Islamic Blog

Huzoor ﷺ Se Muhabbat Aur Sohbat-E-Saleheen Ke Ajr Ka Bayanٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم60/608 “Hazart Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate HainKi Kisi Aadami Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Qayamat Ke Mut’allik Sawal Kiya Ki (Ya RasoolAllah ﷺ !) Qayamat Kab Aayegi ? Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya Too Ne Us Ke Liye Kya Taiyaari Kar Rakhi Hai ? Us Ne Arz Kiya : Mere Paas To Ko’i Taiyaari Nahin. (Imam Ahmad Ki Riwayat Me Hai Ki Us Ne Arz Kiya : Meine To Is Ke Liye Bahut Se Aamaal Taiyaar Nahin Kiye, Na Bahut See Namazein Aur Na Bahut Se Roze) Siwaaye Is Ke Ki Mein Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Muhabbat Rakhta Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya : Tum (Qayamat Ke Roz) Usi Ke Saath Hoge Jis Se Tum Muhabbat Rakhte Ho. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Hamein (Ya’ni Tamaam Sahaba Ko) Kabhi Kisi Khabar Se Itni Khushee Nahin Huwi Jitni Khushee Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Is Farman-E-Aqdas Se Huwi Ki Tum Us Ke Saath Hoge Jis Se Tum Muhabbat Karte Ho. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya : Mein Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Muhabbat Karta Hoo’n Aur Hazrat Aboo Bakar Wa Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Muhabbat Karta Hoo’n Lihaaza Ummeed Karta Hoo’n Ki Un Ki Muhabbat Ke Baa’is Mein Bhi In Hazraat Ke Saath Hee Rahoonga Agar Che Mere Aamaal To Un Ke Aamaal Jaise Nahin.” Muttafaque Alaih[Bukhari As-Sahih, 03/1349, Hadith-3485, & 05/2285, Raqam-5815, & Al-Adab-ul-Mufdad/129, Raqam-352, Muslim As-Sahih, 04/2032, Raqam-2639, Tirmadhi As-Sunan, 04/595, Raqam-2385, وقال أبو عيسى : هذا حديث صحيح، Aboo Dawood As-Sunan, 04/333, Raqam-5127, Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/104, 168, 178, Raqam-12032, 12738, 12846, Ibn Hibban As-Sahih, 10/308, Raqam-105, Aboo Ya’ala Al-Musnad, 05/372, Raqam-3023, Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat,08/254, Raqam-8556, Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-553, 554, Raqam-608.]

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm