Zina kya hai : Ek mard Ek aisi Aurat se ya Ek aurat ek aise mard se Sohbat/Humbistari/Sex kare jiska uske sath shadi nahi hue ho.
Hazrat Muhammad salllalahu alyhiwasallam ne kaha ki
“Musalman hote hue to koi Zina kar hi nahi sakta”
[Bukhari Sharif, Jild:3, Safa:614, Hadees: 1714]
saaf saaf matlab hai ki zina karne wala/wali musalman nahi bachte, agar zina galti se ho jaye to dobara musalman hone ke liye tauba (Allah se maafi) karna chahiye aur wapas kalma padhna chahiye, sochiye agar zina ke foran baad maut aajaye tou!! ALLAH ki panah!!!
Quran mein ALLAH kehta hai Jo shaks Zina karta he use “Asaam” me dala jayega [Quran – Para 19, Sure Furkan Aayat 68]
Asaam, Jahannam ka 1 gufa he jab uska Moonh khola jayega to uski Badbu se tamam dozakhi/nark wale chikh uthenge.
Islam mein zina karne wale ki saza…………..
Zina karnewale shadi shuda ho to khule Maidan me Pattharo se maar dala jaye aur Kuwara ho to 100 kode mare jaye
[Bukhari Sharif Jild Safa:615/615, Hadees:1715]
Is saza se hi pata chalta hai ki Islam mein Zina ko kitna bada gunah maana gaya hai ki uski saza bhi itni sakth hai. Iski wajah yeh bhi hai ki dobara koi aisa gunah karne ki koshish na kare. Kyonki aajke samaj mein hum dekhte hain ki iski koi badi saza nahi hai to logo ke dilo se dar nikal gaya hai aur khule aam zina hota hai.
Hazrat Muhammad Salllalhu Alyhiwasllam ne kaha ki sirf badan ke badan se milne (intercourse) ko hi zina nahi kehte hain, balki aankh, kaan, jeebh ka bhi zina hota hai. Jab aankh se kisi dusre ke badan ko dekha jaye, ya koi gandi movie/photo dekhi jaye yeh aankha ka zina hai aur kaan se sexy/gandi baatein/songs suni jaye ye kaan ka zina hai, Jeebh ka zina sexy/gandi baatein bolna hai. Yeh sab zina ki category mein aate hain. lekin hum logo ki lifestyle aisi ho chuki hai ki humse chalte phirte aankh/kaan/naak ka zina ho jata hai aur humko ahsas bhi nahi hota.
Isi tarike se girl friend ya boy friend banana aur unse romance karna, kiss karna, akele mein milna, romantic baat karna, choona (touch karna) yeh sab bhi isi mein aate hain. Kyonki islam mein tab tak ek ladke ka ladki par ya ladki ka ladke par adhikar/haq nahi hota jab tak unki shadi na ho jaye. Balki engagement/mangni ke baad bhi in baato se bachna chahiye, jab tak shadi na ho jaye.
Aajakl ke ladke/ladkiya ‘Facebook’ par romantic/sexy baat karte hain, ya apna boy friend/girl friend dhoondte rahte hain, ya sexy photo/movie dekhte hain, yeh sab bhi islam ke hisab se gunah hai.
To aaj se hi niyat karo ki InshaAllah in baato se bachenge. Bachenge na?
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017