Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Ek Baadshah Ne Chnd ALLAH Walon Ka Imtehaan Lene Ki Khatir Unki Dawat Ki! Dawat May Kuch Khane To Halaal Rakhe Aur Kuch Haraam Bhi Rakh Diye! Apne Sathiyon Se Kehne Laga Ki Dekhen Yeh ALLAH Wale Halaal Wa Haraam May Tamiz Kar Sakte Hain Ya Nahi?
Chunanche, Jab Wo ALLAH Ke Wali Dasterkhan Per Baithe To Baadshah Apne Sathiyon Samet Unke Sath Bait Gaya Aur Dekhne Laga Ki Yeh Log Haraam Khaate Bhi Hain Ya Nahi!
Chunanche, Jab Khana Shuru Hua To Un ALLAH Walon Mayse Ek Bujurg Farmane Lage Ki Aaj Main Aapki Khidmat Karuga! Aap Sab Logon Ke Saamne Khana Main Rakhuga! Fir Jin Platon May Halaal Khana Tha Wo Apne Sathiyon Ke Saamne Aur Jin May Haraam Khana Tha, Wo Baadshah Aur Uske Sathiyon Ke Saamne Rakhne Lage Aur Sath-Sath Yeh Aayat Padhne Lage-

Tarjuma:-
**********
“Pakeeza Chizen Paak Logon Keliye Aur Khabis Chizen Khabison Keliye!”

Baadshah Ne Yeh Maajra Dekha To Wahin Tauba Ki Aur Un Sabke Saamne Apne Kusoor Ka Ehteraaf Kiya! Sacche Dilse ALLAH Walon Ka Moathqid Hogaya!

(Rauzur-Riyaheen, Pg-228)

********************************
SABAK:-
********
ALLAH Ke Maqbool Bandon Ka Ilm Wa Irfaan Bada Wasi Hota Hain! Unki Nazron Ke Saamne Poshida Aur Raaz Ki Baatain Bhi Zaahir Hoti Hain! Yeh Sab Sadqa Hain Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Jinki Itteba Ki Badaulat Uneh Aisi Nazar Haasil Hoti Hain! Fir Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Se Koi Raaz Ki Baat Poshida Kaise Reh Sakti Hain?

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm