Islamic Blog

Qur’an :
8 Surah al-Anfaal, Aayat 46 :

وَأَطِيعُوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَلَا تَنَازَعُوا فَتَفْشَلُوا وَتَذْهَبَ رِيحُكُمْوَاصْبِرُوا ۚ إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ

Aur ALLĀH ki aur us ke Rasool ki Ita’at karo aur aapas me jhagda mat karo warna (mutafarriq hokar) buzdil (aur kamzor) ho jaaoge aur (dushmano ke saamne) tumhari hawa ukhad jaayegi aur sabr karo, Beshak ALLĀH sabr karne walo ke saath hai.

Hadees e Nabawi :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya :
‘Narmi baratna, Dushwaari paida na karna, Khushkhabari sunaana, Nafrat-angezi na karna, Muttahid rehna aur Ikhtilaaf me na padna.’
(Mishkaat shareef)

**********************
HIQAAYAT :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Ek baar Ustaad ne apne shaagirdo ko lakadiyo ki ek gathri di aur kaha ‘Ise todo.’ Shaagirdo ne bahot koshish ki. Magar us gathri ko tod nahi paaye. Phir unho ne us gathri ko khol diya aur sab ko ek ek lakdi di aur kaha ‘Ise todo.’ Sab ne zara sa zor lagaaya to aasaani se apni apni lakdi tod di.
Ustaad ne kaha ‘Is se hume ye sabaq sikhne milta hai ke Jis tarah lakdiya gathri ki soorat me thi koi ise tod nahi saka aur jab alag alag kar di gai to aasaani se toot gai. Isi tarah hum bhi agar muttahid hokar rahenge to hume koi tod nahi sakega aur nuqsaan nahi pahuncha sakega lekin agar hum mutaffarriq ho gaye to humare dushman hume aasaani se tod denge aur hum un ka saamna nahi kar sakenge.’

****************
ALLĀH ke hukm se Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne musalman mardo ko masjid me namaaz padhne ka hukm farmaaya aur ba-jama’at namaaz ka sawaab 27 guna ata farmaaya.
Aur 5 waqt ki namaz apne muhalle me padhne ka hukm diya take roz muhalle ke log aapas me ek dusre milen aur Salaam Dua karen aur ek dusre ka haal jaan saken.
Is tarah Jum’aa ki namaaz Jaam e Masjid me ada karne ka hukm diya taake har hafte pure ilaake ke log aapas me ek dusre milen aur Salaam Dua karen aur ek dusre ka haal jaan saken.
Aur Eid ki namaaz Eidgaah me ada karne ka hukm diya taake Eid ke khushi ke mauqe par tamaam log aapas me ek dusre mulaaqat aur Salaam Dua karen aur ek dusre ka haal jaan saken.
Aur isi tarah Hajj ke mauqe par puri dunya ke Haaji Haram shareef me jama ho.
Aur is tarah Ittehad e millat ka muzaahira hota rahe.

****************
Makka se hijrat karke Madeena tashreef laane ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Muhaajireen aur Ansaar Mawaakhaat qaa’im ki ya’ani Ansaar aur Muhaajireen ko ek doosre ka bhaai banaaye.
Is ke baad Ansaar sahaaba ne mohabbat ka saboot dete hue muhaajir bhai ko rehne ke liye ghar diye, un ke nikaah karaaye, kaarobaar me shareek kiya, apne maal wa milkiyat me aur har cheez me hissa diya.

****************
Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala nahu ke khalifa banne ke baad Hazrat Ameer Muawiyah se kuchh ikhtelaaf ki wajah se Jung ke haalat paida hue. Ye baat jab ek Eisaai baadshaah ko pata chali to us ne Muawiyah ko khat likhkar kaha ‘Agar aap chaaho to hum dono saath milkar Ali se jang karen aur Ali ko har den.’
Hazrate Muawiyah ne use jawaab diya ‘Ye humara aapasi muamala hai. Agar tum is me dakhal karoge to Ali aur main saath milkar tumhe mita denge.’

****************
Aaj humare haalaat aise hain ki
Musalman ko masjid me aane ka aur ba-jama’at namaaz ada karne ka shauq aur aadat nahi aur fursat bhi nahi aur namaaz ke liye waqt na milne ke bahaane banaate hain.
Aur agar masjid me aate hain tab bhi namaaz padhkar bhaag jaate hain, kisi se Salaam Dua ke liye waqt nahi.
Agar koi pareshaan dikhe to us ka haal puchhne ka ya use madad karne ka ya tasalli dene ka ya us ke liye dua e khair karne ka waqt nahi.

Agar kisi ne bahot hi adna sa bhi nuqsaan kar diya ho to bhi us se jhagda karte rehte hain, Sabr nahi kar sakte, Muaf nahi kar sakte.
Khud ka faa’ide hona chaahiye, bhale dusro ka nuqsaan ho jaaye.
Dusro ke faaide ke baare me sochne ki fursat nahi.

Musalman hone ka daawa karte rehte hain,
Magar sahi aqeede ke saath sahi ilme deen sikhna aur dusro ko sikhaana aur sahi nek amal karna zaroori nahi lagta.

****************
Mo’mino, muttahid aur muttafiq ho jaao,
Ek ho jaao, nek ho jaao.
In sha’ Allāh ALLĀH ta’ala kaamyaabi aur izzat ata farmaega.

****************
Yaha mo’mino ke aapasi Ittehaad ki baat hai. Munaafiq wa Bad-mazhab (jin ka Aqeeda sahi nahi hai) ya Faasiq wa Faajir (jin ke amal sahi nahi hai aur gunaah ki aadat ho gai hai aur gunaah karke fakhr karte hain) se mo’mino ka Ittehaad munaasib aur mumkin nahi hai.

‘Mo’min’ wo hai jo eimaan laakar tasdeeq wa Iqraar karke sahi aqeede ke saath ALLĀH ta’ala ki raza ke liye Ishq e rasool ke saath ta’azeem wa tauqeer e Rasool aur Ita’at wa Itteba e Rasool karte hue nek amal kare aur gunaah se bachne ki koshish kare.

Mo’mino ko chaahiye ke muttahid aur muttafiq rahen, chaahe kisi bhi gaanv ya shaher me rehte ho, kisi bhi Imaam ke mazhab ki taqleed karte ho, ya kisi bhi silsile ke mureed ho, apne mo’min bhai ki har mumkin madad karen, sahi ilme deen sikhaakar, hunnar ya kaarobaar sikhaakar, us ki pareshaani ya museebat me tasalli dekar, khairaat ya qarz dekar, use nuqsaan se bachaakar, use salaam karke ya us ki khairiyat ka haal puchhkar use khush karke.

*************
AHLE SUNNAT WAL JAMA’AT KI PEHCHAAN :

http://www.fikreummat.net/ahle-sunnat-wal-jamaat/

Aashiqaane Mustafa se guzarish hai ki
Is link ko open karke Post padhen aur Share karen.

*************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Musalmano ko ek aur nek banne ki taufiq ata farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae aur Musalmano ki hifaazat farmae aur Hamare nek amal qubool farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi aur izzat ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz murado ko puri farmae.
Aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm