Islamic Blog

Duniya mein rahte hue insan ki aankho mein, jism mein itni taakat nahi ke Allah ko apni aankho se dekh sake, ek baar Hazrat Musa alayhissalam ne Allah se dekhne ki zid kar li, Allah ne farmaya ke pahad ke peeche dekho, jab unhone dekha to Allah ne apni halki si tajalli dikhai, jisse pura pahad jal gaya, aur hazrat Musa alayhissalam bardasht na kar sake aur behosh ho gae, aur kai din tak behosh rahe. Wo to pegambar the to itna bhi bardasht kar gae, warna aam insan hota to jal jata/mar jata.

Har kisi ko Allah ko dekhne ki tamanna hogi. lekin insan Allah ko kab dekh paega. Jab Jannati Jannat Main Pahunch Jayenge, waha insan jo soch sakta hai usko wo bhi milega, aur jo kabhi na socha hoga, na dekha hoga, wo bhi usko milega. Wo aaram aur maze ki zindagi ji raha hoga. lekin abhi tak Allah ko kisi ne na dekha hoga, sirf uski awaz aaegi, ALLAH Unse Irshaad Farmayega “Kya Tum Chahte Ho Ki Main Tum Ko aur kuch du, Tum Ko Jo Kuch Ab Tak mila uske alawa bhi kuch khaas du. ye sun kar sab Jannat wale kahenge, Aey Allah, Kya Tu Ne Humare Chehre Roshan Nahin Kar Diye…? aur Kya Tu Ne Humey Dozakh Se Bachakar Jannat Main Dakhil Nahin Kar Diya…? Ab Iske Alaava aur Kya Cheez Ho
Sakti Hai, Jis Ki Hum Khuwahish Karey… (tune sab to de diya). Bando Ke is Jawaab ke Baad Allah farmaega, Ek cheez bachi hai, kya mera deedar na karna chahoge, Phir ALLAH Parda Utha Dega,
Jiske Baad Sab Jannati ALLAH TA’ALA Ka Deedaar Karengey….
Ab Unka Ye Haal Hoga Ki Jo Kuch Ab Tak Inhe Mila Tha Un Sab Se Zyada pyara Un Ke Liye Apne Allah ka Deedar hoga, matlab Allah ka deedar hi itna sukun dene wala, accha hoga ke jannati apni jannat ke maze, aaram, luxury ko bhool jaenge, aur Allah ko dekhte rahenge. Phir iske baad jannati ke darje ke hisab se Allah us bande ko apna deedar diya karega. jese kisi ko din mein kai baar, kisi ko din mein ek baar, kisi ko week mein ke baar, kisi ko mahine mein ek baar, aese darje ke hisab se Allah apna deedar bando ko deta rahega, hamesha hamesha ke liye. aur jannati jannat mein rahenge hamesha hamesha ke liye.
♡ SUBHAN ALLAH ♡

Dosto, ab hum khud soche ke hum jannat mein jana chahte hain ya nahi, Allah ka deedar karna chahte hain ya nahi, aur kitni baar karna chahte hain, jannat mein zyada uncha darja paane ke liye, zyada baar Allah ka deedar karne ke liye duniya mein zyada kurbani dena hogi.

Allah hum sabko apna zyada se zyada baar deedar ata kare, aur hum sabko jannatul firdos mein jagah ata kare, aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm