Islamic Blog

Hazrat Nooh (Alaihay Salam) Ki Nafarmaan Qaum Ko Paani Ke Zalzale Ka Dardnak Azaab!

Aziz Dosto, Allah Ta’ala Ne Jis Qoum Ki Taraf Bhi Jo Paigambar Bheja Jiyada Kar Ke Uss Qaum Ko Uss Paigambar Ka Hi Naam Diya. Isiliye Jis Qaum Ki Taraf Nooh (Alaihay Salam) Bheje Gaye Uss Qoum Ko, Qoum-e-Nooh Kaha Gayaa.

*Hazrat Nooh Ki Qaum Boot-Parasti Me Lagi Huyee Thi. Nooh (Alaihay Salam) Ne Taqreeban 900 Ya 950 Baras Unke Beech Tableeg Ki. Allah Ke Deen Ki Taraf Bulaaya. Lekin Unki Qaum Na Maani. Yahaa Tak Ki Unki Biwi Aur Ladka Sab Boot Parasti Me Lage Rahe.

*Aakhir Me Thak-Haar Ke Unhone Rab Ki Baargaah Me Ye Iltijaa Ki – Aye Mere Rab Maine Apne Qaum Me Din-Raat Tablig Ki, Unhe Haq Ki Daawat Di Lekin Unn Logo Ne Mujhe Jhuthlaa Diya Aur Kuch Logo Ke Alaawa Baaqiyo Ne Imaan Nahi Laaya, Yahaa Tak Ki Woh Apne Kuffar Aur Hathdharmi Me Hadd Se Jiyaada Badh Gaye, Ab Ye Imaan Nahi Lane Wale, Ab Inn Ka Faislaa Tu Hi Kar.
*Allah Ta’ala Ne Nooh (Alaihay Salam) Ko Ek Badi Si Lakdi Ki Naav (Ship) Apni Nighebaani Me Tayyar Karne Ka Huqm Diya .

*Allah Ta’ala Kisi Qaum Par Aise Hi Azaab Naazil Nahi Karta, Pehele Woh Uss Qaum Ki Islaah Ke Liye Nabiyo Aur Rasoolo Ko Bhejta Hai, Taaki Woh Rasool Ya Paigamber Apni Qaum Ko Daraaye Aur Khush-Khabri Bhi De, Aur Iss Par Bhi Wo Qaum Na Maane Aur Imaan Na Laaye Aur Apne Gunaaho Se Toubah Na Kare Toh Fir Azaab Naazil Karta Hai Taaki Koi Huzzat Baqi Na Rahe.

*Nooh (Alaihay Salam) Peshe Se Badhayee (Carpenter) The. Unhone Ek Maidaan Me Naav Banaana Shuru Kiya. Unki Qoum Ke Log Aa Kar Mazaaq Karte The Aur Kahete The Ki Bade Miyaa Paagal Ho Gaye Ho, Ret (Sand) Me Naavo Chalaavoge Kya?
Jab Naav Banke Tayyar Ho Gayee Toh Allah Ta’ala Ne Huqm Diya Ki Sab Jaanwar Aur Parindo, Aur Jo Log Imaan Laaye Un Sab Ko Naav Me Sawaar Kar Lo.

Hazrat Nooh (Alaihay Salam) Pure Jee-Jaan Se Aur An-Thak Tarike Se Apni Qaum Ko Deen Ki Daawat Dete Rahe. Jab Qoum Ke Kuch Hi Logo Ne Imaan Laya, Aur Baqi Hatdharam, Ziddi, Aur Nooh (Alaihay Salam) Ko Takleef Dene Wale Aur Unka Mazaaq Udaane Wale Rah Gaye Toh Nooh (Alaihay Salam) Ne Duwaa Ki, “Aye Mere Rab Inn Logo Ne Mujhe Jhutlaa Diya Hai, Ab Tu Hi Meri Madad Farma”.

*Tab Allah Ta’ala Ne Nooh (Alaihay Salam) Ki Taraf Wahee Ki – Hamari Nigraani Aur Hidaayat Ke Mutaabiq Kashti (Naav) Banaavo ! Fir Jab Hamaara Huqm Aa Jaaye Aur Tanoor Ubalne Lage Toh Har Kisam Ke Jaanwar Aur Parindo Ke Jode Se Do (Nar Aur Maada) Iss Me Baitha Lena Aur Apne Gharwalo Ko Bhi (Imaan Walo Ko).
*Aur Jin Logo Ne Zulm Kiya (Kaafir) In Ke Baare Me Mujh Se Koi Sawaal Mat Karna, Kyonki Woh Sab Paani Me Garq Kar Diye Jaayege. Aur Fir Tum Aur Jo Tumhaare Hamraah Ho Kashti (Naav) Me Achchi Tarha Baith Jaaye Toh Kehna “Sab Ta’areef Allah Ta’ala Ke Liye Hai, Jis Ne Hame Zaalimo Se Nizaat Di” Aur Ye Bhi Kehena “Mere Rab Hame Barqat Wali Jagaah Par Utaarna, Aur Tu Sab Se Behtar Utaarne Wala Hai”.

*Aur Fir Jab Nooh (Alaihay Salam) Ne Sab Ko Kashti Par Sawar Kar Liya Toh Zameen Se Paani Ubalna Shuru Ho Gaya Aur Tez Muslaadhar Baarish Hone Lagi. Chaaro Taraf Paani Hi Paani Ho Gaya. Kaafir Apni Jaan Bachane Ke Liye Unchi Jagaho Par Jaane Lage. Ab Nooh (Alaihay Salam) Ki Kashti (Naav) Paani Me Upar Uthne Lagi. Nooh (Alaihay Salam) Ne Dekha Ki Unka Kaafir Beta Pahaadi Par Ja Rahaa Hai Toh Nooh (Alaihay Salam) Ne Use Aawaaz Di: “Beta Jaldi Se Naav Me Sawaar Ho Jaa”. Uss Ne Jawwab Diya, “Mai Pahaadi Par Ja Rahaa Hoon Wahaa Mai Bach Jawooga”. Nooh (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aaj Koi Nahi Bachne Wala”. Aur Unke Dekhte Hi Dekhte Ek Unchi Lahar Uthi Aur Unke Bete Ko Bahaa Le Gayee.

*Nooh (Alaihay Salam) Ne Kahaa – “Aye Mere Rab Mera Beta Mere Apno Me Se Hai”.
*Allah Ta’ala Ne Farmaaya – Tumhe Jis Baat Ka Ilm Nahi Uske Baare Me Sawaal Mat Karo, Wo Kaafiro Me Se Tha Tumhaare Apno Me Se Nahi, Tumhaare Apne Wo Hai Jo Imaan Laaye”.

*Kayee Dino Tak Muslaadhar Baarish Hoti Rahi Aur Zameen Se Bhi Paani Nikalta Rahaa. Jahaa Tak Bhi Nazar Jaati Thi Har Taraf Paani Hi Paani Tha. Sabhi Kaafir Aur Unke Boot Aur Jo Kuch Bhi Zameen Par Tha Sab Paani Me Garq Ho Gaye. Fir Allah Ta’ala Ne Aasmaan Ko Huqm Diya Ki Paani Barsaana Rok De, Aur Zameen Ko Bhi Huqm Diya Ki Apna Paani Nigal Ja.

*Kashti Kayee Dino Tak Paani Me Tairti Rahi. Kashti Me Chuhe (Mouse) Ho Gaye Jo Anaaj Ke Galle Ko Nuqsaan Pahuchaane Lage. Nooh (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Se Duwaa Ki, Allah Ta’ala Ne Kahaa Sher (Lion) Ki Pust Par Haath Maaro. Nooh (Alaihay Salam) Ne Sher Ki Pust Pe Haath Maara Toh Billi (Cat) Paida Huyee Aur Usne Saare Chuho Ko Khaa Liya.

*Isi Tarha Kashti (Naav) Me Gandagi Paida Hone Lagi Toh Nooh (Alaihay Salam) Ne Fir Allah Ta’ala Se Duwaa Ki, Allah Ta’ala Ne Kahaa, “Haathi (Elephant) Ki Pust Par Haath Maaro”. Nooh (Alaihay Salam) Ne Haathi Ki Pust Par Haath Maara Toh Badjaanwar (Pig) Paida Huwaa Aur Usne Saari Gandagi Saaf Kar Di.

*Ab Dhire Dhire Paani Kam Hone Laga. Nooh (Alaihay Salam) Ki Kashti (Naav) Judii Naam Ki Ek Pahaadi Par Jaa Kar Ruki. Nooh (Alaihay Salam) Ne Ek Kawwe (Crow) Ko Bheja Ki Jaa Kar Pataa Lagaaye Ki Paani Kitna Kam Huwaa Hai.

*Kawwa Gaya Toh Waapas Hi Nahi Aaya Wahaa Usko Murdaar Jaanwar Khaane Ko Mil Gaye Wo Unhi Ko Khaane Me Mast Ho Gaya Aur Apna Kaam Bhool Gayaa, Isiliye Kawwe Ke Haq Me Badduwa Hai Ki Woh Murdaar Hi Khaayega. Aur Log Uss Se Nafrat Karege.

*Nooh (Alaihay Salam) Ne Fir Ek Kabootar (Piogen) Ko Baahar Ki Khabar Laane Bheja. Woh Pahli Bar Waapas Aaya Toh Uske Pairo Me Paani Laga Tha. Nooh (Alaihay Salam) Samjh Gaye Ki Abhi Paani Puri Tarhaa Nahi Utra. Kuch Dino Ke Baad Fir Use Bheja, Jab Wo Waapas Aayaa Toh Uske Pairo Me Kichad Lagaa Tha. Nooh (Alaihay Salam) Samajh Gaye Ki Abhi Zameen Khshaq (Sukhi) Nahi Huyee.

*Fir Tisri Bar Use Bheja Toh Uski Chonch Me Eik Poudha Tha. Nooh (Alaihay Salam) Samjh Gaye Ki Ab Zameen Khushq Ho Chuki Hai. Isiliye Kabootar Ke Haq Me Duwaa Hai Ki Woh Daane Khaayega. Aur Log Uss Se Pyaar Karege.

Iss Tarhaa Nooh (Alaihay Salam) Aur Unke Saathi Zameen Par Fir Aabaad Huve Aur Unhi Se Insaani Nasl Aage Badhi.

Reference(Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue …

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm