Islamic Blog

IMAAM HUSAIN KI SHAHADAT KI KHABAR PEHLE HI SE
.
Hazrat umme fazal kehti he
k mene puchha ae allah k nabi
mere maa baap
aap par qurban hon
apko kya hua
aapne farmaya abhi mere pass
jibrail alyhsslam aye the
unhone mujhe bataya h k
meri ummat k (yani musalmano hi se kuchlogo ki jama’at) mere us bete yani (imaam husain) ko
qatal kar degi
mujhe us khak zamin ki
mitti mese kuchh mitti di jo
surkh rang ki thi
(mishkatul masabih baab manaqib ahlebait)
.
HAZRAT UMME SALMA KO MITTE A’TAA FARMANA
hazrat imaam husain abhi bachche the
k nabiepaak ne
hazrat umme salma
ko us jagah
ki mitti ataa frmayi
jahan
imaam husain
ko shahadat pani thi hazrt umme salma
frmati h k
hasan aur husain dono mere
ghar me nabiepak k samne
khel rahe the
jibrail alyhsslam huzur ki khidmat me hazir hue
aur kaha beshak apki ummat mese ek jamat
apke us bete husain
ko apke baad Qatal
kr degi
aur apko bahan ki
thodi mitti di
huzurepak ne us mitti ko
apne seene se chimta lia
aur roe fir farmaya ae umme salma
jab ye mitti khoon me
badal jae
to jaan lena k mera ye beta
qatl ho gaya umme salma ne us mitti ko
botal me rakh dia
tha
aur wo har roz usko
dekhti aur
farmati ae mitti jis din
tu khoon ho jaegi
wo din azeem
hoga
KHAAS BAAT
nabi sallallahu alyhi wasallam, ne
na ki pehle hi
khabar di thi
balke jis muqaam
par
wo shahadat pane wale
the us jagah ki pehchan bi pehle se
hi
batla di thi
ummul momineen
hazrat ayesha siddiqa
frmati h
k huzur ne
frmaya:
“mujh ko jibrail ne
khabar di k mera
beta
husain mere bad zamin
taff (karbala k naam se mashhur he)
me qatl krdia jaega
aur jibrail alyhsslam
mere pas
us zamin ki
ye mitti ki ye mitti
lae h
aur unhone mujhe btadia k yahi mitti husain ka madfan he
(sirrush’shahadatain 24)
.
HAZRAT IMAAM HUSAIN ki shahadat
k kayi saal pehle
sahaba e kiram
k darmiyan
ye bat shohrat pa chuki thi
k
aap ki shahadat
karbala k muqaam par hogi,
huzure akram
ek din imaam husain ko god me lekar
chumne lage
to farishto ne arz ki
kya aap isko
mehbub rakhte he
aapne kaha han
farishto ne kaha
beshak
apki ummat isko qatl
kar degi
aur aap chahe to
me apko wo jagah
dikha du
jahan ye qatl kie jaenge
bas usne apna hath mara
aur apko surkh mitti dikha di
wo mitti umme salma
ne li
aur rawi
farmate h hum
suna krte the k
husain karbala me
shaheed honge,
(khasaisul kubra 2/125
sirrush’shahadatain 25)
Hazrat abu ubaidah se riwayat h k
nabie pak ne farmaya
meri ummat
ki hukumat adal k sath
qaim rahegi yahan tak
k
pehla shakhs jo ise tabah karega wo
bani umaiyya mese
hoga
jisko yazid kaha jaega
(Al bidaya balnihaya ibne kaseer 8/231)
.
EK LATEEF NUKTA
ye
baat qabile ghor he
k
hazrat ayesha siddiqa jo k
huzur ko apni biwiyo me sabse
mehbub thi unko mitti ataa na frmayi
aur na hi
ksi aur biwi ko balki
hazrt umme salma
k hi hawale frmai
aur kaha k
ae umme salma jab
ye
mitti khoon me badal jae
to ye samajh lena
k mera beta
shaheed ho gaya
uski waja ye thi
k aap apni nigahe
nabuwat se
dekh rahe the k
mere bete ki shahadat k waqt
sirf meri biwi umme salma
hi zinda hongi islie apne sirf
unhi ko mitti ataa farmai
imaam husain ki
shahadat k waqt sirf wo hi zinda thi
nabi sallallahu alyhi wassallam
ka
imaam husain ko apna
beta kehna
quran & hadees
se
sabit he
“ae nabi najraan k padriyo se kehdo
k hum aur tum
bulaye
apne beto aur apni aurton ko
apni apni jaano ko
fir dono fareeq
dua kare jhuto par
allah
la’anat kare
(Al-imran 61)
.
is ayat k
nuzool k baad
nabiepak ne
hazrt fatima
hazrt ali
hzrt imaam hasan aur husain
ko sath lekar najran
k
padriyo k muqable k lie tashrif
lae the aur us waqt
aapne farmaya tha
“ae allah
ye meri ahle-bait
hai,
(Muslim kitabul fazail)
to sabit hua k husain karimain huzur k
bete hai
quran k farman k
mutabiq nawase ko
bete ka
muqaam hasil hota
he
yahi waja h k
hazrt isaa alyhsslam
bani israeel me
shumar kie jate
h
yani hzrt yaqoob alyhsslam k beto
me
gine gae h halanki
aap bager baap
k
paida hua the
apko apki maa ki
nisbat se
bani israeel me shumar kia jata h
isi trha imam husain
ko
biwi fatima
ki nisbat se farzandane rasul
hone ka azeem sharf rakhte hain
.
HADEES:
nabiepak ye dono mere aur meri beti k bete he
ae allah mein inko mehboob rakhta hu
tu bhi inko mehbub
rakh aur inko jo bhi
mehbub
rakhe tu usko bhi mehbub rakh,
.
(Tirmizi baabul manaqib)

Source:https://diniraah.wordpress.com

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm