Islamic Blog

Islam mein Allah, Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam), Quran, Hadees, Musalman, kya hai.

—————————— Definition ——————————–

Allah – Allah ek hai, akela hai, koi uska saathi (partner) nahi, Allah kisi se paida nahi hua na hi usse koi paida hua hai. Na wo sota hai, na wo khata hai na thakta hai (yaani jo insan ke saath hota hai, usko nahi hota tabhi to woh Allah hai, sona-khana-thakna to usne hamare liye banaya hai). Allah hamesha se hai aur hamesha rahega. Jo kuch bhi aasman aur zameen mein hai sab usi ka banaya hua hai. Allah har jagah mojud (present) hai. Hamare aage-peeche (past/future) sabko jaanta hai. Allah bahut raham karne wala (dayalu) hai. Wahi humko khilata, pilata hai. Hamare dil ke raaz jaanta hai. Muslam sirf Allah ki ibadat (prayer/pooja) karte hain.

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) – Allah ne pehle duniya banai phir insano ko banaya. time-time par Allah ne apne paigambar (prophets) bheje. Allah insano mein hi se ek nek (gentleman) insan ko chunta tha aur usko prophet bana deta tha. Phir us prophet ko kehta tha ki tum meri baat dusre insano tak pahuchao aur mere baare mein sabko batao ki Allah kon hai aur sab insano se kaho ki woh sirf meri ibadat (prayer/pooja) kare aur insano ko bure kaam se roko aur acche kaam karne ko kaho. Jab se duniya ki shuruat hue, Allah ne kai insano ko paigamber (prophet) banaya. Sabse aakhri paigambar (prophet) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) hain. Yeh saare paigambaro (prophets) mein sabse bade hain aur Allah ke sabse zyada pyare hain. Duniya ka pehla insan Adam (A.S.) Allah ke pehle paigamber (prophet) the aur sabse aakhri paigamber (prophet) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) hain. Musalman, paigambar (prophets) ki ibadat (pooja/prayer) nahi karte, lekin inse bahut mohabbat, pyar karte hain aur inke bataye hue raaste (path) par chalte hain. Kyonki inhone insano ko wahi bataya jo Allah ne inko batane ko kaha. Yeh khud bhi Allah ki ibadat (prayer/pooja) karte the aur insano ko bhi wahi karne ko kahte the.

Quran – Quran ko Allah ki kitab (book) kaha jaata hai. Yaani Quran ko kisi insan ne apne dil se nahi likha balki jesa Allah ne kaha (agya di) wesa ke wesa isko likh liya gaya. Allah ne Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ko apna paigamber (prophet) banaya. Phir Allah ne samay-samay par Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ko alag-alag haalat (situation) mein jo hukm (agya) di, ya jo bhi baat batai yeh quran ban gaya. Quran yaani Allah ka kathan (sentences). Quran mein insan ko puri zindagi (life) jeene ka tarika bataya gaya hai, yeh tarika kisi ek time period ke liye nahi hai balki duniya ke ant (end) tak ke insan ke liye hai. Quran mein bataya gaya hai ki kis tarah acche kaam (good deeds) kiye jaye aur kese buri baato se bacha jaaye aur kese Allah ko khush kiya jaaye. Quran ki hifazat (safety) khud Allah karta hai, isliye jesa quran Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke time tha wesa hi aaj bhi hai aur duniya ke ant (end) tak rahega. Quran mein ek haruf (word) ka bhi change nahi kiya gaya hai aur naa hi kiya ja sakega (InshaAllah)

Hadees – Allah ne Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ko paigambar (prophet) banaya. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne apni zindagi (life) mein wahi baat insano ko kahi jo Allah chahta tha, Allah ki marzi ke khilaf (opposite) koi baat nahi kahi. Quran ke alawa jo bhi Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne khud se (personally) insano ko jo acche kaam (punya) karne ka hukm (agya) diya aur bure kaamo se roka, unki yahi baate hadees kehlati hain. Yaani Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki khud (swayam) ki baat hadees kehlati hai.

Musalman – Jo insan sirf Allah ki ibadat (pooja/prayer) kare aur Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ko Allah ka paigamber (prophet) maane aur unke bataye hue raaste (path) par chale, aisa insan Musalma kehlata hai.

16002832 1437140836319541 2298726203271792660 n
I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm