Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Ek Aakibat-Andesh Aadmi Ko Ek Martaba Apne Gunahon Ka Khayaal Aaya! Wo Apni Umr Ka Hisaab Karne Laga! Hisaab Jo Kiya To Uski Umr 60 Saal Ki Nikli! Fir Wo 60 Saal Ke Din Ginne Laga To 60 Saal Ke 21500 Din Bane! Yeh Baat Dekhker Wo Gash-Khaker Girpada! Jab Hosh Aaya To Kehne Laga Afsos! Main Halaak Hogaya! Agar Main Har Roz Ek Gunah Bhi Shumaar Karoon To Mere Gunah 21500 Bante Hain! Haal Yeh Hain Ki Maine Ek Din May Kayi-Kayi Gunah Kiye Hain! Yeh Kehker Wo Fir Gash-Khaker Girpada Aur Margaya!

(Rauzul Fayik, Pg-14)

*********************************
SABAK:-
*******
Har shaks Ko Apne Aamaal Ko Dekhna Chahiye Aur Sochna Chahiye Ki Agar Har Roz Ek Gunah Bhi Shumaar Kiya Jaye To Hazaaron Gunah Jama Hojayege! Fir Agar Ek-Ek Roz May Kayi-Kayi Gunah Kiye Jaye To Andaza Laga Lijiye Ki Un Gunahon Ka Kis-Qadr Ambaar Lag Jayega! Kal Qayamat Ke Din Kis-Qadr Mushkil Ka Saamna Hoga! Har Shaks Ko ALLAH-TA’AALA Se Darna Chahiye Aur Gunahon Se Bachna Chahiye!

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm