Islamic Blog

NEKI ACHCHE AKHLAQ KA NAAM HAI–» Mahfum-e-Hadees: Nawas Bin Samaan Ansari (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,Maine Rasool’Allah(Sallallahu Alaihi Wasallam)SeNeki Aur Gunaah Ke Baare Me PoochaTou Aap Ne Farmaya –“Neki Ache Akhlaaq Ka Naam Hai Aur Gunah Jo Tere Seeney Me KhatkeAur Tujhe Pasand Na Ho Ke Log Usey Jaaney.”– (Sahi Muslim #2553)* * * * *# KAAMIL IMAN KI ALAMAT–» Mahfum-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai Ke,Rasool’Allah(Sallallahu Alaihi Wasallam)Ne Farmaya –“Momino Me Iman Ke Aitbar Se SabseKamil Shakhs Wo Hai Jiske Akhlaaq Sabse Acche Hai.”– (Abu Dawood #4682)
ROZEDAAR AUR TAHAJJUD GUZAR JAISA MAQAAM–» Mahfum-e-Hadees: Maayi Ayesha(Razi’Allahu Anha) Farmati HaiKe,Maine Rasool’Allah(Sallallahu Alaihi Wasallam)Ko Ye Farmate Huwe Suna–“Momin Apne Achche Akhlaaq Se Rozedar Aur Tahajjud Guzar Ka Darja Hasil Kar Leta Hai.– (Abu Dawood #4798)* * * * *# MEEZAN (TARAZU) MEIN WAZNI CHEEZ–» Mahfum-e-Hadees: Abu Darda (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,Aap(Sallallahu Alaihi Wasallam)Ne Farmaya –“Meezan Me Achche Akhlaaq Se Zyada Bhari Cheez Koi Nahi.”– (Abu Dawood #4799)
JANNAT KI ZAMANAT–» Mahfum-e-Hadees: Abu Umama (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai Ke,Rasool’Allah(Sallallahu Alaihi Wasallam)Ne Farmaya –*Main Jannat Ke Atraf Me Ek Ghar Ka Zaamin Hoon Uss Shakhs Ke Liye Jo Haq Pe Hone Ke Bawjood Jhagda Chod Dey !!*Aur Jannat Ke Darmiyan Me Ek Ghar Ka Zaamin Hoon Uss Shakhs Ke Liye Jo Mazaaq Me Bhi Jhoot Bolna Chod Dey !!*Aur Aala Jannat Me Ek Makan Ka Zaamin Hoon Uss Shakhs Ke Liye Jisne Apna Akhlaq Acha Kiya.– (Abu Dawood #4800)# JANNAT ME DAKHIL KA SABAB–» Mahfum-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,Rasool’Allah(Sallallahu Alaihi Wasallam)Se Pucha Gaya Ke –“Kis Amal Ki Wajah Se Log Zyada Jannat Me Dakhil Honge ?”*Aap Ne Farmaya – “Allah Ka Khauf(Taqwa) Aur Husn-e-Akhlaq Se,..”*Phir Pocha Gaya – “Zyada Tar Log Jahannam Me Kin Aamal Ki Wajah Se Jayenge ?”*Aap Ne Farmaya – “Monh (Yani Zubaan) Aur Sharmgah Ki Wajah Se.”– (Tirmizi #2004)

# RASOOL’ALLAH SE NAZDEEKI KA SABAB–» Mahfum-e-Hadees: Jabir (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,Rasool’Allah(Sallallahu Alaihi Wasallam)Ne Farmaya –“Qayamat Ke Din Mere Nazdeek Tum Me Se Sab Se Zyada Mehboob Aur Khareeb Baitne Waley LogWo Hongey Jo Behtreen Akhlaaq Waley Hain.”– (Tirmizi #2018)* * * * *2665 In Sha Allah-Ul-Azeez !!!# Allah Rabbul Izzat Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey!# Humey Ba-adab Aur Ba-Akhlaaq Banaye!!# Aur Sunnat-e-Rasool Ke Mutabik Hum’me aur Humari Naslo Me Husn-e-Akhlaaq Paida Karne Ki Taufiq Dey!!# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…# Khatma Humara Imaan Par Ho …!!! Wa Akhiru Dawana AnilhamdulillaheRabbil A’lameen !!!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm