Islamic Blog

HIQAYAT:-
*********
Hazrat Fatah Mausli Rehmatullah Alaihi Ek Roz Apne Yaaron Ke Sath Masjid May Baithe The Ki Ek Naujawaan, Jo Saadha Libaas Pehne Hue Tha, Aaya Aur Kehne Laga Ki, Janab Kya Musafiron Ka Bhi Koi Haq Hota Hain Ya Nahi? Hazrat Mausli Ne Farmaya, Ki Haan Hota Hain! Us Naujawaan Ne Kaha Ki, To Fir Main Ek Musafir Hoon! Fala Mohalle Ke Fala Makaan May Tehra Hoon! Kal Main Marjaounga! Kal Aap Us Mohalle May Aayen Aur Us Makaan May Pahuchker Mera Gusl Aap Khud De! Mere Is Pairhan Ko Mera Kafan Banayen! Isi Kafan May Dafnayen! Yeh Kehker Wo Jawaan Chala Gaya!

Hazrat Mausli Dusre Roz Usi Mohalle May Pahuche! Us Makaan May Gaye To Wakayi Wo Naujawaan Fauth Ho Chuka Tha! Hazrat Mausli Ne Wasiyat Ke Mutabik Usko Khud Nehlaya Aur Usi Pairhan May Kafnaya! Hazrat Mausli Alaihir-Rehmaan Jab Kafan Pehnaker Farig Hue To Us Naujawaan Ne Kafan Se Hath Nikaala Aur Hazrat Ka Daaman Pakadker Kaha Ki Jazakallah Aye Fatah Mausli! Agar Main Haq-Ta’aala Ke Nazdik Martaba Paounga To Aapki Is Khidmat Ke Badle Zarur Aapki Khidmat Ka Badla Chukaounga!

(Tazkiratul Auliya, Pg-349)

********************************
SABAK:-
*******
ALLAH Walon Ko ALLAH Ki Ata Se Yeh Ilm Bhi Hota Hain Ki Wo Kab Marege! Fir Jo In ALLAH Walon Ke Sayyad Sardar Hain Aur Jinke Sadqe May In Sabko Yeh Azmatain Mili Unka Apna Ilm Kis Qadr Wasi-a Hoga!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Yeh ALLAH Wale Marte Nahi Hain Balki Unki Maut Mahez Intekaal-A-Makaani Hoti Hain! Yani Ek Jagah Chhodker Dusri Jagah Chale Jana!Jaise Ki Kisi Shayer Ne Kaha Ki-Auliya Ko Mat Samajhiye Margaye!Wo To Is Duniya Se Apne Ghar Gaye!

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm