HIQAYAT:-
**********
Baghdaad May Jab Motajaliyon Ka Galba Hua To Unohne Chaha Ki Hazrat Imaam Hambal Radi-Allahu-Ta;aala-Anhu Se Zabardasti Kahelwaye Ki Quraan Makhluk Hain!Chunanche Mukhtalif Saajishon Ke Zariye Wo Aapko Khalifa Ke Darbar May Legaye! Darbar May Ek Darwaze Per Ek Sipahi Khada Tha, Hazrat Imaam Hambal Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Jab Is Darwaze Se Gujre To Us Sipahi Ne Kaha Ki, Aye Imaamul Muslimeen Quraan Ko Makhluk Hargiz Na Kehna Aur Mardon Ki Tarah Rehna! Dekhiye Main Ek Martaba Chori Ke Ilzaam May Giraftar Hua Tha Aur Hazaar Kode Mujhper Pade, Lekin Maine Ikraar Na Kiya! Inkaar Per Hi Data Raha Tha! Bil-Aakhir Main Riha Hogaya Aur Apne Zhoot Aur Galat Per Kaamyab Hogaya! To Jab Main Haq Per Na Tha Aur Sabr Ki Badaulat Kaamyab Hogaya, Fir Aap Jabki Sarasar Haq Per Hain! Bhala Sabr Se Kaamyab Kyon Na Hoge?Hazrat Imaam Ahmed Ibne Hambal Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Uski Yeh Baat Sunker Bade Mutassir Hue! Aapne Farmaya, Jazakallah! Main Tumahri Yeh Baat Khub Yaad Rakhuga Aur Hargiz Haq Ko Na Choduga!
Chunanche, Aapko Darbar May Pesh Kiya Gaya! Aapko Majboor Kiya Gaya Ki Quraan Ko Makhluk Kahe Magar Aapne Nahi Kaha! Hatta Ki Aapko Shikanje May Kasa Gaya Aur Ek Hazaar Kode Maare Gaye, Magar Aapne Har Dafa Yahi Kaha Ki Quraan Makhluk Nahi Hain! Isi Darmiyaan Jab Aapko Shikanje May Kasa Hua Tha, Aapka Ijaar-Bandh Khul Gaya! Aapke Dono Hath Bandhe Hue The! Sabne Dekha Ki 2 Hath Gaib Se Jaahir Hue Aur Unohne Aapka Ijaar-Bandh Baandh Diya! Aapki Yeh Karamat Dekhker Aapko Chod Diya Gaya!
(Tazkiratul Auliya Pg-261)
********************************
SABAK:-
********
Hazrat Imaam Ahmed Ibne Hambal Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Imaamul Muslimeen The Aur Haq Ke Alambardar! Dushmano Ne Aapko Be-Hadh Sataya Aur Taklifen Di! Magar Aapne Sabr Wa Shukr Se Kaam Liya Aur Maslak-A-Haq Ko Nahi Choda! Aapne Quraan Pak Ki Izzat Ke Khatir Apni Jaan Per Sakhtiyan Bardasht Ki!Malum Hua Ki Imaam-A-Deen Ke Dilon May Quraan Wa Hadees Ki Badi Waq-at Aur Taazim Thi!
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021