Ramzan ka Itikaf Kya Hai : Masjid mein (mardo ka) ibadat ki niyat se 21wi shab se chaand raat tak rukna etekaaf kehlata hai. Ya aurat apne ghar ke kone mein etekaaf mein beth sakti hai.
Ramzan mein 21vi raat se lekar chaand raat tak masjid mein etekaaf kiya jata hai. Is beech masjid se bahar nahi aa sakte. Etekaaf ka example aesa hai jese koi insan kisi ko manane ke liye uske dar par beth jata hai, padh jata hai, aesa karne se sakht dil insan bhi pighal jata hai, usi tarah etekaaf karne wala masjid mein Allah ke dar par padh jata hai, taaki Allah usko maaf kar de, aur Allah ki rahmat to insan ko maaf karne ke bahane hi dhundti hai.
Etekaaf mein bethne ke baad sirf bahur zaruri kaam jese wuzu, ghusl, toilet wagerah ke liye hi masjid se bahar (masjid ke baramde) mein aa sakte hain, aur haajat puri karke foran masjid mein chale jana chahiye, inke alawa kisi dusre kaam se bahar nahi nikalna chahiye, jisne aesa kiya uska etekaaf toot jaega aur usko iski kaza rakhna padhegi. Etekaaf mein jo saath bethe hain unse bhi fizul baaten na karen.
Aajkal dekhne mein aya hai ke kam umar ke ladke bhi etekaaf mein beth jaate hain, ye acchi baat hai lekin kisi umar daraz insan ko un par command rakhna chahiye, kyonke chhote bacche masti zyada karte hain, aur etekaaf ki baato ka dhyan nahi rakhte.
Etekaaf mein bethne ke baad khoob ibadat karen, kaza-e-umri namaz padhen (agar ho to), quran sharif ki tilawat karen, nafil namazen padhen, Khoob Dua karen, Allah ka zikr karen, islam sikhen aur sikhaen.
Allah hum sabko etekaaf mein bethne wala bana de. Aameen.
Etekaaf Mein Bethne Ka Sawab
===================
Ramzan ka etekaaf –
Ramzan mein aakhri raato, 21vi raat se lekar chaand raat tak masjid mein rahna etekaaf kehlata hai. Iska bahut sawab hai.
(1) Etekaaf mein bethne wala Allah ka mehmaan ban jata hai, socho Mezbaan agar Allah hai to apne mehmaan par kitni rahmat aur barkat farmaega.
(2) Etekaaf Mein Bethna hazrat Muhammad (sallallau alyhiwasallam) ki sunnat hai, etekaaf mein bethne se sunnat ka sawab bhi milta hai
(3) Etekaaf mein bethne se humko shab-e-qadr (ramzan mein jaagne waali raat) bhi mil jaati hai, is raat ka sawab 1000 mahino (84 saal) se bhi badhkar hai.
(4) Etekaaf mein bethe wala ibadat to karta hi hai lekin uska letna, bethna, khana-peena bhi sawab mein likha jata hai.
(5) Etekaaf mein bethne se insan duniya se door ho jata hai, isliye yaha Allah ke nazdeek hona aasana hai.
(6) Etekaaf Mein betha insan masjid se bahar nahi nikal sakta, aese mein masjid ke bahar waale sawab ke kaam mein hissa nahi le paata, jese beemar ko dekhne jana, kisi ki mayyat mein shaamil hona, logo ki madad karna wagerah, lekin etekaaf mein bethne walo ko aese kaamo ka bhi sawab milta rahta hai
(7) Jo insan Allah ke liye ek din bhi etekaaf mein bethta hai Allah uske aur dozakh ke beech 3 khaiyan kar deta hai, jiske beech ki duri aasman aur zameen ki duri se bhi zyada hai, jab ek din ka itna sawab hai to 10 din bethne par kitna hoga.
(8) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya jo 10 din etekaam mein beththa hai usko 2 haj aur 2 umra ka sawab milta hai.
Aurat bhi apne ghar ke kone mein etekaaf ki niyat karke beth sakti hain.
Bhaiyo banho, hum kahi tourist place ya shadi mein jaane ke liye 10 din ki leave le lete hain, to kya itne faida ke dino ke liye nahi le sakte, isme aetekaaf mein bethne ka sawab alag, shab-e-qadr mil jaaegi wo alag, yaani sawab hi sawab.
ladki/aurat apne ghar ke kisi paak kone mein etekaaf ki niyat se beth jaae, phir wo wahi khae, wahi soe, kisi dusre se bina zarurat baat na kare, bahut zaruri kaam ho to baat kare, toilet/bathroom ya wuzu karne ke liye hi apni jagah se uthe. mehmaan bhi aae to kisi se faaltu baat na kare. bas Allah ki ibadat karti rahe. Etekaaf ke liye 20 roze ko asar ke baad se beth jaaen. aur chaand dikhne ke baad hi uthen. Agar koi ladki/aruat apne ghar par etekaaf mein bethti hai to usko bhi mardo ke masjid mein bethne ke barabar hi sawab milta hai.
Allah hum sabko etekaaf mein bethne wala bana de. Aameen.
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021