Islamic Blog

Musalman Bhai se mulaqaat hone per ‘ Assalamu Alaykum” Kahiye,

Jab kisi muslaman bhai se mulaqaat ho to apne talluq aur masarrat ka izhaar karne ke liye’ Assalamu Alaykum ” kahiye,

Qurane Paak ki Surah Al-an’aam:Aayat 54 me he:

وَإِذَا جَاءَكَ الَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِآيَاتِنَا فَقُلْ سَلَامٌ عَلَيْكُمْ

*“Ey Nabi! Jab aapke paas woh log aaye Jo hamari aayaat per imaan laate he’n to unse salaam kahiye ” Assalamu Alaykum”.*

is Aayat me *Nabi Kareem Sallallahu Alaihiwasallam* ko khitaab karte hue bilvaasta ummat ko ye usooli taleem di gayi he k musalman jab bhi musalman se mile to dono hi jazbate muhabbat v masarrat ka tabaadla kare aur iska behtreen tareeqa ye he k ek doosre ke liye salaamti aur aafiyat ki Dua kare,

Ek Assalamu Alaykum kahe to doosra jawaab me Wa’ alaykum Assalaam kahe.

*Jab aap apne ghar me dakhil ho to ghar walo ko salaam kijiye,*

ً فَإِذَا دَخَلْتُم بُيُوتًا فَسَلِّمُوا عَلَىٰ أَنفُسِكُمْ تَحِيَّةً مِّنْ عِندِ اللَّهِ مُبَارَكَةً طَيِّبَةً

Tarjuma-

“Pas Jab tum apne gharo me dakhil huva Karo to apne ( ghar walo) ko salaam kiya Karo, Duae khair khuda ki taraf se taleem ki hui badi hi ba barkat aur pakeeza he, ”

Quran, An-Noor,: 61

______________________________________________________________________

*Musalman ko Salaam karna uska haq tasawwur kijiye*

Salaam Ko apne musalman Bhai ka haq tasawwur kijiye aur is haq ko adaa karne me faraakh-dili ka saboot dijiye, Salaam karne me kabhi bukhl (kanjoosi) na kijiye,

*Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ke ” Ek musalman ka doosre musalman per ye haq he k jab musalman Bhai se mile to usko salaam kare.”*
Muslim, 5650

*Salaam karne me hamesha Pehal kijiye.*

Salaam karne me hamesha pehal kiniye aur khuda na khwasta agar kisi se anban ho jaye tab bhi salaam karne aur Sulah Safai karne me pehal kijiye,

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad he,:

*” Wo Aadmi Allah ke zyada qareeb he Jo salaam karne me pehal karta hai,”*
Abu Dauwd, 5197

_________________________________________________________________

*Kisi doosre ke zariye salaam pohochne par Salam ka jawab kaise den ?*

” Hazrat Aayesha Radi-Allahu-Anha farmati hain ki *Nabi Kareem Sallallahu Alaihi-Wasallam* ne mujhse farmaya:

”Hazrat Aayesha ( Radi-Allahu-Anha ) Jibrail Alaihissalaam tumko salaam keh rahe hain, mene kaha *‘Wa’ alayhi Assalaam wa rahmatullahi.*”
Bukhari, 6249.

*Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam* ka irshad hai musalman per musalman ke 5 haq hain,
*1- Salaam ka jawab Dena,*
*2- Mareez ki ayadat karna,*
*3- Janaze ke saath jaana,*
*4- Dawat qubool karna,*
*5- Chheenk ka jawab Dena,*
Muslim, 565

______________________________________________________________________

Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

” Yahood or Nasaara ko Salaam karne me pehal na kiya Karo aur jab tum raah me inse milo to inko ek taraf simat Jane per majboor kardo. ”

Abu Dauwd, 5205

Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ek baar esi majlis ke paas se guzre jisme Muslim aur Mushrik sab hi shareek the to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne un sabko salaam kiya.

Tirmizi, 2706

*Salaam Karna Sunnat Hai, Aur Salaam ka Jawab Dena Wajib Hai. Salaam Karne se na Sirf Muhabbat me Izafa Hota Hai Bal k Allah Ne Is me Ajr Aur Sawab Bhi Rakha Hai.*

* Salam k liye Assalamu Alaikum k Alfaz ki Jage, Aadab Arz, Namashte, Hi, Good Morning, Wagera k Alfaz Qata’an Istemal na kiye jaye,* Na us me koi Ajr-o-Sawab hai, Balke Gunah ka Bais Hai.

Allah Tala Hum Sub ko In Baton per Amal Karne ki Toufeeq Ata Farmaye. Aameen.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)