar se ek aur khajoor dene ke liye kaha. Unho ne farmaya ke ‘Main to usi tarah taqsim kar raha hu jaise Khwab me Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne taqseem kiya tha. Agar Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne do khajoor diye hote to main bhi do deta.’
**********
Aap ne bahut saare sara (musafirkhaane) banaye.
**********
Aqwaal :
(1) Jis ne Rab ke liye jhukna sikh liya wo hi ilm wala hai,
Kyun ki Aalim ki pehchan Aajzi hai aur Jaahil ki pehchaan Takabbur hai.
(2) Dua maangte raho,
Kyun ki mumkin aur na-mumkin to sirf hamari soch me hai,
ALLAH ta’ala ke liye to kuchh bhi na-mumkin nahi.
(3) Tauba ki takleef se behtar hai ki gunah kiye he na jaaye.
(4) Apne aamal ka hisaab karte raho is se qabl ke (mehshar me) hisaab ke khade kiye jaao.
(5) Apne muamalaat me un logo se mashwara lo jo ALLAH ta’ala se darte hain.
(6) 3 chiz dusro ke dil me aap ki izzat badhati hai :
[1] Pehle salaam karna. [2] Kisi ko uske sahi naam se pukarna. [3] Aane wale ke liye jagah karna.
(7) Zaalim ko maaf karna mazloom ke saath na-insaafi hai.
**********
Aap ki 9 biwiya aur 9 saahabzade aur 4 saahabzadiya hain.
(1) Zainab bint Mazhun se
3 bete : Abdulallah, Abdur Rahman, Abdur Rahman.
1 beti : Hafsa.
(2) Umm Kulsum bint Jarwila Khuzima se
2 bete : Ubaidullah, Zaid.
(3) Quraibah bint Abi Umayyah al-Makhzumi
(4) Umme Hakeem bint al-Haris ibn Hisham se
1 beti : Faatima.
(5) Jameelah bint Ashim ibn Saabit se
1 beta : Asim.
(6) Atikah bint Zaid ibn Amr se
1 beta : Iyaad.
(7) Umme Kulsum bint Ali ibn Abi Talib se
1 beta : Zaid (Ibnul Khalifatain).
1 beti : Ruqayyah.
(8) Luhyah se
1 beta : Abdur Rahman.
(9) Fukaihah se
1 beti : Zainab.
**********
23 Hijri (644 A.D.) me Firoz (Abu Lulu) ne apne maalik aur Basra ke Subedaar (governor) Mughira ibn Shu’ba ke khilaf bahut zyada mehsool wasool karne ke baare me Hazrate Umar se shikayat ki. Magar aap ne tehqeeqat karne ke baad use ye keh diya tha ke ‘Ye mehsool barabar hai.’
Is baat se gussa hokar usne Hormuzan, Ka’ab al-Ahbar aur Jafinah ke saath milkar aap ko qatl karne ki saazish banai.
26 Zil-Hijja 23 Hijri ke din Fajr ki namaz ke waqt Hazrate Umar jab masjid me the tab Abu Luhu ne khanjar se hamla kiya aur aap ke pait me 6 waar karke jakhmi kar diya aur aap ke badan se tez raftaar se khoon nikalna jaari ho gaya.
Abu Luhu ne bhaagne ki koshish ki, Lekin ashaba ne use nakaam kar diya. Bhaagne ki koshish me usne 12 ashaba ko jakhmi kar diya aur phir khud ko khanjar maarke khudkushi kar li.
Aap ne Hazrat Abdur Rahman bin Awf radiAllahu ta’ala anhu ko imaamat ke liye aage kiya aur ashaba ko hukm diya ke aap ke pair qible ke jaanib kar diye jaaye aur is tarah aap ne namaaz ada ki.
Jab log namaaz se faarig hue to Hazrat Umar ne Hazrat Ibne Abbas radiAllahu ta’ala anhu se farmaya ‘Aye Ibne Abbas, batao to mujhe kis ne qatl kiya hai?’ Ibne Abbas ne arz kiya ‘Firoz naam ke ek aatish parast mushrik gulam ne.’ Ye sunkar aap ne farmaya ‘Ilaahi, Tera shukr hai meri maut kisi Kalima-go shakhs ke haatho se nahi hui.’
Aap ko shadeed zakhm aaye the. Aap ko jo sharbat pilaya gaya wo zakhm ke raaste se bahar nikal aaya. Log aap ka haal puchhne ke liye aate the.
Ek naujawan aaya aur haal puchhkar laut raha tha tab Hazrat Umar ne dekha ki uska tahband zameen se lagta hai to aap ne us naujawan ko apne paas waapas bulane ke liye kahal. Jab wo dobara haazir hua to aap ne farmaya ‘Apne tahband ko uncha kar lo. Ye amal ALLAH ke nazdeek achha hai. Tumhara kapda bhi zameen par kharab hone se mehfooz rahega.’
Aap ne 4 din jakhmo se bahut takleef me bistar me guzare.
Is dauran aap ne Abdur Rahman bin Awf, Saad ibn Abi Waqqas, Talha ibn Ubaidullah, Usmaan ibn Affan, Ali ibn Abi Taalib aur Zubair ibn al-Awwam radiAllahu ta’ala anhuma ki committee banakar unhe naya Khalifa muqarrar karne zimmedari de di.
Aur is dauran Suhaib ar-Rumi ko aarzi khalifa banaya gaya.
**********
Aap 1 Moharram 24 Hijri (7 November 644 A.D.) ko 59 baras ki umr me shaheed hue.
Aap ko Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke Roza Mubarak ke andar Hazrate Abu Bakr Siddeeq ke bagal me dafn kiya gaya hai.
**********
ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrate Umar Farooq radiAllahu ta’ala anhu aur Ashaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz m
urado ko puri farmae.
Aameen

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm