Etekaaf Kya Hai : Masjid mein ibadat ki niyat se rukna etekaaf kehlata hai.
Ramazan Mein Etekaaf : Ramzan mein 21vi raat se lekar chaand raat tak masjid mein etekaaf kiya jata hai. Is beech masjid se bahar nahi aa sakte. Etekaaf ka example aesa hai jese koi insan kisi ko manane ke liye uske dar par beth jata hai, padh jata hai, aesa karne se sakht dil insan bhi pighal jata hai, usi tarah etekaaf karne wala masjid mein Allah ke dar par padh jata hai, taaki Allah usko maaf kar de, aur Allah ki rahmat to insan ko maaf karne ke bahane hi dhundti hai.
Etekaaf mein bethne ke baad sirf bahur zaruri kaam jese wuzu, ghusl, toilet wagerah ke liye hi masjid se bahar (masjid ke baramde) mein aa sakte hain, aur haajat puri karke foran masjid mein chale jana chahiye, inke alawa kisi dusre kaam se bahar nahi nikalna chahiye, jisne aesa kiya uska etekaaf toot jaega aur usko iski kaza rakhna padhegi. Etekaaf mein jo saath bethe hain unse bhi fizul baaten na karen.
Aajkal dekhne mein aya hai ke kam umar ke ladke bhi etekaaf mein beth jaate hain, ye acchi baat hai lekin kisi umar daraz insan ko un par command rakhna chahiye, kyonke chhote bacche masti zyada karte hain, aur etekaaf ki baato ka dhyan nahi rakhte.
Etekaaf mein bethne ke baad khoob ibadat karen, kaza-e-umri namaz padhen (agar ho to), quran sharif ki tilawat karen, nafil namazen padhen, Khoob Dua karen, Allah ka zikr karen, islam sikhen aur sikhaen.
Allah hum sabko etekaaf mein bethne wala bana de.
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021