Islamic Blog

Imaam Ali al-Riza rahmatullahi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Riza, Imaam e Jaamin.
**************
Aap ki wilaadat 11 Zil Qa’ada 148 Hijri (29 December 765 A.D.) ko Madeena me hui.
Aap ke waalid ka naam Imaam Moosa al-Kaazim bin Imaam Jaafar al-Saadiq rahmatullahi alaihi aur waalida ka naam Najmah hai.
**************
Aap Aaimma e Ahle bait ke 8we Imaam hain.
Aap 183 Hijri (799 A.D.) me apne waalid ke wisaal ke baad Imaam bane.
**************
Aap ki biwi ka naam Sabīkah Khaizarān hain.
Aap ke saahabzade Imaam Muhammad al-Taqi hain.
**************
Aap ke khalifa Hazrat Imaam Muhammad at-Taqi (al-Jawwad) rahmatullahi alaihi aur Hazrat Maaroof al-Kharkhi rahmatullahi alaihi hain.
**************
Aap ka Ilm, Ibaadat, Husn e akhlaaq, aur Sakhaawat mashhoor hai.
Aap aksar Roza rakhte the.
Zyada waqt Ibaadat aur Zikre ilaahi me guzarte.
Har 3 din me Qur’an majeed mukammal karte the.
Aap gareebo aur mohtaajo ko imdaad karte rehte the aur raat ke waqt posheeda rehkar logo ko khufiya madad karte the.
Ek baar al-Ma’amoon ne Mubaahisa ke liye aalimo ko jama kiya. Aap bhi us me saamil hue aur apne ilm se bahot saare mauju par logo ko sahi taaleem ata farmai.
**************
Imaam banne ke baad Abbasi Khalif Haaroon al-Rasheed ne aap ko takleef dena shuru kiya aur ahle Madeena ko aap ko milne se rokne ka farmaan kiya. Us ne kai baar Imaam ko qatl karne ki nakaam koshish ki.
193 Hijri (809 A.D.) me Haaroon al-Rasheed ke inteqaal ke baad us ke 2 bete al-Ameen aur al-Ma’amun ke darmiyan hukoomat haasil karne ke liye jang ke haalat paida hue. al-Ma’amun ne Imaam ko milne ke liye Faars (Iran) bulaya. Aap apni biwi aur saahabzade ko Madeena me chhodkar aap Merv jaane ke liye rawaana hua.
Apne bhai ko haraane ke baad al-Ma’amoon ne Imaam ko apna Khalifa banne ke liye darkhwashaat ki. Us ka iraada ye tha ke is se awaam ki nazar me khud ki izzat badhe aur log baghaawat na kare. Magar aap ne inkaar kiya.
***************
Jab aap Madeena se Merv ka safar kar rahe the tab safar ke dauran jangal me ek hirni bhaagkar aap ke paas aai aur kuchh kehne lagi. Us ke pichhe ek shikaari tha. Jab wo shikaari qareeb aaya to aap ne us se kaha ‘Tum is hirni ko jaane do. Wo apne bacho ko doodh pilakar waapas aa jaayegi.’ Us ne Imaam ke farmaan par hirni ko jaane diya. Aur Imaam ke saath usi jagah par hirni ka intazaar karne laga. Magar wo soch raha tha ke hirni waapas nahi aayegi. Kuchh waqt ke baad wo hirni apne bacho ko saath lekar waha aa pahunchi. Ye dekhkar use ta’ajjub hua. Aur Imaam ki ta’azeem ki khaatir us ne hirni aur us ke bacho ko aazad kar diya.
**************
Aap ke wisaal se pehle Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam aap ke khwaab me tashreef laaye aur farmaya ‘Kal hamare paas tashreef laao. Yaha jo hai wo us haalat se behtar hai jis me filhaal tum ho.’
Aap ki aankh khuli to aap ne apne saathi Harsama ko bulaya aur farmaya ‘Meri shahaadat ka waqt qareeb hai. Mere inteqaal ke baad al-Ma’amoon ko mere ghusl wa tajheez me saamil na hone dena. Meri is wasiyat ka khayaal rakhna.’
****************
Merv se Baghdad ki taraf safar ke dauran Tus me al-Ma’amoon ne angoor me zeher milakar Imaam ko khilaaye. Jab aap ko apni shahaadat ka waqt qareeb hone ka pata chal gaya to aap apne dost Abu Salaat ke ghar me tashreef aaye aur foran sab qaalin hatane ke liye farmaya aur kisi ko ghar ke andar aane se mana farmaya aur farmaya ‘Main chahta hu ke jab meri rooh nikle to apne daada Imaame Husain ki tarah zameen par rahu. Mere baad mere bete Muhammad ka khayaal rakhna.’
**************
Aap ka wisaal 28 Safar 203 Hijri (23 August 818 A.D.) ko 55 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Mashhad (Iran) me hai.
**************
ALLAH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Imaam Ali al-Riza rahmatullahi alaihi ke waseele se aur tamaam Auliya Allah aur Ahle bait aur Ashaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz murado ko puri farmae.
Aameen.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm