Iftar Se Pehle Ki Dua Hindi – Iftar ki dua
Assalamualaikum;-
Iftar ke Pehle yeh Dua zaroor padhni chahen aur ALLAH Ta’ala is waqt ki Dua qubool farmate hain aur Dua ke pehle aur baad Darood Shareef zaroor padhen……!
( bismillah hirrahma’anir raheem ) ;-
1. Ae ALLAH hamari zaban par Kalma e Taiyabe hamesha jaari rakh.
2. Ae ALLAH hamen kaamil imaan naseeb farma aur puri hidayat ata farma.
3. Ae ALLAH hamen pure ramzan ki nehmatein,anwar o barkaat se mala-mal farma.
4. Ae ALLAH ham par apni rahmat nazil farma karam ki barish farma aur rizq e halaal ata farma.
5. Ae ALLAH hamen deen e islam ke ahkaam par mukammal taur par amal karne wala bana de.
6. Ae ALLAH hamen apna mohtaj bana,kisi gair ka mohtaj na bana.
7. Ae ALLAH tu hamen laiyla tul qadr naseeb farma.
8. Ae ALLAH hamen Haj maqbul o mabrur naseeb farma.
9. Ae ALKAH hamen jhoot gibat bughze o kina burai o jhagre fasad se door rakh.
10. Ae ALLAH ham se tangadasti khouf ghabrahat aur qarz ke bojh ko door farma.
11. Ae ALLAH ham ko dajjal ke fitne shaitan aur nafs ke sher se mahfooz rakh.
12. Ae ALLAH hamare sagirah aur kabirah gunaho ka muaf farma.
13. Ae ALLAH aurato ko parde ki puri-puri pabandi karne ki taufeeq ata farma.
14. Ae ALLAH har chhoti badi bimari se hamen aur kul mominain o momenat ko mahfoz rakh.
15. Ae ALLAH hamen taqwa aur parhegari ata farma.
16. Ae ALLAH hamen Huzoor Paak Sallallaho Alaihe Wasallam ki sunnat par chalne ki taufeeq ata kar.
17. Ae ALLAH hamen Huzoor Paak Sallallaho Alaihe Wasallam ke pyare tariqe par qaahin rakh.
18. Ae ALLAH hamen qayamat ke din Huzoor Paak (S.W) ke hath se jaam e kausar pina naseeb farma.
19. Ae ALLAH hamen qayamat ke din Huzoor Paak S.W ki shefahat nasefb farma.
20. Ae ALLAH tou apni muhabbat aur hamare Aaqa S.W ki muhabbat hamare dilo me dal de.
21. Ae ALLAH hamen mout ki sakhti se aur qabr ke azaab se bacha.
22. Ae ALLAH munkar nakir ke sawalaat ham par aasan farma.
23. Ae ALLAH hamen qayamat ke roz apna didar naseeb farma.
24. Ae ALLAH hamen qayamat ki garmi se jahannam ki aag se mahfooz farma.
25. Ae ALLAH hamen Janat ul fidos me jageh ata farma.
26. Ae ALLAH naame a’ahmal hamare dahine hath me naseeb farna.
27 Ae ALLAH hamen aur tamam mominein o momenat ko hashr ki ruswahio se bacha.
28. Ae ALLAH apne arsh ke sahe me jageh ata farma.
29. Ae ALLAH pool seraat ki bijli ki tareh guzarne ki taufeeq ata farma.
30. Ae ALLAH hamen dono jahan me Rasool Paak Sallallaho Alaihe Wasallam ka ghulam bana ke rakh.
Aur is gunehgar ko bhi yaad rakhenge.
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022