Islamic Blog

Huzoore akram Nabi e kareem(صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya ki

“Jab tum me se kisi ki sawaari jangal mein chhut jaaye ya koi cheez kho jaaye to is tarah pukarna chahiye, ‘Aainooni Ya Ibaad-Allah ya’ni Aye ALLAH ke bando, meri madad karo’, Aisa 3 baar kahe.

Kyun ki ALLAH ke bahut se aise bande is zameen par hote hain, Jo tumhari madad karenge.”

Ref (Tibraani Kabeer, Hadees -105 18; Fatah-ul qadir, Jild – 1, Safa -92)

(6) HADEESE NABAWI :

Hazrate Umar Farooq radi-Allaahu ta’ala anhu riwayat hai :Huzoor RASOOLALLAH (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya,

‘ALLAH ke kuchh bande aise honge jo na Nabi honge aur na Shohada honge; Magar roze mehashar un ke buland maqaam ko dekh kar Nabi bhi rashk karenge aur Shohada bhi rashk karenge.’

Asahaba ne arz kiya : ‘ YA RASOOALLAH (صلی اللہ علیہ وسلم) Hume bata de’n, wo kaun log honge?”

Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya, ‘Yeh wo log hain jo ALLAH ke liye ek-dusre se mohabbat karte hain. ALLAH ki qasam un ke chehre 14wi raat ke chaand ki tarah chamak rahe honge aur wo noor ke mimbaron par baithe honge. Us din jab log khaufzada honge unhe koi khauf na hoga aur jab us din log ghamzada honge unhe koi gham na hoga.’

Phir Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) ne yeh Aayat Tilawat ki –

أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ

Ref (Qur’an :10 Surah al-Yunus, Aayat 62)

‘Khabardar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain un ko na to koi khauf hota hai aur na koi gam hota hai.’

Ref (Abu Dawood, Jild -3, Safah -288, Hadees -3527)

(7) HADEESE NABAWI :

Ek baar Huzoor SALLALLAHU (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya,

‘ALLAH ta’ala ne meri ummat me 70,000 afraad aise ata farmaye hain jo bagair hisaab o kitaab ke Jannat me daakhil honge.’

Ye sunkar ek sahabi ne aage aaye aur arz kiya ‘YA RASOOALLAH (صلی اللہ علیہ وسلم) Aap ne ALLAH ta’ala se majeed na maanga?’

Aap ne aage farmaya ‘Wo har ek apne saath 70-70 hazaar logo ko Jannat me leke jaayenge.’

Ref (Sahih Bukhari, Jild -11, Kitaab-ul-Raqaia, Safa 416; Sahih Muslim, Jild -1, Kitaab-ul-Eimaan, Safa -198)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm