Islamic Blog

लिबास ( कपड़े ) पहनते वक़्त की दुआ – Kapda Pahante Waqt Ki Dua

(अल्हम्दुलिल्लाहिल्लज़ी कसानी हाज़ा व रज़कनेही मं गैरी हौला मिनिय वल क़ुव्वती)

तर्जुमा-सब खूबियाँ अल्लाह तआला के लिए जिसने ये मुझे पहनाया और मेरी ताकत व क़ुव्वत के बगैर मुझे नसीब किया.

 

नया लिबास ( नये कपड़े ) पहनते वक़्त की दुआ – Islamic Dua In Hindi

(अल्हम्दुलिल्लाहिल्लज़ी कसानी माँ उ-वारिय बेहि औराति व अत जमालो बेहि फी हयाति)

Dosto, insan kapda pahanta hai aur kapda kesa hona chahiye, kese pahanna chahiye, ye bhi islam mein sikhaya gaya hai. Hum roz kapde pahante hain, lekin agar hum in kapdo ko sunnat tarike se pahan lege to hamara kapde pahanna jesa chhota kaam bhi sawab ban jaayega.

Aajkal bahut se log kapde pahanne mein apne man-pasand actor-actress ki copy karte hain, chahe wo kapda kesa bhi ho ya kitna bhi mehnga ho. Agar kisi man-pasand actor ne fate hue kapde pahane to log aesa bhi karne lagte hain, Aur jo aesa karta hai usko kuch log bahut accha aur modern samajhte hain, dar-asal aese logo apni ki koi soch hi nahi hoti, bhed-chaal ki tarah chalne lagte hain, lekin islam insan ko kapde pahanne hi nahi balki puri zindagi jeene ka tarika batata hai, magar kya humne kabhi ye sikhne ki koshish ki hai ki is baare mein islam kya kehta hai ya kapde pahanne ka sunnat tarika kya hai.

Humko kisi actor-actress ki copy karne mein nahi balki hamare pyare hazrat Muhammad (sallalhau alyhiwasallam) ko copy karne mein fakr mehsus karna chahiye. Hum muh se to bahut mohabbat ka daawa karte hain lekin kaam saare unke (sallallahu alyhiwasallam) ke khilaf karte hain.
Aaiye dekhte hain ki kapde ke baare mein kya sunant hai aur islam kya sikhata hai –

(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) Ko safed [white) Rang Ka Kapda Pasand Tha [Tirmizi]
Islam mein mard ke liye halke rang ko zyada pasand kiya gaya hai, jese safed (white), kyonki isme saadgi hoti hai. Laal (red), Orange is tarah ke bhadkeele aur chamak wale kapdo ko pasand nahi kiya gaya. Isi tarah jis tarah ke kapde aurat pahanati hai wo mard na pahne aur jo mard pahante hain wese kapde aurate na pahne. Isko islam mein sakht mana kiya gaya hai. Aajak ladke kaano mein baali, haath mein kade, gale mein locket pahan kar ghoomte hain jo ki ek gunah hai, aurat bhi aesi cheeze aur kapde na pahane jo mard pahante hain.

(2) Kapde Pahanne se pahle unko jhatak lijiye, kahi usmein koi jaanwar ya kachra na ho.

(3) Kapda pahanne mein Pahle Daya (right) Haath Aastin Me Daale Fir Baaya Haath isi Tarha Paijama Aur Shalwar Ke Liye Pahle Dahina (right) Paao Fir Baya Paao>>[Tirmizi]
aur kapde utaarne mein iska thik ulta karenge, ki kurta utaarne mein sabse pahle ulta haath nikalenge phir sidha aur pajama mein bhi aesa hi karenge.

(4) Kapda Pahnte Aur Utarte Wakt Bismillah Padhe aur Kapda Pahnne aur utaarne ki dua padhe. Kapde utaarne se pahle bismillah aur dua padh len, barhana haalat mein dua na padhe.

(5) Kapde Hamesha beth kar badaliye. Khade ho kar na badaliye.

(6) Aurat ho ya mard kapde tight na pahne, kyonki tight kapdo mein badan ka shape aur utaar chadao (curve) dikhta hai, isliye thode dhile kapde pahaniye jisse badan ka shape na dikhe.
Isi tarah ye bhi dhyan rakhiye ki kapda itna patla na ho ki badan dikhe, aurato ko iska khaas khyal rakhna chahiye, kyonki aajkal kapde bhi bahut patle aa rahe hain, agar kapde patle ho to andar astar lagaiye.

(7) Kapde aese ho jo kam se kam satar ko dhak hi de. Aadmi ka satar pet ki naaf se lekar ghutne tak hota hai lekin aajkal dekhne mein aya ki log shorts (chhoti nekar), burmunda mein hi ghoomte hain, jo ki islam ke khilaaf hai.
Aurat ka pura badan hi uska satar hai, lekin aajkal dekhne mein aata hai ki aurat bade-bade gale, badi peeth, half aastin, short aur tight kapde, legin pahan leti hain, jisse unka pura badan ka shape dikhta hai, aese kapde pahanna gunah ka kaam hai, isliye aese kapde na pahaniye, balki aese kapde pahaniye jisse badan chhupta ho, kyonki kapde pahanne ka maksad badan ko dhaakna aur chhupana hi hai, dikhana nahi. Aur upar se sar ke pure baal bhi dikhte rahte hain, aurat ke sar ke baal bhi uske satar mein shaamil hain, isliye burqa ya scarf pahaniye taaki baal kisi paraye mard ko na dikhe.
Hazrat Muhamamd (sallalhua alyhiwasallam) ne farmaya jiska matlab ye hai ki aurat khushbu na lagaye (kyonki iski wajah se wo jaha se niklegi paraye mard ka dhyan khichegi), aur apne per bhi patak-patak kar na chale jisse uski payal ki awaz hoti hao (ye bhi paraye mard ka dhyan khichegi) aur na itra kar chale.
Ek jagah farmaya ki apni khubusri ko paraye mardo ke saamne zaahir na karo. Iska matlab ye hai ki apne room mein apne dulha (husband) ke liye jitna tayyar hona hai ho jao, lekin bazaar mein dusre mardo ko, khud ko dikhati na phiro.
Jo aurat paraye mardo ko dihane ke liye tayyar hogi wo jannat ki khusbu bhi na le payegi.

(7) Mard Paijama..Ya Lungi Takno (ankle) Se Upar Rakhe..Takhno Se Niche Latkane Se ALLAH Naraz Hota Hai,
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne armaya..Tahband (lungi) Taqno Se Niche Latkane Wale Par ALLAH Nazarr E Rahmat Nahi Farmaye Ge [Muslim]
Note: lekin aurato ko apne kapde hamesha takhno ke neeche rakhna chahiye.

(7) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) Ko Kurta Bohot Pasand Tha
[Tirmizi.Abu Dawood]

(8) Paak Saaf kapde pahaniye.

(9) Kapde hamesha akele mein badaliye. kyonki agar mard-mard ka badan bhi bina kisi sahi wajah ke dekhta hai to ye gunah hai.

ALLAH Ham Sab Ko Pyare Nabi Ki Sunnato Pe Amal Ki Taufiq Ata Farmaye Aameen Summa Aameen

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)