Hajj Bhi Namaz Roza Aur Zakat Ki Tarah Islam Ka Ek Ahem Farz Hai Aur 5wa Ruqn Hai Namaz Aur Roza Jismani Ibadat hai Zakat Mali Ibadat hai….
Aur Hajj Jismani Aur Mali Ibadat ka Majmua Hai Sahib-E-Istita’at Aaqil Baligh Musalman Mard Wa Aurat Par Umr me Ek Bar Hajj Karna Farz hai….
Jis Trah Har Musalman Par Namaz Rozo Ke Masail Aur Malik-E-Nisab Par Zakat k Masail Sikhna Wajib Hai Usi Tarha Jab Koi Musalman Hajj Ka Irada Kare To Uspar Hajj ke Masail Sikhna Zaruri Hai Take Hajj Sahi Tour Par Ada Ho Aur Safar Ki Mehnat Mashakkat Aur Paisa Bekar na Jae….
Hadees-e-Nabawi :
Jo shakhs (Hajj farz Hone ke baad) Hajj kiye bagair mar jaaye to wo chahe to Yahudi hokar mare ya Nasrani hokar mare.
(Tirmizi, Jild -1 Safa -167)
Hadees:-
Haaji ki maghfirat ho jaati hai aur haaji jis ke liye kare uski bhi Haaji apne ghar walo me se 400 ki shafa’at karega Jo Hajj ke liye nikla aur faut ho gaya to Qayamat tak uske liye Hajj ka sawaab
likha jaayega aur Jo Umrah ke liye nikla aur faut ho gaya uske liye Qayamat tak Umrah ka sawaab likha jaayega.(Shoibul Eimaan)
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022