HADEES:-
**********
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Namaz Ki Ibtida May Yeh Dua Farmaya Karte The, Ki Aye ALLAH! Mujhe Behtarin Khulk Ki Hidayat Farma, Tere Siwa Kaun Hain Jo Husn-A-Khulk Ki Hidayat De, Mujhe Badh-Khulki Se Najaat De, Badh-Khulki Se Bachane Wala Tere Siwa Kaun Hain!
Aapse Daryaft Kiya Gaya Ki Insaan Ki Zeb Wa Zeenat Kis Baat May Hain? Aapne Farmaya, Kalam May Narmi, Khushada-Rui Aur Khanda-Peshani Ka Izhaar! Jo Shaks Logon Se Ehsaan Karta Hain Aur Husn-A-Khulk Se Muamla Rakhta Hain, Aisa Insaan Logon Ko Ganwara Hota Hain Aur Log Uski Taarifain Karte Hain, Jaisa Ki Ek Shayer Kehta Hain-
Jab Tune Bhalayi Ki Tamaam Aadat Ko Jama Kerliya Aur Sab Logon Se Accha Bartao Kiya!
To Tu Saahib-A-Arsh Se Apni Jama Ki Hui Neki Ko Goom Nahi Paaya Aur Na Hi ALLAH-TA’AALA Ki Makhluk Se, Saamne Aur Peet-Piche Apni Taarifon Ko Goom Payega!
(Mukashfatul Kulub, Pg-482)
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021