Islamic Blog

Ye bhi hamare Huzoor SalalhuAlaihiWa
Sallam ki
Muqaddas Biwi aur tamam ummat ki Maa hain.Inke baap
ka naam Zam’ah aur Maa ka naam Shamoos hai.Ye bhi
Quraishi khandaan ki bahot hi Naamwar aur moa’azziz
aurat hain.
Ye pehle apne chacha Zat bhai Sakran bin Amr se Biyahi
gayi thain.Aur ISlam ki Shuruwaad hi me ye dono miyan
biwi Musalmaan ho gaye the.aur kuffar ke zulm o sitam se
tang aa kar habsha ku hijrat bhi kar chuke the.Lekin jab
habsha se wapas ho kar dono miya biwi Makke
Mukarrama me aa kar rehne lage to inke Shohar ka inteqal
ho gaya aur HUzoor Akram SallahuAlaihiWaSallam bhi
Hazrath KHadijah ke inteqaal ke baad din raat maghmoom
raha karte the.Ye dekh kar HAzrath Khaula binte
Hakeem RadiAllahuTA’ala Anha ne Baargahe Risalat me ye
darkhwast pesh ki ke YA RasoolAllah Hazrath Saudah
binte Zam’ah se Nikah farmalen take Aapka Khana e
ma’aishat Aabaad ho jaye. HAzrath Saudah bahot hi
DeenDaar aur Wafa Sh’uaar Khatoon hain aur behad
khidmat guzar bhi hain.
Aap ne Hazrath Khaula ke is muqlisana moshware ku
qubool farma liya. Chunanche Hazrath Khawla
RadiAllahuTA’ala Anha ne HAzrath Saudah
RAdiallahuAnha ke baap se baat cheet karke Nisbat tay
kara di aur Nikah ho gaya.Aur ye umr bhar Huzoor
AlaihisSalatoSalam ki zoujiyat ki sharf se Sarfaraz
rahen.aur jis walihana Mohabbat o Aqidat ke sath
wafadari
Wa khidmat guzari ka haq ada kiya O unka bahot hi
Shandaar karnama hai.
HAzrath Bibi Ayesha RadiAllahuTa’ala Anha ke Sath
Huzoor ki Mohabbat ko dekh kar unhone apni bari ka din
HAzrath Ayesha ku de diya tha .Hazrath Ayesha
RadiAllahuTa’ala Anha FArmaya karti then ke kisi aurat ku
dekh kar mujhku ye hirs nahi hoti thi ke my bhi waisi hi
hoti magar my Hazrath Saudah RadiAlalhuAnha ke jamaal
e soorat o husn e Seerat ku dekh kar ye tamanna kiya
karti thi ke kash my bhi HAzrath Sauda jaisi hoti ye apni
dosri khisam khisam ki khobiyon ke sath bahot Fay’yaz o
Aala darje ki saqi thain.
Ek martaba Ameerul Momineen HAzrath Umar
RadiAllahuTA’ala Anhu ne apni khilafat ke zamane me
darhamon se bhara huwa ek thaila HAzrath Bibi Sauda
RAdiAlalhuTA’ala Anha ke paas bhej diya. Unhone us
thaile ku dekh kar kaha ke waah bhala Khajuroon ke thaile
me kaheen dirham bheje jate hain?? Ye kaha aur uth kar
usi waqt in tamam darhamon ku Madine Munawwara ke
Fuqra o Masakeen ku ghar me bula kar bant diya aur
tahila khali kar diya.
IMAm Bukhari aur Imam Zahbi ka Qoul hai ke 23 hijri me
Madine Munawwara ke andar inki wafat huwi .
Lekin, o Waqdi aur Sahebe Akmaal ke Nazdeek inki wafat ka saal
choupan (54) sane hijri hai. Magar Allama Ibn Hajar al-
Asqalani ne “Taqreebut Tahzeeb” me inki wafat ka saal
pachpan (55) Hijri Shawwal ka Mahina likha hai . inki
Qabre Munawwar Madine Munawwara ke Qabrastaan
Jannatul Baqi me hai.
(Zarkhani 599)
Jannati Zewar Page:366-367 —
HAzrath Saudah RAdiAllahuTA’alaAnha

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm