Islamic Blog

MUHARRAM

Islamic calendar ka pehla mahina…lekin islamic calendar ye kaise bana aur kab???

Hz Umar farooq RA jab second Khalifa bane to Abu Musa Ashari ko official letters bheja karte the..Abu Musa Ashari Yemen ke governor the ..to un letters main date nahi hua karti thi..to Abu Musa Ashari ne ye baat Hz Umar se kahi ki vaqt ka pata nahi chalta ki kab ka khat hai to Hz Umar ne ak committee organise ki phir hijri calendar decide hua ..jab muslims makkah se madina hijrat kar ke aaye usko first year liya gaya.to 622 AD ko 1 hijri mana gaya.aur ye mahina muharram ka tha jab hijrat hui isiliye isko saal ka pehla mahina rakha gaya.17 hijri main hijri calendar vujood main aaya.tab tak naya saal jaisa koi concept nahi tha ..isliye naye saal ki mubarak dena jaisa kuch nahi tha . isliye isko avoid kareen ye Christian ka tariqa hai naya saal ki celebrations karna hamara nahi.In fact ye to alarm hai ki ak aur saal guzar gaya.

Hijri calendar hamain yaad dilata hai ki us vaqt kitni musibate uthane ke baad apne deen ki khatir makkah main jo thode se musalman hue the unhone apna ghar business family sab Allah ke liye chodha aur deen bachane ke liye madina aa gaye.

Islam se pehle jahiliyat ka dour tha period of ignorance jisme log zara zara si baat par talwar utha lete the caravans loot liye jate the …jiski vajah se sab pareshan the isiliye unhone 4 mahine decide kiye jisme koi ladai jhagda nahi hoga koi galat kaam nahi kiya jayega sab peacefully rahenge ye 4 mahine the dhul hijjah , muharram. Dhul qada aur rajab …

Islam aane ke baad Allah ta’alah ne bahot si jahiliyat ki cheezo ko jo achchi thi vesa hi rakha usme se ye bhi ak tha.

Surah Tauba ayah 36

Beshak jab se Allah ne zameen aur aasmaan banaye tab se saal ke mahine 12 hi hain aur unmain se 4 mahine sacred hai ..

Yani ye vo mahine hai jinmain ladai jhagda karna sab haraam hai mana hai …
In mahinoo main log haj ke liye nikalte aur bekhauf ho kar haj karte the ..

Muharram …. ka matlab hota hai forbidden sacred ..yani jo paakiza hai jisme har galat kaam karna sakht mana hai ..haraam hai .

Naya saal hamare liye zindagi ka tohfa hai ki ak aur saal mila naikiyaan karne ke liye aur gunahoon ke astaghfaar ke liye..yehi fark hai ak zinda aur murde insaan main. Murda insan sirf hasrat kar sakta hai ki kash main astaghfaar kar lena naikiyaan kar leta..hamari zindagi bahot choti hai har aane vala din pichle din se behtar hona chahiye.jitna ho sake Allah ke qareeb aane ki koshish kareen aur shaitan se door hone ki.

Importance of Muharram.

Muharram Ke Roze ki shuruat kaise hue.

Abdullah Bin Abbas(Radiallahu Taala Anhu) Se riwayat hain ki Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madine Main tashreef Laye Toh Yahudiyon Ko Dekha Ki Aashurey Ka Din Ka Roza Rakhtey Hain, yani 10 th Muharram ka.. Logo Ne Un Sey Pucha Ki Kyon Roza rakhtey Hain, Toh Unhoney Kaha Ki Ye Wo Din Hain Jab Allah Ta’ala Ney Musa (Alaihi Salaam) Aur Bani Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Musa alehsalam ne is din Bani israel ko samander paar karvaya tha Firoun ke zulm se nijaat hui thi .to Musa alehsalam shukrane ka roza rakhte the to hum bhi rakhte hain Iski Taazeem Ke Liye, To Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Farmaya:

“Hum Tum Sey ziyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Musa (Alaihi Salam) Kay, Phir Hukum Diya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Is (10 Muharram) ko Rozey rakho.

[Sahih-Muslim, Vol-No: 3, Book:6 (Roze Ka Masayel), Hadees-No:2656]

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)