Imam Azam Abu Haneefa
> Sarkar Aap pe drood Salam Ki Basharat Hain
> Hazrat Ali Ki Dua
> Sarkar K Nawase Imam Hussain Ki Poti K Bete
> Hazrat Ali Or Hazrat Fatima Ki Parpoti K Bete
> Imam Zain Ul Abidin K Sage Nawase
> Imam Baaqar K Bhanje Or Poti K Shohar
> Imam Ja”far Sadiq K Phuphi Zad Or Damad
> Imam Moosa Kazim K Behnoi Or Samdhi Is Liye K Aap Ki Walida Khadija Sughra Imam Zain.Ul.Abidin Ki Beti Hain
(SHiJRA E TAYYABA 9/48)
Hadees:
Agr Eman Suraiya Taare K Pas Latka Hua Hoga To Arab Is Ko Na Pa Saken Ge, Albatta Faaras Wale Ise Pa Lenge.
(Bukhari-4615)
Hadees:
Agr Deen Suraiya Tare K Pas Ho To Faaras Ka 1 Admi Wahan Puhnchega Or Ise Pa Lega.
(Muslim-2546)
Imam Azam Naslan Farsi The.
(Abu Haneefa O Hayat-13)
QOL- Allama Siyuti:
“Is Hadees Me Imam Abu Hanifa Ki Basharat Hai”
Q K Ahle Faras Me Se Koyi Bi In K Kul Ilm Ko Nahi Puhnch Saka
(Radul-Mukhtar-1/49)
Allama Ibne Hajar Shafai Ne Imam Abu Hanifa K Fazaail Me 1 Mustaqil Kitab Likhi, Jis Ka Naam Hai:
“Kherat-Ul-Hasaan Fi Tarjuma Abi Hanifa”
Is Me Hadees Naqal Farmayi,
Hadees:
San 150 Me Dunya Ki Zeenat Utha Li Jaye Gi
(Fatawa Shami-139)
NOTE:
San 150 Me Imam Azam Ki Wafat Sharif Hai, Maloom Huwa Imam Azam Dunyae Shariat Ki Zeenat Shariat Ki Ronaq Ilm O Amal Ki Zibaish The, Is Hadis Se Bi Imam Abu Hanifa Hi Ki Taraf Ishara Hai.
Imam e Azam Abu Hanifa Tabaee The, Aap Ne Buht Sahaba Ka Zamana Paya, Or In Se Mulaqat Bi Ki. 4 Ke Naam Ye Hain:
1> Anas Bin Malik, Jo Basra Me The.
2> Abdullah Ibne Abi Oufi, Jo Kufa Me The.
3> Suhail Ibne Saad Saadi, Jo Madina Munavara Me The.
4> Abu Tufail Amir Ibne Vasla, Jo Makka Muazama Me The.
(Akhbar Abi Hanifa o Sahaba-4,
Akmaal Fi Rafe Artiab-6/416,
Jame Byan-1/101,
Tarikhe Baghdad-13/324)
Imam e Azam Abu Hanifa, {ALLAH un se razi} Ne Apni Tasaneef Me70 Hazaar Se Ziyada Hadeesen Bayaan Ki’n.
(Manaqib.Ul.Imam Azam Al Qari-2/474)
HUZOOR Ki Ummat K Bare Bare Auliya ALLAH, Ghous, Qutub, Abdaal, Imam Abu Hanifa K Daman Se Wabasta Hain Or Ap K Muqallid Hain
(Ja AlHaq 989)
Imam e Azam Abu Hanifa Ramzan Me 61 Bar Quran Khatam Farmate.Aksar Rat Ko Har Rakaat Me Sara Quran Khatam Farmate. Jis Jagah Aap Ka Wisal Hua Wahan 70 Hzaar Martaba Quran Khatam Kiya Gaya. Aap Ne 55 Haj Kiye.
(Ja Al-Haq 989, Anwar-e-Imam Azam 85)
Hazrat Abu Hanifa Imam, Muttaqi, Aalim, Ibadat Guzar Or Buht Bari Shan Wale Hain.
(Qol: Imam Zehbi
Ref: Tazkiratul Huffaz 1/168)
HazratAbu Hanifa (Sahaba K Bad) Sub Logo Se Bare Faqiha
(Aalim-e-Deen) Hain.
(Qol: Imam Ibne Mubarak
Ref: Tazkiratul Huffaz 168)
Sab Log FiQH Me Imam Abu Hanifa K Muhtaaj Hain.
(Imam Shafai. Tazkiratul Huffaz 168)
Agar! Imam Abu Hanifa Ka ILM, In K Tamaam Ahl-e-Zamana K Majmui Ilm Se Tola Jaye To Yaqinan!, Imam Abu Hanifa Ka Ilm, In Sab K Ilm Se Bara Ho Ga.
Agar! Roye Zameen K Aadhe Logo Ki Aqal Se Imam Abu Hanifa Ki Aqal Toli Jaye To Imam Abu Hanifa Ki Aqal Ka Palla Bhari Rahe Ga
(Imam Ali Bin Asim. Akhbar Abi Hanifa 9 & 30 Tarikh-e-Baghdad 13/363)
Imam Abu Hanifa Aslaf K Sahi Janashin The Or ALLAH Ki QasamInho Ne Apne Baad Roe Zamin Pr Apni Misil Koyi Na Chora.
(Qol: Imam Abu Yousuf)
Agar! Imam Abu Hanifa Farmayen K Ye (Lakri Ka) Tana Sone Ka Hai,To Wo Dalaail Qa’im Kar K Sabit Kar Sakte Hain K Ye Sone Ka Hai.
(Qol: Imam Malik.
Ref: Tabqat-Ul-Fuqaha-1/88, Tarikh-e-Baghdad 1/337_438)
Tamaam Musalmano Par Wajib Hai K Apni Namazon Me Imam Abu Hanifa (Radi ALLAHu Anhu) K Liye ALLAH Ta’ala Se Dua Karen.Kiyu K Imam Abu Hanifa Ne Musalmano K Liye Sunan O Fiqa Ki Hifaazat Farmayi Hai.
(Qol: Hazrat Abdullah Bin Daood.
Ref: Tarikh-E-Baghdad 13/344
Hazrat Abu Hurera Ki Riwayat:
HADEES:
Meri Ummat Me 1 Mard Peda Hoga Jiska Naam Noman Hoga Kuniyat Abu Hanifa Hogi Wo Qayamat Me Meri Ummat Ka Charagh (Siraj-e-Ummati) Hai.
(Ref: Tabyzus Sahifa,
Az: Imam Jalaluddin Siyuti)
Hazrat Anas Bin Malik Ki Riwayat:
HADEES:
1 Aisa Mard Peda Hoga Jiska Naam Noman Bin Sabit HogavOr Iski Kuniyat Abi Hanifa Hogi Wo ALLAH K Deen Or Meri Sunnat Ko Zinda Kare Ga.
(Al Muajjam, Az:Imam Tibrani)
Koyi Laeen Imam e Azam Ki Shan Me Bakwas Kare To Kya Aitbar,Chimkadar Agar Suraj Ko Bura Kahe To Suraj Siyah Nahi Ho Jata.Ye mushtarik bat shiya or wahabyon me he k ye dono milkar imam e azam pe ghurate rehte hen. Ajib gharib bakwas karte hen. Lekin chand pe thookne ki koshish karne wale ki thook khud us k munh me lagti he.
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017