Islamic Blog

* Assalamu Alaikum *
Dosto- insani Pahchan me FINGAR PRINTS ko sabse bada Darja Haasil Hai- iski khoj 1880 me sir FRANCE GALT ne ki – tab se ye Pahchan ka Sabse bada Zariya Hai
Aaj – Duniya me 7 Arab se zyada insaan Hain – Aur- ARABO insaan Guzar Gaye – Na Jaane QAYAMAT tak kitne Aur insaan Paida Honge- Lekin- Sabke FINGUR PRINTS Alag Hi Honge-yaha tak ki Judwa Bhaiyo ke Nishan bhi- Alag Hi Hote Hain
Aakhir – Woh Kaun si Taaqat Hai ? – Jo – Har insaan ko Ek Alag Pahchan Deti Hai
is choti si “Cheez”pe GAUR karke INSAN – Apne *RAB* ki Azmat aur Uski QUDRAT ki Karigari ko Pehchan Sakta Hai
Lekin – Bahut se *ALLAH* ka inkaar karne Wale -ye Aitraj karte Hain – ki- Jab INSAN Mar ker Mitti me Mil Jata Hai -aur- Uski Haddiya Khaak me MiL Jaati Hain
To- Kaise Mumkin Hai ki- Uske Jism ka Ek Ek ANSH ikathta Ho ker Pahle wali Shakal me Wapis Aa Jayega
Aur – Ager – Aisa Ho bhi gya – to QAYAMAT ke Din Uski Theek Theek Pahchan “Kis” Tarha Hogi
iska Jawab *ALLAH*(S.N.T) ne Surah Qayamat ki Ayat no 3- 4 me diya Hai
AL QURAN > *( KYA ? INSAAN YE SAMAJH RAHA HAI -KI- *HUM* KABHI BHI – USKI “HAD’DIYO” KO JAMA NAHI KAR SAKENGE – KYU NAHI ?
*HUM* TO – USKI ‘UNGLIYO’ KE “POR-POR” TAK “THEEK-THEEK” BANA DENE KI “TAAQAT” RAKHTE HAIN )*
Ab Dosto – SawaaL yeh Hai – ki-Jab QURAN me *ALLAH* (S.N.T)> insaan ki Pahchan ki Baat Kar Raha Hai – to- insaan ki Ungliyo ke PORO ki Hi Charcha Kyu ki ?
Masla – Ek dum Saaf Hai -ki- Aaj se 1400 Saal pahle – kisko Ye Maloom tha – ki- Hur insaan ki UNGLIYO ke Nishan Alag Alag Hain
YAQINAN – Yeh- ILM Rakhne wali Hasti *ALLAH* ke Siwa – Koi Aur Nahi Ho Sakti
***((( $UBHAN ALLAH )))***

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm