Kanzul Iman Translation:
◆ اس میں فرشتے اور جبریل اترتے ہیں (ف۵) اپنے رب کے حکم سے ہر کام کے لئے (ف۶)
*isme fariste or jibrail utarte hai apne rab ke hukm se har kaam ke liye*
◆ Therein descend angels and Jibril (the Spirit) by the command of their Lord for every affair.
*☆ Tafsir e Khazain ul Irfan:( 5 fa )*
زمین کی طرف اور جو بندہ کھڑا یا بیٹھا یادِ الٰہی میں مشغول ہوتا ہے اس کو سلام کرتے ہیں اور اس کے حق میں یہ دعا و استغفار کرتے ہیں ۔
( 6 fa )
جو اللہ تعالٰی نے اس سال کے لئے مقدر فرمایا ۔
*(📖 AL-QADR – 97:4 )*
🌹Aitekaf Karne Wale Ke Liye Kuch Hidayaat:-
↪Hadees:
🍃Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Wo Kehti Hain,
🍂Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Par Sunnat Ye Hai Ki Wo Na Mareez Ki Ayadat Ko Jaye Na Janaze Me Hazir Ho, Na Aurat Ko Hath Lagaye, aur Na Usse Mubashirat Kare,
Aur Na Kisi Hajat Ke Liye Jaye.
🍃Magar Us Hajat Ke Liye Ja Sakta Hai Jo Zaroori Ho.. Aur Aitekaf Bagair Roza Ke Nahi, Aur Aitekaf Jamat Wali Masjid Me Kare….
📚(سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب المعتكف يعود المريض، جلد-2، صفحہ-492، الرقم الحديث-1172.)
↪Mas’ala:
🍂Masjid Me Allah Ke Liye Niyyat Ke Sath Thaherna Aitekaf Hai,
🍃Aur uski liye Musalman AAQIL (aqal wala) Aur Janabat Aur Haiz O Nifas Se Pak Hona Shart hai..
🍂Balig Hona Shart Nahi, Balki Na’Balig Jo Tameez Rakhta Ho Agar Ba-Niyyate Aitekaf Masjid Me Tehre To Ye Aitekaf Sahi Hai….
📚{Bahar-e-shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, page-1020}
↪Mas’ala:
🍃Aitekaf Ke Liye Jama Masjid (badi masjid) Shart Nahi,
Balki Masjide Jamat jisme imam O Mo’azzin Muqarrar Hon Agarche usme Panjgana Jamat Na Hoti Ho,
🍂Aur Asani isme Hai Ki mutlaqan Har Masjid Me Aitekaf Sahi Hai,
🍃Agarche Wo Masjide Jamat Na Ho, khususan is zamane (gaon dihat me) aksar Masjide Aisi Hain Ki wahan Na imam Hai Na Mo’azzin..
📚{Bahar-e-shariat, Hissa-5 Aitekaf Ka Bayan, Page-1020}
↪Mas’ala:
🍂Sab Se Afzal Aitekaf Karna masjide Haram (kabatullah) Me, Phir Masjide Nabwi Me, Phir Masjide AQSA Me, Phir Usme Jahan Badi Jamat hoti Ho….
📚{Bahar-e-shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, page-1021}
↪Hadith:
🍃Ramadhan ke Aakhri Ashrey mein Itikaf kiya karo
Abdullah bin Umar radi allaho anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramadhan ke Aakhri Ashrey mein Eitkaaf kartey they…
📚(Sahih Bukhari , 2025)
💐IMAAM AHMAD wa HAKIM aur TABRANI KABEER me aur IBNE ABIDDUNIYA aur BAIHAQI SHO,ABUL IMAAN me ABDULLAH IBNE AMR RADIYALLAHU T’ALA ANHUMA se rawi ki HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI farmate hain Roza wa Qur,aan bande ke liye shafa,at karenge,
🍂Roza kahega!
Aye RAB maine khaane aur khawaahishon se ise din me rok diya meri shafa,at iske haq me qubool farma,
🍃Qur,aan kahega
Aye RAB! maine ise raat me sone se baaz rakha meri shafa,at iske baare me Qubool kar,
2no ki shafa,at qubool hogi.
📚[Bahare shariat]
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017