Islamic Blog

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta’la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic : Islam Me Machli Halal kaise ?

Jawab :

Irshad Baari Tala hai :

”Tumhare leye Dariya k Sekaar Aur Uska khana Halal keya Gaya”

[Sureh No-5, Al-Ma’idah,Ayat No-96]

Hadees e Rasul (s.a.w) :

Hazrat Abu Huraira r.a se Rewayat hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Samundar k Paani k Mutalliq Farmaya :

”Eska Paani Paak hai Aur Eska Murda’ar Halal hai”

[Sahi Abu Daood Hadees No-76 kitab al Taharat : baab al waju ba al bahar, Abu Daood Hadees No-83, Tirmizi Hadees No-69,Ibn Maza Hadees No-386,Nishai jild-1 Hadees No-176]

Hazrat Abu Ubaida r.a ki Qayadat me Vook se Nedhaal lasker jab Samunder k kenare Pahuche tou Allah Tala ne Anbar Machli Ata deya, Fer Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam se eske Mutalliq Daryaft keya Gaya Tou Aap (s.a.w) ne Farmaya :

”Allah Tala k Deya hua Rizk khao Aur Ager Usse kuch Bacha hua kuch Hai tou Hume v Khelao”

[Bukhare Sareef Hadees No-4361,4362,5493 kitab al Zabah wal saed, Muslim Hadees No-1930,Motta jild-2 Hadees No-930, Abu Daood Hadees No-3840,Ahmed jild-3 Hadees No-304, Bahqi jild-6 Hadees No-194 ]

Ahnaaf : Machli k Elawa Tamam Paani k (Murdaar) janwer Haram hai.
jamhur : Paani k Wo janwer jo Paani k Elawa Jenda Nahi rah Sakte , goya wo kisi Tarah Mout Aaye Sab Halal hai.
[Bada al Snaa jild-5 Safa-35, Al Radd ul Mukhtaar jild-5 Safa-214, Al fika Al Islamia wa Adalata jild-4 Safa-2791, Nil Al Awtaar jild-5 Safa-227]
Rajeh : Jamhur Moukuf Rajeh hai.
[Majeed Tafseel k leye Dekhe ; Al Fatawa al Islamia wa Adalata jild-5 Safa-214, Sabil Islam jild-1 safa-11]
Source:http://www.islamicleaks.com/
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)